Koi deewana kehta hai koi pagal samjhta hai… magar dharti ki - TopicsExpress



          

Koi deewana kehta hai koi pagal samjhta hai… magar dharti ki bechaini ko bas badal samjhta hain… Main tujhse dur kaisa hu, tu mujhse dur kaisi hai… Yeh tera dil samjhta hai, ya mera dil samjhta hai… Ke mohobbat ek ehsaason ki paawan si kahaani hai… kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hai… Yahaan sab log kehte hain meri aakho mein aasu hain… Jo tu samjhe toh moti hain jo na samjhe toh paani hain… Samandar peer ke andar hain lekin ro nahi sakta… Yeh aansu pyaar ke moti hain isko kho nahi sakta… Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le… Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta… Bhraman koi kumudni par machal baitha toh hungama… Jo apne dil mein koi khwaab pal baitha toh hungama… Abhi tak doob kar sunte the sab kissa mohobbat ka… Main kisse ko hakikat mein badal baitha toh hungama…
Posted on: Fri, 05 Jul 2013 07:48:42 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015