REASON BEHIND THE FAILURE OF SANT RAMPAL. Brothers, Jai - TopicsExpress



          

REASON BEHIND THE FAILURE OF SANT RAMPAL. Brothers, Jai Yoddhay. Mujhe aisa lagta hai ki Sant Rampal Maharaj ne planning kuch aur banaai thi, lakin unki planning, ulti padd gai, aur jo ve chahtay thay, weh nahi ho paya. ... Unn par contempt of court ka case tha, jissme unke khilaaf Non Bailable Warrant issue huae thay, iss case me unke, do aur friends ( co-accuseds) , Mr. Dhandha aur Mr. Hooda ko bail bhi mil gai thi. To Babaji ke dimag me tha ki, jab issi case me, co-accuseds ko bail mil gai hai to, unko bhi bail mil jayegi, to iss se pehlay, apne followers ko, consolidate karne ke liye, aur National Media me publicity karne ke liye thoda sa drama create kiya jaye. Yahan tak to yeh baat theek thi, kyonki propaganda ke liye aisa kiya ja sakta hai. ... Lakin, Babaji ki yeh planning fail ho gai. Army Training me Officers ko ek baat samjhaai jaati hai ki, PLANNING IS THE FIRST CASUALTY IN WAR, ki war me sabse pehlay, planning shaeed hoti hai. ... To Babaji ki planning fail hui, baat apne followers ko consolidate karne se aagay nikal gai, aur Ashram hi khatam ho gaya. ... isskay kya reasons hain. Asal me movement ko khada karna ek science hai, theek waise hi jaise AIR PLANE ko hawa me uddana ek science hai. Movement ko khada karna ek science hai, to movement ko, kuch na kuch positive results ke sath, khatam karna bhi science hai, theek ussi tarah, jis tarah Air Plane ko, hawa se jameen par utaarna ek science hai. Agar issko, tarikay se na kiya jaye to, Crash Landing hoti hai, aur nuksaan hota hai. ... Baba ji ne movement to khadi ki thi, lakin ve isko khatam tarikay se nahi kar sake. Movement ke Air Plane ki crash landing ho gai. ... Isske, kuch reasons rahe hongay: 1. Ho sakta hai ki, Ashram ke andar movement Baba ji ke hath se nikal gai ho, kyonki jab movement khadi hoti hai, to followers bahut jyada josh me aa jate hain, mass - hysteria paida ho jata hai. Iss Mass -hysteria ke environment me Mob, apne leader ki bhi nahi sunti, log apna apna dimag lagaanay lag jaate hain. To ho sakta hai ki Ashram ke andar, itna hysteria paida ho gaya ho ki, Baba ji ko lagne laga ho ki, agar ve inn motivated logo ko, ruknay ke liye kahaingay, to kahin ye log, hi mere khilaaf na ho jaye, aur ye na kehnay lage ki Baba, darpok hai. Agar, aisa mahaul tha, to yeh pakki baat hai, ki iss mahaul me, agar Baba ji, movement ko rokne ki kehtay to, inkay Bhakt, Baba ji ka hi murder kar dete, kyonki, jab mob -hysteria paida hota hai, tab mob, dimag kho deti hai. 2. Aisa tabhi hota hai, jab cadre ko puray tarikay se cadreise na kiya gaya ho, ho sakta hai ki cadre, pura cadreise na ho. 3. Baba ji ne, State power ke part, Judiciary ko challenge kiya, agar ve Brahminism ko challenge kartay to, unka message positive jata, ve indirectly to brahmins ke khilaaf hain, lakin iska gesture nahi de sake. Unko, seedha, brahminism ko challenge karna chahiye tha. Lakin weh iss liye nahi kar sake kyonki, Baba ji ne Brahmins ko bhi, apna chella bana rakha tha, aur unko guru mantra de rakha tha. Shayad, ye unki majboori bhi thi, kyonki yeh ek sect ko khada karne ke dynamics ka part hai, ki yahan Guru, directly, caste ki baat nahi kar sakta. Lakin, ek sect ko khada karne ke issi contradiction ki wajah se jat aur dalit, unke favor me mobilize nahi ho sake, ulta unke khilaaf ho gaye. ... Lakin, friends, yeh yaad rakhna, jis movement ko khada karne ki hum tyyari kar rahe hain, weh iss episode se seekh kar hi aagay badhayga. ... Maharishi Manoj Duhan, 20.11.2014
Posted on: Thu, 20 Nov 2014 05:21:52 +0000

Trending Topics



pic-10152011878889585">This is when you know you are a good day!! After dropping off my
Lent Reflective Question for Saturday 8 March Today’s Reading
COWABUNGA! We had such a busy weekend, so we are keeping both of
Our political party system is workable. Its the players who screw
ANO NGA BA ANG EMGOLDEX? and PAANO KUMITA AT SUMALI DITO? Patuloy
oh my.......and remember.....THERE WERE PEOPLE in all those

Recently Viewed Topics




© 2015