Summary of Baba Ji’s Blessings (New York, 18-Sep-13)- Sadh - TopicsExpress



          

Summary of Baba Ji’s Blessings (New York, 18-Sep-13)- Sadh Sangat Ji Prem se kehna Dhan Nirankar Ji 1) New York mein ye sama bana aur paarivaarik roop mein aap sabhi ke darshan karne ka mauka mil raha hai aur bahut khushi haasil ho rahi hai. 2) Inn ilaakon ke bahut se aise sthaan hain jaha jaane ka dhyaan bana par jaana munkin nahi ho paaya. Sabhi door daraaz ilaakon se Mahapurush har jagah pahunchte rahe lambe-2 safar karke, chaahe America mein ya Canada mein, aur bahut sunder vaatavaran bana, sabhi ne apni Bhakti waali mehak ko baanta. 3) Ye mehak chaaron aur failti chali jaaye, jo Bhakti ke kaaran hoti hai, jo Gurmat pe chalne ke kaaran hi hoti hai, iss Rang mein rangkar jeevan jeene ke kaaran hi hoti hai. Dataar, aur koi Rang mujhe bhaaye naa aur koi aur rang mujhpar chade naa. 4) Sansaar apne prabhaav chhorta hai lekin prarthna Bhakt ye karta hai ki Dataar mann ko iss kadar rang de aur majbooti de de ki sansaar ka rang naa chadne paye, hamesha Bhakti aur naam ka rang hi chada rahe. Yahi rang jeevan mein shobha le aata hai aur sansaar ka rang kurupta de deta hai. 5) Mann chanchal hai aur kis kadar iski udaan rehti hai, panchi ne udna hai aur uske liye aasmaan khula pada hai ki vo kisi aur bhi udd jaaye lekin Bhakt yahi maangta hai ki udaan meri jiss disha ki taraf bhi ho, Kyunki Teri har disha mein moujoodgi hai, main jis taraf bhi moonh karun, pehle Tera darshan aur Tera ehsaas ho, baad mein main apne saans lun. 6) Lagan aur dhun hoti hai, jiss taraf bhi lag jaaye. Kitne Athletes aur Sportsman hain. Unko dhun hoti hai apni health ko maintain karne ke liye. Vo kitne -2 jatan aur prayaas karte hain aur ek hi dhun hoti hai ki mukaam tak pahunchna hai. Isi tarah Bhakt bhi yahi prarthna karta hai, ki Dataar mujhe bhi lagan lagi rahe aur main bhi utaawla rahun Satsang aur Sewa karne ke liye, auron ko jodne ke liye, madhur sambandhon ko sthapit karne ke liye aur sachchai ke sandesh ko jan-2 tak pahunchane ke liye. Isi ki wajah se mere jeevan ko unchai prapt hogi. 7) Jaise kehte hain ki jitna gud daalo, utni hi chaaye meethi banti hai, isi tarah jitni-2 manovriti hum iske(Nirakar) saath jodte hain, utna-2 Anand aata hai. Utna-2 hum halka-fulka mehsoos karte hain jaise koi bojh utar jaate hain mann se. 8) Gyan ki daat ko paakar, ye jo Nirankar ki prapti humein hui hai, jo kitne-2 rishi tyag karke aur shareeron ko gaalkar bhi prapt nahi ho paaya. Unhone shayad koi ridhi-sidhi ya shaktiyaan prapt ho gayi hongi, par vo ye sachi daat ko na prapt kar paaye jiske kaaran aatma ka kalyaan hona hai. 9) Isiliye Bhakt, kartagyata aur Shukraane ka bhaav rakhte hain ki Dataar shukar hai Tera ki ye daat hamein sahejta se hi prapt ho gayi hai, koi tapasyaaein nahi karni padi ya apne karm se nahi prapt ki. Ye Dataar ki kirpa hui ki itni badi duniya mein, hamaare hisse mein ye daat sahejta aur saralta se aa gayi hai. 10) Saralta se agar koi cheez mil jaaye toh aksar uski kadar bhi phir nahi hoti hai aur mushkil se prapt ho toh phir kadar hoti hai ki maine itni mehnat aur jatan kiye hain, isliye isko bahut sambhaal ke rakhunga. Lekin saralta se prapt hui cheez ki ehmiyat ke ehsaas kam ho jaata hai. Par jo iske rang mein range hote hain, vo Shukrane ka hi bhaav rakhte hain ki ye mere hisse mein aa gaya varna abhi karodon hain duniya mein jo abhi bhi andhkar dho rahe hain aur bhatak rahe hain,manzil se koso door hain aur iss sansaar se khaali haath hi laut gaye hain. 11) Dataar Teri kirpa hai ki aisa naata joda aur sang karaya ki ye daat aur daulat hisse mein aa gayi hai, aur iski kadr main hamesha hi karta rahun, kadr-o-keemat rahe Gurmukhon aur Mahapurshon ki bhi, jinhone bhi ise prapt kar liya hai. 12) Santo ka sang karne ke liye ye Dhun lagi rahe, Mahapurshon ke amolak vachan sunkar apne aapko iss Bhakti par sudrid karne ke liye, akeede aur vishvaas ko paripakv karne ke liye. Dataar aison se mila, jinke milaap se Teri taraf dhyaan aa jaata hai. 13) Jaise-2 parivaar mein ijaafa ho raha hai, lagataar ye sachchai ka sandesh har jagah pahunchaya jaa raha hai, chaahe vo kahin bhi rehte hon, kisi bhi bhasha ko bolne waale hon. Jiske hisse ye daat aati hai, phir bhashaayein kahin maayne nahi rakhti hain. Vo phir kaayal ho jaata hai iss daat ka, usko phir ye vishwaas ho jaata hai, ki hamein ye pehchaan mil gayi hai, tikaana aur ishaara mil gaya hai. 14) Kal 17 tareek thi aur Shahenshah Baba Avtaar Singh Ji ne 17-Sep-1969 ko apne iss nashwar shareer ko tyaaga tha. Tab se humne dekha ki kitne -2 jatan aur prayaas kiye gaye. Unhone Baba Buta Singh Ji ke saath akele hi chand Mahapurshon ke saath itne challenges ka saamna kiya aur beeda utha liya ki itne laanchan lagne ke bawjood bhi humne iss Sachi daulat ko baant-te chale jaana hai. Phir Baba Gurubachan Singh Ji ne dileri aur nirbhayata ke saath isko raftaar se bahut failaav diya, Mission ko majbooti di aur isko Globally establish kar diya aur isi Satye ke liye mahaan balidaan bhi de daala. 15) Anekon aur Mahapurshon ne bhi balidaan de daale, kewal aur kewal sachchai ke liye, iss Mission ko kaayam rakhne ke liye, isko badaane ke liye. Aise balidaano ki kadar hamaare manno mein bani rahe. 16) Har beet-ta hua din hamein ye paigaam dekar jaaye ki kal ka din jo aa raha hai, usme mujhe aur behtar karna hai, usmein apne ko aur paripakv karna hai, apni kami ko poora karna hai. 17) Mann mein aisi chahat ho ki beet-te hue samey ki sambhaal karun aur phir yahi adhaar ban jaata hai aane waale kal ki majbooti ka. Har pal iske rang meiin range hue, sabhi aage se aage badte chale jaayein. 18) May Nirankar Bless so that we may strengthen our devotion, wisdom always prevail and the Youth of the Mission may always move forward and be always progressive in true sense and positive in approach and thoughts. 19) Dhyaan hai ki media ka sahaara adhik liya jaaye, jaise aajkal video conference kaafi chalne lag padi hai, toh ho sakta hai ki uss roop mein bhi iska sahaara liya jaaye. Jaise kehte hain ki move with the time, toh already media ko adapt kiya gaya hai aur age bhi aur zyada hum isi karye ke liye, har mode aur media jo milta hai, usse Mission ko bhi majboot rakhein aur Bhakti ko bhi sudrid rakhein. 20) Ant mein Dataar se ardaas karega ki aap sabhi ko Dataar Bhakti karne ki shakti de, tan-mann-dhan ke sukh bhi pradaan kare, aur sabhi mil-jul kar aage se aage badte jaayein. Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji
Posted on: Tue, 24 Sep 2013 19:11:12 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015