Khane ke lukmo ke Ehtaram: Inbne Majah ne Ummul Mu’aminin - TopicsExpress



          

Khane ke lukmo ke Ehtaram: Inbne Majah ne Ummul Mu’aminin Aayesha ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﮩﺎ se riwayat ki ke NABI KAREEM ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺍﻟﻪ ﻭﺳﻠﻢ makan me tashrif laaye, roti ka tukda pada huwa dekha, usko le kar pocha phir khaa liya aur farmaya, Aayesha !!! achchhi chizo ka ehtaram karo ki ye chize (roti) jab kisi kaum se bhagi hai to laut kar nahi aayi (yaani agar na-shukri ki wajah se kisi kaum se rizq chala jata hai to wapas nahi aata) [Sunan Ibne Majah, Kitab ut Ta’amih, Jild 4, page No. 49, Hadith no. 3353] Lukme ka Ehtaram: Tibrani ne Abdullah Ibne Ummul Haram ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ mﻋﻨﻪ se riwayat ki ke HUZOOR ﺻﻠﻰﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺍﻟﻪ ﻭﺳﻠﻢ ne farmaya ki roti ka ehtaram karo ki wo Aasman wa Zameen ki Barkat se hai, jo sakhs Darstar Khwan se giri hui roti ko kha lega, uski Maghfirat ho jayegi. [Jamiul Shagir Lis suyuti, Page No. 88,Hadith No. 1426]
Posted on: Thu, 26 Sep 2013 08:09:26 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015