LEASE NOTE THE IMPORTANT TOPIC FOR HAPPY LIFE : Jab aap bahut - TopicsExpress



          

LEASE NOTE THE IMPORTANT TOPIC FOR HAPPY LIFE : Jab aap bahut samay tak buraai ke saath jeene lag jaate hain, tab aapko buraai mein buraai, dikhni hi bandd ho jaati hai...maanav mastishka iss buraai ko avashyakata maan kar yeh sochne lagta hai ke yeh buraai vaastav mein uski bhalaai ke liye hai... - ----------------------------- Bachcho ko aayu ke pehle paanch varsh tak apne hridya ka tukda maan kar bharpoor prem dena chahiye...agle paanch varsh tak unhein kade anushaasan mein rakhna chahiye...aur jab ve solah varsh ke ho jaayein tab unhein apna priye mitra maan lena chahiye... - ------------------------------------ Saadhaaran Moolya Chuka Kar Yadi Itna Bada Lakshya Mil Pata, To Koi Bhi Akhand Bharat ka Nirman Kar Leta. Phir Na To Kisi Chanakya Ki Avashyakta Hoti Na Kisi Chandragupta Ki.... --------------------------------- prem hota kya hai ?...ek aisi maadakta ek aisa naitik nasha jis mein doobkar aas-paas ka saara satya nirarthak lagne lagta hai aur vo jis se prem karta hai saare arth usi mein samahit hone lagte hain....aur yadi prem mein doobna hi hai toh pehle parvyakti ko bhalibhaanti jaan lo.....yu bhi jo prem apne sanjoye sapno aur apne samooche vyaktitva ko nashta kar de, vo prem, prem nahin bhool hai, apraadh hai... - ---------------------------------- Jab aatmao ka sambandh jud jaata hai toh dooriyon ka koi mahatva nahin reh jaata...anubhutiyan svetah hi sandesh de jaati hain... - ---------------------------- Niyati toh rach hi rahi hai apna khel.....kintu ek baat sadaiv yaad rakhni chahiye....niyati, maatr sanyog nahin.....niyati, manushya ke samaksh uplabdh, vikalp hai.....uchit samay par uchit uplabdh vikalp chun na hi, biddhimatta hoti hai....sab kuchh niyati ke haath chhod baithe rehne vaale, naa kuchh ban paate hain aur naa hi kuchh bana paate hain...... - ---------------------- apne vichaaro ko vash me rakho, kyuki yehi tumari vaani banege. apne vaani ko vash me rakho, kyuki yehi tumara karm banege. apne karmo ko vash me rakho,kyuki yehi tumari aadate banege. apne aadato ko vash me rakho, kyuki yehi tumara charitra banege. aur apne charitra ko vash me rakho, yehi tumara bhagya banege.......... ------------------------------- Kshama vyakti ko nirbal nahn sabal banaati hai.....jisne tumhara vishwaas toda ho, uss se badla naa lekar, usey kshama kar dena....koi saadharan vyakti nahin kar sakta....aur jo kar de, uski aatma mein ek nayi dridtaa aa jaati hai....yeh vyakti ke saadharan se asaadharan ban ne ka chinha hai, ke vyakti apne niji aavego se upar uthkar kshama jaisa bada nirnay le....yeh Raajsi gunn hai...aur jise bada ban na hai, usey kshama karna seekhna chahiye..... - -------------------------------- Paristhitiyo k anukool sheegrataa se dhal jaao..yahi vijay ki kunji hai!!!-- ------------------------ Kisi bhi kaarya ki safalata toh yojna, bhagya aur anter aatma ke swar ke mile Jule asar se tay hoti hai....kaarya ki safalata mein in teeno ki barabar ki bhoomika hoti hai...kintu safalata paane ke liye Arjun jaisa hona hi uchit rehta hai, maatra lakshya ki or drishti..aur kahin nahin.... - ------------------------------- Niyati ke atirikt kisi ur ke samaksh kabhi ghutne mat tekna..... - -------------------------------- Sachcha gyaan guru ke charano mein hi hota hai....... - ----------------------------- lakshya tak pauhachne ke 2 maarg hote h. saral maarg saday lubhata h parantu lakshya tak pauhachne se phle vatka deta h. Dusra kathin maarg jo lamba jarur h par lakshya tak avashya pauhchahta h. --------------------------- Koi bhi vyakti asaadharan nahin hota...kintu saadharan vyakti jab asaadharan paristhitiyon mein ghir jaata hai toh unhein suljhaate hue voh saadharan vyakti bhi asaadharan dikhne lagta hai...- -------------------------------- Kisi bhi yojnaa mein maatra lakshya nirdhaaran mahatvapoorn nahi hota. Mahatvapoorna hota hai wo prayaas, jisse lakshya praapt kiyaa jaata hai... - ------------------------------- Bahujan hitaay, bahujan sukhaay.... ------------------------------ Ek ashambhav lagne wala nirnay hota kya hai??? Ek, aisa kathin nirnay jo liya jaa sakta hai. Isliye nirnay lo. Kyunki yadi samasya ko anirnay se kheechoge toh samasya 2mhe khaa jayegi. Nirnay lene main sahas karo aur phir dekho itihas tumhara naam kaise amar bana deta hai. Ek saral niyam hai CHANDRAGUPT - SAMASYA TUMHE SAMAPT KARE , ISSE PEHLE SAMASYA KO SAMAPTH KAR DO!!! --------------------------------------------- Niyati toh rach hi rahi hai apna khel.....kintu ek baat sadaiv yaad rakhni chahiye....niyati, maatr sanyog nahin.....niyati, manushya ke samaksh uplabdh, vikalp hai.....uchit samay par uchit uplabdh vikalp chun na hi, biddhimatta hoti hai....sab kuchh niyati ke haath chhod baithe rehne vaale, naa kuchh ban paate hain aur naa hi kuchh bana paate hain...... - ---------------------------------- Niyati matra ek vikalp hai.. Niyati k bharoshe baith ne vale log kabhi na to kuch kar pate hain ..aur na hi kuch ban paate hain.. ------------- Na toh beete hue kal ko lekar anaavashya k roop se kudhna chahiye aur na hi bhavishya ko lekar abaavashya k hi utsuk hona chahiye... vartmaan.. .keval vartmaan satya hai...apna sampoorna dhyaan keval vartmaan par hi kendrit karna chahiye... . - ------------------------------- Maa bhi Guru hi hoti hai....Pehla Guru...... - ---------------------- Shikshak ko saadhaaran samajhne ki bhool kabhi mat karnaa! Pralay aur Srijan ..dono hi uski god mein khelte hain! ------------------------ Yojna....kapol kalpana lage toh bhi uss par vishwas karo....aur usey sach bana do....har bade karya ka pehle sapna dekha jaata hai, phir usey moort roop diya jaata hai....maatra Ichchha shakti, bas yahi mool mantra hai har safalta ke peechhe....Ichchha karo...Dridta se chaho aur phir uske liye mar mito....Vijay sada tumhara varan karegi..... - --------------------------------- Yadi tumhare samaksh ek se adhik vikalp ho aur nirnay lena kathin ho raha ho toh ekagrachitt hokar, dhyaan lagakar, apni Anter Aatma ko sun ne ka prayaas karo.....Anter Aatma ke sanket hi niyati ko swaroop dete hain..... - ---------------------------- Vyakti apni niyati apne Karmo se gadhta hai........ - ---------------------------- Asafaltaayein...seekhne ke liye aavashyak hoti hain....kintu Truti har baar nayee honi chahiye....yadi truti dohara rahe ho toh samajh lo seekhne mein chook ho rahi hai....jeevan mein asafaltaaon ka bada mahatva hota hai.....ye tumhein vinamra banaati hain, shatru tak ka aadar sikhati hain....bas asafaltaaon se seekhne ki chaah honi chahiye....Asafalta ko bhi seekhne ka ek aur avsar maano..... - ------------------------------------ Guru keval maarg dikha sakta hai, lkshya par pahunchna toh vidyarthi par nirbhar karta hai....shishya ke prayaas, uski kshmata, uska guru par vishwas...usey sadharan se asadharan banate hain....Guru,jinki kalpana maatra karta hai, par shishya jab vahan pahunch kar dikhata hai toh apne saath saath apne guru ko bhi saarthak bana deta hai..... - ------------------------------- Jab lage ke bachcha bada ho raha hai, toh us se vyask samajhte hue achaar karna chahiye....us se apeksha mat rakho ke woh pehle ki tarah aankh mood kar saari baatein maane.....ek aayu ke pashchaat bachchon ko apne samkaksh na maane toh woh avagya karege, door bhagenge humse....prakritik niyam hai yeh.... - ------------------------------------- Sapne dekhne ka adhikaar unhi ko hai jo sapno ko pura karne ka saahas bhi rakhte hain.... - -------------------------------- Neta neeyati ko nahin chunta, Neeyati neta ko chunti hai....... - ----------------------------------- Aage badhne ke liye lakshya nirdharit karna hota hai..aur jab vyakti lakshya ke liye badhta hai, toh maarg usey sikhata hai, banata hai,sanvarta hai...maarg se mile anubhav uski poonji hote hain..lakshya par pahunch kar milne vaali vastu maatra ek sanketik uplabdhi hoti hai, asli uplabdhi hoti hai maarg mein milne vaali Seekh....yatra ka mulya hota hai, yatra mein mili vastu ka nahin... - -------------------------- Kam bolne se urjaa bachti hai - -------------------------------- Kitna kuchh hum pehle se jaante hain, kintu phir bhi parinaam jab saamne aata hai toh aaghat lagta hai.....sabhi jaante hain, jiska janm hua hai woh avashya marega ek din, parantu jab martaa hai koi toh vismay hota hai aur dukh bhi, kaisi vidambana hai ye - ---------------------------------- Manovikar vyakti uchi - anuchit ka bhed bhula dete hain........- ------------------------------ Neetishastra ka ek mahatvapurna niyam - Jo karne vaale ho, kisi se naa kaho.... Buddhimaan jo karte hain, kisi se kehte nahin, bas shantipoorvak kar daalte hain.... - ------------------------------ Vyakti kahan kisi vyakti ka yuhin bhala kar paata hai.... sab niyati ka chakra hai... har ek ko apni bhoomika nibhaane ka avsar avashya milta hai.... - -------------------------------- Mila hai humein jo niyati se, hum usey savaarein mann se..... - ---------------------------- Samasya se bachna hi aavashyak nahin, samajhdaar woh hai jo samasya se takraaye toh usey mitaakar hi dum le..... - - ------------------------------ Maanav dharm abla stri ki raksha karne mein hai, usay maarne mein nahin.... - --------------------------- Mitra banaaye nahin arjit kiye jaate hain..... jinhone tumhe apna Neta maan liya, unke saath chalne mein kya Chunauti, Chunauti unhe saath lekar chalne mein hai, jo tumhe apna Neta hi naa maane.... - ---------------------------- Ek mahaan yoddha ki pehchaan kya hai ? jyon hi woh yuddh jeete, vijay utsavon mein apna samay gavaaye bina, agle lakshya ko prapt karne ki yojnaayon mein lag jaaye.... - Chanakya -------------------------------- Suno sabki, karo mann ki...... Mitra ho chaahe Shatru, Pyaar se sabhi ko jeeta jaa sakta hai, Ladd kar nahin.......... - ------------------------- Jab toofaani havaayein chaaron orr se aakraman karien, toh buddhimaan log bachne ke liye jhuk jaate hain....wo jhukte isliye hain taaki ek naya samikaran saja sakein, jiski rooprekha wo svayam tay karein, koi aur nahin.... - ------------------------------- “Ati sarvatra varjate, ati har baat ki buri hoti hai, phir wo chahe seekne ki kyu na ho.Gyan ka arth uske upyog mei hai” ------------------------- Achchhe aur bure logon mein ntar hota hai,aatma ka..... kabhi kabhi achchhe log buro ko sabak sikhate samay apni aatma ki mool achchhai ko hi bhool jaate hain, ve buro jaise ho jaate hain.... iss bareek antar ko sadaiv yaad rakho, kyonki yahi antar maanav ko pashu hone se bachata bhi hai.... buro ko sabak sikhao kintu pashu mat ban jaao...... - ------------------------------ Yuhin achanak prashansa karne wale log doodh se dhake huye vish kumbh ki tarah hote hain, jinse sadaiv sachet rehna chahiye....... - ------------------------------ Jab koi vyakti, shatru aur mitra mein bhed naa kar sake toh samajh lo usne patan ki orr apna pehla kadam badha liya hai...... - Chanakya ------------------------------ Jab koi achanak tumhari prashansa karne lage, toh tumhe unse bahut sambhal kar rehna chahiye..... - ------------------------ ...kisi ko kabhi Satya bolne se bhaybheet nahin hona chahiye...phir chahe woh satya uska saath de athvaa naa de.
Posted on: Fri, 15 Nov 2013 13:09:45 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015