Mid day Meal: Dosto aapko shayad atpta hi lagega, par main Midday - TopicsExpress



          

Mid day Meal: Dosto aapko shayad atpta hi lagega, par main Midday Meal ka virodhi hun, siraph isliye hi nahin ki isne 2 dozens kids leel liye hain, vern isliye bhi ki antteh ye lok lubhawan sarkari neetian siraph :- 1. National aur International stur par wah-wahi lootne ke liye hain. 2. National aur International madad/paise ko thikaane lagaane ka ochha saadhan hai. 3. Swabhimaanta paida nahi karte. ......(for both kids and parents) 4. Jimmewari ka bhaw paida nahin karti (Pariwar/Desh ke liye). ..(for parents) 5. currupt log paida karti hai. ...(yahan tak ki teacher bhi) Main samajh nahin paaya hun ki Lok lubhawan neetion(midday meal, free ration, electricity free, nrega, food security and many other free plans) par jo paisa kharach kiya jaata hai usse esi neetian kiyon nahin banaayi jaati jo:- V Imp: (Basic resoponsibilties of the Govt) Har ek vyasak ko yogiyata anusaar rozgaar ka parbandh kare. (Maan kar chaliye apne pairon par khara vyakti Swabhimaani hota hai, chahe veh kisi bhi Jati, Sampardaye, Samajik/Arthik agra ya pichhra ho). Esa karne se niminlikhit fayde honge:- (a) Swabhimaan log (b) Imaandar(honest) log (c) Unnatisheel log (d) Desh se piar karne wale log. (e) Rashter k sabhi kism k saadhno ka sahi upyog hoga. Conclusion: Govt agar sirph CHARITRA NIRMAAN par dhiyan de mujhe shaq nahin ki mere desh mein:- 1. Votes nahin bikenge 2. Lok Lubhawan sarkari neeti gair jaroori aur aswikariya ho jayengi. 3. Lok tantar k teenon khambhe corruption se door aur majboot honge. 4. Maran-Assan Sarkari Udyog dorne lagenge. 5. Yogiata anusaar aajiwka k saadhan milenge. 6. Corruption dam tor degi. 7. Dharam, Jaati, aadi sabhi bhed bemaani ho jaayenge. 8. Desh ka VATAVARAN REHNE LAAYAK ho jayega. 9. Desh Videsh men Bharat/bhartiyta ki SAAKH hogi. Bhartiye sir utha kar jee payenge. (Hamare bachche bemot aur jillat wali maut nahin marenge).
Posted on: Fri, 19 Jul 2013 15:40:14 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015