Tanhai mein ajeeb zamaney ki wafa dekhta raha Umer bhar apna ghar - TopicsExpress



          

Tanhai mein ajeeb zamaney ki wafa dekhta raha Umer bhar apna ghar tanha dekhta raha Kahin na kahin to badal hi jatay hain silsilay Magar main jahan gaya sehra dekhta raha Jane kyun qatratay hain log mujhe milne say Kal shab dair talak aaina dekhta raha Pani mangte magte meray honth pathar ho gaye Woh shaks mashkiza liye khara dekhta raha Be-gunah tha phir bhi sir jhukaye hue Sitam-gar ki sitam ki inteha dekhta raha Umar bhar mohabbat ka kuch youn silsila raha Main usay or woh duniya dekhta raha
Posted on: Sat, 05 Oct 2013 04:18:37 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015