Surat Az-Zumar- 39 (The Troops) - سورة الزمر (Sura-Zumur - TopicsExpress



          

Surat Az-Zumar- 39 (The Troops) - سورة الزمر (Sura-Zumur Makka mai Nazil hui, is mai pichattar (75) Aayatain hain) English and roman urdu translation page 3 & 4 بسم الله الرحمن الرحيم 39:21 Do you not see that Allah sends down rain from the sky and makes it flow as springs [and rivers] in the earth; then He produces thereby crops of varying colors; then they dry and you see them turned yellow; then He makes them [scattered] debris. Indeed in that is a reminder for those of understanding. 39:22 So is one whose breast Allah has expanded to [accept] Islam and he is upon a light from his Lord [like one whose heart rejects it]? Then woe to those whose hearts are hardened against the remembrance of Allah . Those are in manifest error. 39:23 Allah has sent down the best statement: a consistent Book wherein is reiteration. The skins shiver therefrom of those who fear their Lord; then their skins and their hearts relax at the remembrance of Allah . That is the guidance of Allah by which He guides whom He wills. And one whom Allah leaves astray - for him there is no guide. 39:24 Then is he who will shield with his face the worst of the punishment on the Day of Resurrection [like one secure from it]? And it will be said to the wrongdoers, Taste what you used to earn. 39:25 Those before them denied, and punishment came upon them from where they did not perceive. 39:26 So Allah made them taste disgrace in worldly life. But the punishment of the Hereafter is greater, if they only knew. 39:27 And We have certainly presented for the people in this Quran from every [kind of] example - that they might remember. 39:28 [It is] an Arabic Quran, without any deviance that they might become righteous. 39:29 Allah presents an example: a slave owned by quarreling partners and another belonging exclusively to one man - are they equal in comparison? Praise be to Allah ! But most of them do not know. 39:30 Indeed, you are to die, and indeed, they are to die. urdu translation: 39.21 Kiya aap ney nahi dekha kay Allah Taalaa aasman say paani utaarta hai aur ussay zamin ki sooton mein phonchata hai phir issi kay zariyey mukhtalif qisam ki khetiyan ugata hai phit woh khushk hojati hain aur aap unhen zard rang dekhtay hain phir unhen reza reza ker deta hai iss mein aqalmando kay liye boht ziyadah naseehat hai. 39.22 Kiya woh shaks jiss ka seena Allah Taalaa ney islam kay liye khol diya hai pus woh apnay perwerdigar ki taraf say aik noor per hai aur halaki hai unn per jin kay dil yaad-e-elahi say (asar nahi letay bulkay) sakht hogaye hain. Yeh log sareeh gumrahi mein (mubtila) hain. 39.23 Allah Taalaa ney behtareen kalam nazil farmaya hai jo aisi kitab hai kay aapas mein milti julti aur baar baar dohraee hui aayaton ki hai jiss say unn logon kay rongtay kharay hojatay hain jo apnay rab ka khof rakhtay hain aakhir mein unn kay jisam aur dil Allah Taalaa kay zikar ki taraf naram hojatay hain yeh hai Allah Taalaa ki hidayat jiss kay zariyey jissay chahaye raah-e-raast per laga deta hai. Aur jissay Allah Taalaa hi raah bhula dey uss ka koi hadi nahi. 39.24 Bhala jo shaks qayamat kay din kay bad-tareen azab ki sapar (dhaal) apnay mun ko banaye ga. (aisay) zalimon say kaha jayega kay apnay kiyey ka (wabal) chakho. 39.25 Inn say pehlay walon ney bhi jhutlaya phir unn per wahan say azab aa para jahan say unn ko khayal bhi na tha. 39.26 Aur Allah Taalaa ney unhen zindagan-e-duniya mein ruswaee ka maza chakhaya aur abhi aakhirat ka to bara bhari azab hai kaash kay yeh log samajh len. 39.27 Aur yaqeenan hum ney iss quran mein logon kay liye her qisam ki misalen biyan ker di hain kiya ajab kay woh naseehat hasil kerlen. 39.28 Quran hai arabi mein jiss mein koi kuji nahi ho sakta hai kay woh perhezgari ikhtiyar ker len. 39.29 Allah Taalaa misal biyan farma raha hai aik woh shaks jiss mien boht say bahum zidd rakhney walay saajhi hain aur doosra woh shaks jo sirf aik hi ka (ghulam) hai kiya yeh dono sift mein yaksan hain Allah Taalaa hi kay liye sab tareef hai. Baat yeh hai kay inn mein say aksar log samajhtay nahi. 39.30 Yaqeenan khud aap ko bhi mot aayegi aur yeh sab bhi marney walay hain. page 4 بسم الله الرحمن الرحيم 39:31 Then indeed you, on the Day of Resurrection, before your Lord, will dispute. 39:32 So who is more unjust than one who lies about Allah and denies the truth when it has come to him? Is there not in Hell a residence for the disbelievers? 39:33 And the one who has brought the truth and [they who] believed in it - those are the righteous. 39:34 They will have whatever they desire with their Lord. That is the reward of the doers of good - 39:35 That Allah may remove from them the worst of what they did and reward them their due for the best of what they used to do. 39:36 Is not Allah sufficient for His Servant [Prophet Muhammad]? And [yet], they threaten you with those [they worship] other than Him. And whoever Allah leaves astray - for him there is no guide. 39:37 And whoever Allah guides - for him there is no misleader. Is not Allah Exalted in Might and Owner of Retribution? 39:38 And if you asked them, Who created the heavens and the earth? they would surely say, Allah . Say, Then have you considered what you invoke besides Allah ? If Allah intended me harm, are they removers of His harm; or if He intended me mercy, are they withholders of His mercy? Say, Sufficient for me is Allah ; upon Him [alone] rely the [wise] reliers. 39:39 Say, O my people, work according to your position, [for] indeed, I am working; and you are going to know 39:40 To whom will come a torment disgracing him and on whom will descend an enduring punishment. urdu translation: 39.31 Phir tum sab kay sab qayamat kay din apnay rab kay samney jhagro gay. 39.32 Uss say barh ker zalim kon hai jo Allah Taalaa per jhoot bolay? Aur sacha deen jab uss kay pass aaye to ussay jhoota bataye? Kiya aisay kuffaar kay liye jahannum thikana nahi hai? 39.33 Aur jo sachay deen ko laye aur jiss ney iss ki tasdeeq ki yehi log paarsa hain. 39.34 Unn kay liye unn kay rab kay pass (her) woh cheez hai jo yeh chahyen nek logon ka yeh hi badla hai. 39.35 Takay Allah Taalaa unn say unn kay buray amalon ko door ker dey aur jo nek kaam unhon ney kiyey hain unn ka acha badla ata farmaye. 39.36 Kiya Allah Taalaa apnay bandon kay liye kafi nahi? Yeh log aap ko Allah kay siwa auron say dara rahey hain aur jissay Allah gumrah ker day uss ki rehnumaee kerney wala koi nahi. 39.37 Aur jissay woh hidayat day ussay koi gumrah kerney wala nahi kiya Allah Taalaa ghalib aur badla lenay wala nahi hai? 39.38 Agar aap inn say poochen kay aasman-o-zamin ko kiss ney peda kiya hai? To yaqeenan woh yehi jawab den gay kay Allah ney. Aap inn kahiyey acha yeh to batao jinhen tum Allah kay siwa pukartay ho agar Allah Taalaa mujhay nuksan phonchana chahye to kiya yeh uss kay nuksan ko hata saktay hain? Ya Allah Taalaa mujh per meharbani ka iradah keray to kiya yeh uss ki meharbani ko rok saktay hain? Aap keh den kay Allah mujhay kafi hai tawakkal kerney walay ussi per tawakkal kertay hain. 39.39 Keh dijiye kay aey meri qom! Tum apni jagah per amal kiye jao mein bhi amal ker raha hun abhi abhi tum jaan lo gay. 39.40 Kay kiss per ruswa kerney wala azab aata hai aur kiss per daeemi maar aur hameshgi ki saza hoti hai.
Posted on: Mon, 28 Jul 2014 12:30:00 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015