» Sawaal : Qayamat Kise Kahte Hai ? » Jawaab : Qiyaamat Ke - TopicsExpress



          

» Sawaal : Qayamat Kise Kahte Hai ? » Jawaab : Qiyaamat Ke Mayne Hai Dobara Uthaaya Jana, Duniya Ka Fanah Ho Jana. Allaah Ta’ala Apni Kitaab Quraan-e-Kareem Me Farmata Hai Ki, Ek Din Aesa Hoga, Jab Woh Tamaam Paida Kiye Huye Cheezo Ko Mita Dega, Ussi Din Ka Naam Qayamat Hai. » Sawaal : Qayamat Kab Nazil Hogi.? » Jawaab : Qayamat Kab Qayam Hogi Iss Ka Ilm Sirf Allah Ta’ala Ko Hi Hai. Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! “(Aye Rasool) Tumse Log Qayamat Ke Bare Me Poocha Karte Hai Ki Kahi Uska Koi Waqt Bhi Tay Hai Tum Kehdo Ki, Uska Ilm Bas Fakt Parwardigar Ko Hi Hai Wohi(Allah) Uske Waqt Muayyan (Mukarrar) Par Usko(Qayamat Ko) Jahir Kar Dega. Woh Saare Aasmaan Wa Zameen Me Ek Kathin(Mushkil) Waqt Hoga Woh Tumhare Paas Bas Achanak Aa Jayegi Tumse Log Iss Tarha Poochte Hai Goya Tum Unse Bakhubi Wakib Ho Tum Saaf Kehdo Ki Uska Ilm Bas Allah Hi Ko Hai Magar Bahutse Log Nahi Jante”. -: (Surah : Al-Aaraaf, Aayat:187)
Posted on: Tue, 23 Jul 2013 00:17:20 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015