Pichle 4 saal se Wake Up Agra Yamuna shuddhikaran aur Yamuna mei - TopicsExpress



          

Pichle 4 saal se Wake Up Agra Yamuna shuddhikaran aur Yamuna mei paani ke liye nirantar pryatnsheel hai, iske liye anek baar Safai abhiyan, bade bade awareness Campaign, Ghoshti organise ki gyi. Wake up Agra ka Sankalp hai Yamuna Shuddhikaran.....aaj nahi toh kal hoga zarur. Aap sabhi ko malum hai Yamuna ka humare jeevan mei kitna bada mahetv hai, aur kuch nahi toh itna toh sabhi jante hain Agra mei peene ke pani ke liye hum totally Yamuna par dependent hain. Agar Yamuna mei paani nahi toh humari aane wali peedi jiske liye hum pagalon ki tarah paisa kamaane mei lage hain wo buri tarah prabhavit ho jayegi. Aap sabhi logon se appeal hai Yamuna Maiyya ki importantance ke madde nazar aap sab bhi humse ya kisi na kisi madhyam iss mudde se juddein
Posted on: Sat, 07 Jun 2014 09:02:17 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015