Kabr ki agosh me jb thak ke so jati hai Maa, Tab kahin ja kar zara - TopicsExpress



          

Kabr ki agosh me jb thak ke so jati hai Maa, Tab kahin ja kar zara thoda sukun pati hai Maa. . Fikr me baccho ki kuch aise hi ghhul Jati hai Maa Nau-jawan hote huye boordhi nazar Aati hai Maa . Rooh ke rishto ki ye gahraiya to dekhiye Chot lagti hai hamare aur chillaati hai Maa . Kab zrurat ho mere bacche ko itna soch kar Jagti rhti hain aankhe aur so jati hai Maa . Ghar se jab pardes jata hai koi noor-e- nazar Hath me quran le kar dar pe aa jati hai Maa . Jab pareshani me ghir jate hai ham pardes me Aansuo ko pochne khwabo me aa Jati hai Maa . Chahe ham khushiyo me Maa ko bhool jaye dosto Jab musibat sar pe aa jaay to yaad aati hai Maa . Shukr ho hi nahi skta kbhi uska ada Marte mrte bhi dua jeene ki de jati hai Maa . Mrte dam baccha na aa paay agar prdes se Apni dono putliyan chaukhat pe rakh jati hai Maa
Posted on: Mon, 22 Jul 2013 15:22:47 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015