Islam Ki 5 Buniyadi (basic) - TopicsExpress



          

Islam Ki 5 Buniyadi (basic) Baatein============================Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke islam ki buniyaad 5 baaton par hai(1) Kalma - Matlab ye sacche dil se maanna ki Allah hi ibadat ke layak hai aur Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) Allah ke rasul (eeshdoot) hain(2) Namaz - Din mein 5 time ki namaz padhna(namaz Allah ki ibadatka ek tarika hai(3) Roza - Ramzan mahine ke pure roze (fast) rakhna,ye bhi Allah ki ibadat ka ek tarika hai(4) Zakat - Hamari Halal kamai se har saal hamari extra income ka kam se kam 2.5% garibo ko dena(5) Haj - Apni halal kamai se zindagimein kam se kam 1 baar haj karna.Ye sab baaten ‘Farz’ hain yaani ye Allah ka hukm hain, In sab kaamo kokarna bahut zauri hai, agar nahi kiyato gunah hoga, upar ki 1,2,3 waali baat to har ameer aur gareebko karna hai, lekin 4,5 waali baat sirf unke liye hai jinke pass iske liyezaruri rupye ho, Garibo par 4-5 waali baat ka bhoj nahi daala gaya, ye unko maaf hai.Lekin agar unke pass paisa aa jaaye to phir ye kaam karna zaruri ho jaayega.Ye 5 baate to buniyaadi (basic) baatein hain, yahi pura islam nahi hain. Lekin ek muslim ko kam se kam in sab baaton ko maanna bahut zaruri hai
Posted on: Fri, 27 Sep 2013 03:16:36 +0000

Trending Topics



>
Question: I know Im not the sharpest pencil in the box, but I

Recently Viewed Topics




© 2015