Hum samajhte hain ke kisi garib ko kuch paise de dena sadqa hai, - TopicsExpress



          

Hum samajhte hain ke kisi garib ko kuch paise de dena sadqa hai, lekin sadqa paise ke alawa aur bhi kai cheezon se hota hai. Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasllam) ne farmaya ke - * Apne Kisi Bhai Ke Saamne (Khushi Se) Tumhara Muskura Dena Ye Bhi Sadqa Hai. * Aur Kisi Ko Achhi Baat Ka Hukm Dena Aur Buri Baat Se Rokna Ye Bhi Sadqa Hai, * Aur Kisi Bhatake Hue Ko Raasta Bata Dena Ye Bhi Sadqa Hai, * Aur Kisi Andhe Ki Madad Kar Dena Ye Bhi Sadqa Hai, * Aur Raaste Se Patthar Aur Kaanta Aur Haddi Hata Dena Ye Bhi Sadqa Hai * Aur Apne bartan mein Se Apne Bhai Ke bartan Me Paani Daal Dena Ye Bhi Sadqa Hai. Matlab Ye Hai Ke In Sab Kaamon Par Sadqe Dene Ka Sawaab Milta Hai.
Posted on: Sat, 14 Sep 2013 07:37:13 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015