Kaho, woh dasht kaisa tha? Jidhar sub kuch luta aaye Jidhar - TopicsExpress



          

Kaho, woh dasht kaisa tha? Jidhar sub kuch luta aaye Jidhar aankhain ganwa aaye Kaha, sailab jaisa tha, bohot chaha keh bach niklain magar sub kuch baaha aaye Kaho, woh hijer kaisa tha? Kabhi choo ker usay dekha To tum nay kia bhala paya Kaha, bus aag Jaisa tha, usay choo ker to apni rooh ye tann mann jala aaye Kaho, woh wasl kaisa tha Tumhain jab chuu liya us nay To kya ehsas jaga tha? Kaha, ik raastay jaisa, jidhar say bus guzarna tha, makan lekin bana aaye Kaho, woh chand kaisa tha? Falak say jo uttar aaya! Tumhari aankh main basnay Kaha, woh khawab jaisa tha, nahi taabeer us ki, usay ik shab sula aaye Kaho, woh ishq kaisa tha? Bina perkhay kia jo tum nay Kaha, titlii k rang jaisa, bohat kachaa anokha sa, jabhi us ko bhula aaye Kaho, woh naam kaisa tha? Jisay sehraaon aur chanchal Hawaon per likha tum nay Kaha, bus mosmoon jaisa, na janay kis tarha kis pal kisi ro main mita aaye Suno, khawahishon ki lehron per sambhalna kion hua mushkil? Bataya , paanion per khawab ki rakhi bena jaisay Bhala tum rooh ki in kirchion main dhoondtay kia ho? Kaha, yeh itni roshan hain keh sooraj ha diya jaisay Suno aankhon hi aankhon ka bayan kesay laga tum ko? Laga, phoolon say sargoshi si kerti ha saba jaisay
Posted on: Fri, 05 Jul 2013 11:09:36 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015