Subah ke intejaar mein woh tanha raat mujhe yaad hai.... Phir - TopicsExpress



          

Subah ke intejaar mein woh tanha raat mujhe yaad hai.... Phir subah subah tumhse milkar tumhara mushkurana mujhe yaad hai.... Kabhi kabhi bol kar tumhara na ana mujhe yaad hai.... Tumhare intajaar mein dhire dhire mera gunguna mujhe yaad hai.... Chalte chalte pyarse tumhara mera naam bulana mujhe yaad hai.... Kabhi tujhe hasana aur kabhi rulana mujhe yaad hai.... Tumhare liye kisi se bhi (park me) ladh jana mujhe yaad hai.... woh purana qila aur woh nadi ka kinara mujhe yaad hai.... ladkhadane par tumhare najuk haton ka sahara mujhe yaad hai.... Barish mein bheeg kar tumse battien ladana mujhe yaad hai.... aur kya kahun tumse, tumhare saath beeta hua har phasana mujhe yaad hai.... yaad hoga sayad tumhe bhi, lekin hamein tumhari har woh ada yaad hai... Kab aayegi phir woh subah malum nahi, lekin tumharara woh bhula hua wada mujhe yaad hai.........
Posted on: Sun, 09 Jun 2013 22:00:53 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015