Mazaarat Per Hazri Ka Tariqa ….. »Aurton Ko TohMazaarat Per - TopicsExpress



          

Mazaarat Per Hazri Ka Tariqa ….. »Aurton Ko TohMazaarat Per Jaane Ki Ijazat Nahi, Mardo Ke Liye Ijazat Hai Magar Woh Bhi Chand Usoolo Ke Sath. 1. Peshani Zameen Per Rakhne Ko Sajda Kehte Hai Yeh Allah Taa’ala Ke Alawa Kisi Ke Liye Halaal Nahi Kisi Bujurg Ko Uski Zindagi Me Ya Mout Ke Baad Sajda Karna Haraam Hai, Kuch Log Mazaraat Per Naak Aur Peshani Ragdte Hai Yeh Bilkul Haraam Hai. 2. Mazarat Ka Tawaf Kerna Yaani Uske Gird Khana-e-Kaaba Ki Tarha Chakker Lagana Bhi Najayaz Hai. 3. Aaj Ru-e-Adab Kam Se Kam 4 Hath Ke Faasle Par Khada Ho Kar Fathia Pade, Chumna Aur Chuna Bhi Munasib Nahi. -:(Ahkame Shariyat Safa 234) » Tashrih: Kuch Log Smajhte Hai Ke Sajda Bagair Niyyat Aur Kaabe Ki Taraf Mutawajhe Hue Nahi Hota. Yeh Bhi Jahilana Khayal Hai Sajde Me Jiski Taazim Ya Ibadat Ki Niyat Hogi Usko Sajda Mana Jayega Aur Jo Sajda Allah Ki Ibadat Ki Niyat Se Kiya Jaye Woh Allah Taa’ala Ke Liye Hoga Aur JoMazaarat Par Ya Kisi Bhi Gair-e- Khuda Ke Samne Kiya Jaye Woh Usi Ke Liye Hoga Khulasa Yeh Hai Ki Zameen Par Kisi Bande Ke Samne Sar Rakhna Haraam Hai. Yuhe Baqadre Ruku Jhukna Bhi Mana Hai. Haan! Hath Bandh Kar Khada Hona Jaiz Hai. » Hawala: -: (Galat Fehmiyan Aur Unki Islah {Mukamal} Page No. 64)
Posted on: Sat, 28 Sep 2013 18:04:38 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015