Nabi-e Kareem (Sallallahu alaihi wasallam) ke Zamane me ek shakhs - TopicsExpress



          

Nabi-e Kareem (Sallallahu alaihi wasallam) ke Zamane me ek shakhs ki Maut ka waqt (jakani) ka aaya to uski Zuban se KALMA TAYYEBA na nikal saka. Logo ne Bargah-e Risalat (Sallallahu alaihi wasallam) ye Maajira Arz kiya… Huzoor Anwar (sallallahu alaihi wasallam) waha Tashreef laye,aate hi us shakhs ko Kalima padhane ki koshish ki magar uski Zuban ne kaam na kiya… Huzoor Akram (Sallallahu alaihi wasallam) ne Logo se poochha kya ye Namaz Roze me Susti karta tha? Logo ne Arz kiya Ya Rasoolallah ! Ye Namaz Roze ka bahut pawand tha. Huzoor Akram Noore Mujassam (Sallallahu alaihi wasallam) fir Farmaya kiya ye apne Maa Baap ki Naa farmani karta tha? Logo ne Arz kiya Ya Rasoolallah! Haa ye apne Maa ka Naa Farman tha. Huzoor Anwar (sallallahu alaihi wasallam) ne kaha ke iski “MAA” ko bulao? Uski Maa Ayee aur Sarkar (alaihissalam) ne dekha ke uski Maa kaafi Boodhi thi… Huzoor Akram (sallallahu alaihi wasallam) ne Farmaya apne is Bete ko Maafi dede? Woh boodhi Maa boli ! Ya Rasoolallah ! mai Maaf na karungi,is bete ne mujhe bahut sataya hai… mujhe Tamacha marke Kaana kardiya. Rasoolallah (Sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya Acha Lakdiya aur AAG laao ham ise jalyenge,is ki Maa ke Samne,kyun ke ye ise Maaf nahi karti. Woh boli ! Ya Rasoollallah? Maine Maaf kiya,maine Maaf kiya,Maine Maaf kiya… maine ise apne Pet me 9 Maheene rakha,2 saal doodh pilaya isliye nahi ke ye mere samne Aag me Jale. Maa ka ye kahna tha ke marne wale bete muh se Kalma Tayyeba jari hgaya. (LAA ILAHA ILLALLAHU MUHAMMADUR RASOOLALLAH) . DEKHA MERE BHAIYO AUR BAHNO YE HAI MAA KI MUHABBAT JO APNE AAKHO KE SAMNE APNE BETE KO JALA NAHI DEKH SAKTI,TO WO PAK PARWARDIGAR ALLAM KAISE GAWARA KAREGA APNE BANDO KO AAG ME JALNE SE JO HAR MAA SE 70 GUNA ZIYADAH CHAHTA HAI . ALLAH PAK SE DUWA HAI KE YA ILAHAL AALAMEEN HAM SAB MUSALMAN BHAIYO AUR BAIHNO KO APNE WALIDAIN KA FARMA BARDAR BANA AUR HAMARI AANE WALI NASLO KO HAMARA FARMABARDAR BANA. (AMEEN YA RABBAL AALAMEEN)
Posted on: Thu, 05 Dec 2013 07:44:50 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015