Shia Hazrat Ayesha ko kyoon Nahi Maantay (Quran o Hadees k - TopicsExpress



          

Shia Hazrat Ayesha ko kyoon Nahi Maantay (Quran o Hadees k Hawaalay)Hazrat Ayesha k baaray men Hamain sunni bhaiyon se shikayat hai k unnhon ne insaaf nahi kya. Teenon khulfaa ka sirf inkaar karnay ki waja se wo shiyon ko to kaafir kahtay hen aur Chotay Khalifa k khilaaf jang karnay waalay (Ameer Mavia aur Hazrat Ayesha). musalman bhi hen aur qaabil e ahtaram bhi. Kya ye Hazrat Ali R.A se bughz nahi? . Aap hi ki kitab Sahi Muslim se paish hai:- . Hazrat Ali R.A ne farmya: Uss Hasti ki qasam jiss ne daanay ko cheer kar zindagi paida ki, Rasool Allah S.A.W ne Mujh se waada kya hai k Mujh se muhabbat karnay waala momin aur mujh se bughz rakhnay waala munaafiq hai{Sahi Muslim English Book 1 Hadith No 141 tarjuma}. . Phir Ahl e Sunnat to kam bughz rakh rahay hen k Hazrat Ali R.A se jang karnay waalon ko qaabil e ahtaraam samajh rahay hen, unn hastiyon k baaray men kya khayaal hai jinnhon ne Hazrat Ali R.A se jang ki? Unn ka bughz to saabit hai k wo sirf dil ya zabaan se bughz ka izhaar nahi kartay balkay unn k khilaaf jang bhi kar chukay hen. Aur Nabi S.A.W ki biviyon ko to Allah ne bata bhi diya tha k:- . (Aey Nabi ki biviyo) apnay gharon men tahri raho {Sura Ahzab Ayat 33} . Leken Hazrat Ayesha to na sirf ghar se nikleen balkay khalifa k khilaaf jang bhi ki. Yaani pahlay bataaey jaanay waali hadees aur ayat donon ki nafarmaani. Phr ahl e sunnat hazraat kahtay hen k Nabi S.A.W ki nisbat se unn ka ahtaraam hai aur shia unn k khilaaf boltay hen. Iss baat par Quran e Kareem k hawaalay paish hen jinn men waazay tor par bataaya gaya hai k Nabi ki nisbat se nahi balkay Allah k qurb se ahtaraam hota hai. . ALQURAN: . So Hum ne Loot ko aur unn k ghar waalon ko bacha liya siwaaey unn ki biwi k, kyoon k woh azaab men reh jaanay waalon men se theen.{Sura Aaraaf Ayat 83} . Magar khaandan-e-Loot ko Hum zaroor bacha len gay siwaaey Uss (Loot) ki biwi kay {Sura Hijra Ayaat 59,60} . Pus Hum ney Ussay (Loot k) aur Uss k Ahl ko bacha liya siwaaey Uss ki bivi kay{Sura Namal Ayat 57} . (farishton ne kaha) Loot aur Uss k khandaan ko Bacha len gay siwaaey Unn ki bivi kay {Sura Ankaboot Ayat 32,33} Hazrat Nooh AS ki bivi aur baitay ko bhi unn ki nisbat se koi faaida na hua. Unn k baitay k baaaray men Quran paish hai . ALQURAN:- . (Toofaan k waqt) Nooh ne apney baitay ko pukaara aur kaha kay meray Rab, Maira baita to meray ghar waalon men say hai . . . Allah ne farmaya aey Nooh! yaqeenan woh teray gharaney say nahi hai uss k kaam bilkul hi na shaaista hen. Tujhay har giz woh cheez na maangni chahiyay jiss ka tujhay mutlaqan ilm na ho Mein tujhay naseehat karta hoon k tu jaahilon men say naa ho{Sura Hood Ayat 45 46} . Yahaan to Nabi ki nisbat kya balkay uss k liay dua karnay se bhi koi faaida na hua. Yahan tak k Hazrat Loot aur Hazrat Nooh AS ki Allah ne misaal paish kartay huay iss amar ka faisla kar diya k sirf Nabi ki nisbat insaan ko qaabil e ahtaraam nahi banaati. . ALQURAN: . Allah ne kaafiron k liay Nooh ki aur Loot ki biwi ki misaal byaan farmai . . . pus woh donon (naik banday) inn say Allah k (kissi azab ko) na rok sakay aur hukum dey dya gaya (aey aurton) dozakh men jaaney waalon k saath tum donon bhi chali jao.{Sura Tahreem Ayat 10} . Leken Allah k qurb ki waja se firon ki bivi bhi qaabil e ahtaraam hen. . ALQURAN: . Aur Allah ne mominon k liye firoan ki biwi ki misaal byaan farmai jab uss ne dua ki aey meray Rab! Meray liye apney paas jannat mein muqaam bana aur mujhay firoan aur uss k amal say bacha aur mujhay zalim logon say nijaat de {Sura Tahreem Ayat 11} . Bivi to kya sirf, Nabi ka baap hona bhi qaabil e ahtaraam nahi banaata. Quran ne Hazrat Ibraheem AS aur Unn k waalid Aazar ki misaal paish ki. . ALQURAN: . (Hazrat Ibraheem AS ne apnay waalid se kaha) Abba jaan! Mujhay khof hai k kaheen aap per azaab-e-ILLAHI na aa paray k aap shaitaan k saathi bann jaayen.{Sura Jaasiya Ayat 45}. . Hazrat Ibraheem AS ne apnay waalid k liay duay maghfirat bhi ki. . ALQURAN: . Aur (Aey Allah) meray baap ko bakhsh dey, yaqeenan woh gumrahon mein say tha . magar Irshad e Baari Taala hua: . Aur Ibrahim ka apney baap k liye maghfirat maangna sirf waaday k sabab say tha jo Unnhon ney uss say kya tha, phir jab unn par yeh baat zaahir ho gai k wo Allah ka dushman hai to woh iss say bey taalluq ho gaey{Sura Tauba Ayat 114} . aur saath saath Allah ne ye bhi farma dia: . (Musalmano!) tumharay liye Ibrahim men aur unn k saathiyon mein behtareen namoona hai{Sura Mumtahina Ayat 4} . Nabi ki nisbat par Itnay saaray Qurani dalaail k bawajood, agar sunni bhai ye kahain k Hazoor S.A.W to tamam Anbiya se afzal hen to Unn se nisbat qaabil e ahtaram ho jaati hai to iss k liay bhi Quran ne Hazoor S.A.W k chacha aur chachi (Abu Lahab aur uss ki bivi) ki muzzamat kar k hujjat tamaam kar di. . ALQURAN: . Abu Lahab ky donon haath toot gaey aur who (khud) halaak ho gaya. Na to uss ka maal uss k kaam aaya aur na uss ki kamaai. Wo anqareeb bharakney waali aag men jaaey ga. Aur uss ki biwi bhi (jaaey gi) jo lakriyaan dhonay waali hai.uss ki gardan men post khajoor ki bati hui rassi hogi {Sura Tabbat Ayaat 1-5} . Ab hamaray sunni bhai ye bhi kah saktay hen k Quran men hai k Rasool ki biviyaan mominon ki maaen hen to hum ye batatay chalain k ye iss liay kaha gaya k Rasool S.A.W k baad bhi unn ka darja maan waala rahay ga aur unn se koi shaadi nahi kar sakay ga. Agar momineen ki maan kahna, izzat o ahtaraam k liay hota to Rasool S.A.W ko baap kaha jaata, leken Quran ne na sirf ye k Unhain baap nahi kaha balkay baap honay ki nafi ki. . ALQURAN: . Muhammad tumharey mardon men se kisi k baap nahi magar Allah k paighamber hen {Sura Ahzaab, Ayat No 40} . to iss ayat se pata chalta hai k maan ya baap kahna qaabil e ahtaram honay ki nishani nahi warna to baap honay ki nafi kar k (mazallah) Quran ne Rasool S.A.W ko qaabil e ahtaram nahi samjha. Quran ne Hazoor S.A.W ki biviyon ko buhat dafa tanbeeh bhi ki hai. . ALQURAN: . Aey Paighambar ki bivio, jo tum men se sareeh naa shaaista harkat karaigi iss ko dugni saza di jaaegi {Sura Ahzaab Ayat 30} . Aey Paighamber ki biviyo (kissi ajnabi shaks se) narm narm batain na kya karo {Sura Ahzaab Ayat 32} . Agar Nabi S.A.W ki biviyaan har baat bilkul sahi karti theen to Allah aisa na kahta. Quran ne ye bhi bataya k Nabi S.A.W ki biviyaan unn ka raaz faash kar daiti theen. . ALQURAN: . Aur yaad karo jab Paighamber ne apni bivi se aik raaz ki baat kahi aur jab uss ne raaz faash kya to Khuda ne Paighamber ko aagaah kar dia{Sura Tahreem Ayat 3} . Nabi S.A.W ki 2 biviyon ko Khuda ne Tauba karnay ka bhi kaha: . ALQURAN: . (Aey Nabi ki biviyo) agar tum donon Khuda k aagay Tauba karo (to bahtar hai kyoon k) tumharay dil jhuk gaey hen aur agar Paighamber ko takleef dainay k liay aik doosray ki madad karo gi to Khuda aur Jibraeel aur naik kirdaar musalmaan aur farishtay inn k haami aur madadgaar hen{Sura Tahreem Ayat 4} . Nabi S.A.W ki biviyon ko unn ki harkataon se baaz rakhnay k liay ye bhi kaha Agar Paighamber tum ko Talaaq de den to ajab nahi k Unn ka parwardigaar tumharay badlay, inn ko tum se bahtar biviyaan dey dey{Sura Tahreem Ayat 5} . . hataa k Allah ne apnay Nabi ko ye tak kah dia:- . ALQURAN: . Aey Paighamber apni biviyon se kah do k agar tum dunya ki zindagi aur iss iss ki zeenat o aaraaish ki khuwaahish mand ho to aao Mein tumhain kuch maal de kar achi tarah se ruksat karoon. . Hamara sawaal phir wohi hai k agar Nabi S.A.W ki biviyaan bilkul sahi theen to Allah ne unnhain Quran men itna kyoon jhirka jitna Hazrat Nooh aur Loot AS ki bivi ko nahi daraaya ya Abu Lahab ki bivi ko. aik aur jaga irshaad farmaya: . ALQURAN: . (Aey Nabi ki biviyo) apnay gharon men tahri raho aur jiss tarah jaahiliyat k dinon men izhaar e tajammul karti theen, iss tarah zeenat na dikhaao {Sura Ahzab Ayat 33} . Hazrat Ayesha to ghar se bhi nikleen aur Hazrat Ali R.A se jang bhi ki, jab k Rasool S.A.W ki bayan ki gai hadees wazay tor par aisay shaks ko munafiq kah rahi hai jo Hazrat Ali R.A se bughz rakhay. Anbiya ki nisbat pe hum ne Quran ki ayaat dekheen aur Khuda ka Nabi S.A.W ki biviyon ko jhirakna bhi daikha, Hazrat Ayesha ki Hazrat Ali R.A se jang taareekh ka hissa hai aur Hazrat Ali R.A se bughz rakhnay waalay ko munafiq samajhna bhi hadees e Nabwi hai jo Sahi Muslim men mojood hai. Sahi Bukhari se aik aur Hadees paish hai: . Hazoor S.A.W ne farmayaAllah ki qasam, agar Meri baiti Fatima bhi chori karaigi to Mein uss k haath katwaanay ka hukam bhi de doon ga {Sahi Bukhari English Volume 4, Book 56, Hadith No 681tarjuma} . . . to pata chala k mujrim chaahay Rasool S.A.W ki baiti hi kyoon na ho, uss ki saza waisi hi hai jaisay aam aadmi ki. Ab agar Shia, Khulafaa k inkaar par Kaafir aur dozakhi hen to Uss khalifa se jang karnay waali bhi to kaafir aur dozakhi hueen jinn se bughz rakhna bhi nifaaq hai aur jang karna to. . . aur abhi bhi ahtaraam, Rasool S.A.W ki nisbat se, hi hai to hum wohi kahain gay jo Allah ne farmaya:- . ALQURAN: . Kya ye loge Quran men ghor nahi kartay ya (unn k) dilon par taalay paray huay hen{Sura Muhammad Ayat 24}
Posted on: Thu, 05 Dec 2013 07:50:50 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015