Lailatul qadr.... Ramzan ke aakhri ashre ki ek raat jo hazar - TopicsExpress



          

Lailatul qadr.... Ramzan ke aakhri ashre ki ek raat jo hazar mahino se afzal hai... Please aap log poore aakhri ashre ibadat karo aur jitni zyada ho sake utni karo..raat me nahi din me bhi ibadat karo.. Jab thak ke neend aae tabhi so...In sha Allah yeh raat aap logon ko zaroor naseeb hogi... Hamko 5 saal pahle Allah ke karam se yeh raat naseeb hui..Shayad ab zindagi me dobara naseeB ho ya nahi Allah behtar janta hai..Hamne us saal Allah ke karam se bahut zyada ibadat ki thi Din raat ibadat karte rahte the.. Yeh 26 ramzan ki subah thi..thori der me fajr ki azan hone wali thi...Hum quran par rahe the..socha sirf 1 min. Ke liye aram ker lain..hamare lette hi hamko neend aa gayi kuch minto ke liye...hum dekhte hain ki poora aasman jagmaga raha hai..sab kuch sone ka hai..Per sone ke hain pattiyan Sone ki hain..aur bahut hi khubsoorat aasman me aatashbazi ho rahi hai..Poora aasman jag mag jagmag ho raha hai...her cheez sunahri hai..Beech aasman me Ek bahut badi chakar ghinni ghoom rahi hai..Uski bauchar jo nikal rahi hai woh bhi Sone ki hai...aisa khubsoorat manzar ki hum tamanna bhi nahi ker sakte the kabhi...eka ek meri aankh khul gayi..baad me jab sooraj nikla hamne uski kirne waisi hi sunahri thin jaisi ki hamne khuwab me dekhin thin...us din hum bahut khush the aur sab se apne khuwab kE baare me bataya.. Meri sabhi se ilteja hai aap log aakhri ashre me poora din raat ibadat karo, Namaz paro, quran paro...Allah aap ko zaroor yeh khubsoorat manzar dikhaega.. Ameen
Posted on: Fri, 26 Jul 2013 23:21:51 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015