" STORY of LIFE ¥ RELATiON" - TopicsExpress



          

" STORY of LIFE ¥ RELATiON" o_O Ham kabhi-kabhi naye logo se milte h, jaane me anjaane me aur us par sone par suhaga ,agar vo hame pasand aa jate h ya phir kah lo ham unhe thoda thoda pasand karne lagte h to ham sirf unke bare me sochne lagte hai,aur sirf uske bare me baat karne lagte h, unme se kuch baate hame pasand aati h or kuch nahi jese: - sirf apne liye unko hitlar mahsus karna, unki aawaj me politeness, ya apne kaam ke liye dadicate hona, unka talent , galo par pade dimple ohho, hair clature, muskurahat, aur unki aawaj sunkar to aisa lagta h ki unki aawaj sunte rahe bas unhe hi sunte rahe. or agar vo samne aa jaye to unse nazar hi nahi hatati hamara man bas ye kehta h ki unhe hi dekhte rahe.. aur unme khone ko dil & man karta h.. or unke samne aate hi blAnk ho jana etc.. abhi tak ek dusro ko pata nahi tha ki wo dono ek dusre ko chahne lagte h, wo dono ek dusre ko contact karne ki koshish karte h but girl- mobiile is swith off ya not coverage area nd boy - wrong no. number because last ka ek digit galat hota hai or dono ka contact nahi ho pata phir achanak wo ek dusre se bina kisi jhijhak ke baat kar call par baat karne ki baat karte h or phir girl- i m waiting for ur call, and unki baat hona shuru ho jati h or dhire dhire vo ek dusre ke ho jate h unko pata hi nahi chalta unks relation ban jata h. Or vah ek dusre ki care bhi karne lagte h.. Life 3 tarah ki hoti hai----- 1.) Professional life -- agar professional life me kabhi bhi personal life lekar aayenge to aap hamesha paresan rahoge jese-- boy aur girl ghumne jate h aur unhe bahar koi office ka person mil jata h to iska matlab ye nahi ki vo usse darenge ya unme himmat nahi ki us person ko face kar sake, boy- uski thinking ye h ki vo nahi chahta ki uski personal life ko koi jane ya uske personal life ke bare me discuss kare.bas vo ye sochta h ki agar uske ghar me bhi agar koi problem h to vo kabhi bhi apni professional life me zahir bhi nahi hone deta.. Jese--ek bache ke mummy or daddy apne romantic relation ke bare me kabhi apne bacho ko pata nahi chalne dete galat asar padta h.......**/- 2.)Personal life -- personal life ke andar agar professional life lekar aaoge to bhi paresan rahoge..kyoki agar aap apne partner se apni professional work ke bare me baat karoge to ek dusre se kab baat karege ya ek dusre ke baare me kab baat karoge time kese nikal jayega pata bhi nahi chalega... Aur agar family ko time nahi de paoge to unki taraf se kafi complaint aane lag jayegi chhoti chhoti baate kaanto ka kaam karegi dhire dhire ladai ho jayegi aur aap paresan hone lagenge aur aap rone lagege, aapka man marne ko karega.... 3. Social life -- agar aapne apne pados me ek rapo bana rakhi h , ya phir usko koi jante hi nahi agar koi uski rapo kharab kar deta h koi hangama karke ya phir us habgame se usko jaanne lagte h to wo kafi down feel karta h... Yaha par hamare decision ki bahut jyada ahmiyat h... Social life ki vajah se uski personal or Professional life dono par gahra asar padta h... RELATION: -----:-----:------~> Jab Jab hamara kisi ke sath relation hota to kabhi kabhi uss relation ko name dena bada mushkil ho jata h Ham confused ho jate h or us relation ko name de nahi pate, kyoki iski kafi vajah hoti h jese uska past or future...par us relation me ham aur gahraiyo me khote chale jate ha, kabhi kabhi ham us relation ke liye kafi pareshan ho jate h, or ham apneaap ko bahut akelapan mahsus karte h, o aur log{parents} hamari feelings nahi samjhte, bas wo hame samhelna hi de sakte h, aur jab is relation se bahar nikalne ki koshish karte to nikal nahi pate, aur kafi paresan ho jate h, aur bas vo ek baat hi ham sochta h, ki mujhe duniya se koi shikwa nahi aur mujhe is duniya se kya lena aur mera jina hi kya, marna hi kya jab sath tera nahi, aur un dono ki dhadkan to khuda sun hi raha hota h, isliye jo bhi h hame bas pyar me dube rehna chahiye pyar me itna dub jao ki hame chasni ki jarurat hi na pade kyoki chasni ki jarurat un relation ko padti h, jinme khatash hoti h. Bas ye chand lamhe jinhe jee lo kyoki ye chand lamhe phir dubara nahi aane wale.
Posted on: Fri, 26 Jul 2013 11:38:29 +0000

Trending Topics



>
Thanks for sharing Denese. My Mom was a top priority in my life
★*★* VIP AT Q CLUB *★*★ Have you got a birthday,
Aaj Jaane Ki Zid Na Karo [Please dont insist on leaving today]is a
Well I woke up this morning thinking it was my normal wake up
A Million Poisoning Planes!!! Chemtrails: The Consequences of

Recently Viewed Topics




© 2015