The Last Words of MULA ALI A,S Before his death.,,. (Tumhe khofay - TopicsExpress



          

The Last Words of MULA ALI A,S Before his death.,,. (Tumhe khofay khuda ki nasehat krta ho aur duniya talbi ki zad may na ana agarchay duniya tumhry gird chakar lagaye., us chez pr afsos na krna jo tumhry hath na aa saki.,,.. hamesha haq baat kaho aur us khuda ki jazaa k liya kaam kro,.., sitamgaro se hamesha lartay raho aur mazloomo k madadgaar raho,..,tumhein aur tamam apnay farzandoon aur har us shaks ko wasihat krta ho jis tak meri yai wasihat phounchay.,,. Khuda ka khoof kro khuda ka khoof kro.,., apnay KABBOO ko munazzam rakho aur appas may sulah rakho kyu k meine MUHAMMAD(saw) se suna hai k logo k darmiyaan sullah krwana salon k rozay aur namaz se behter hai,.,,. khuda k liya YATEEMO ka khayal rakhna unko kabhi bhoka aur aisay hi na chorna,.,. Khuda k liya NEIGHBOURS ka khayal rakhna,., unki sefarish MUHAMMAD(saw) ne ki hai aur bohat bar un k baray may farmaya hai,,,. Khuda k liya QURAAN ka khayal rakhna kahi aisa na ho jaye k dosray log QURAAN pr amal krnay may tumse agay nikal jaye,,. Khuda k liya NAMAZ ka khayal rakhna jo tumhry deen ka satoon hai,.,. Khuda k liya kahi aisa na ho k HAJJ k moka pr kahi khana-e-khuda ko khali chor do,.,jitnay din bhi es duniya may ho agr KHANA-E-KABA k hurmat ka khayal na rakha tu sakht azaab pao gay,.,. Khuda k liya rah-e-khuda may apnay naam-o-jaan aur zubaan k zariye JIHAAD krtay rahna,.,. Aur tum bas apas may mil kr rahna aur ek dosray ko maaf krna zarori qarar deta ho, kahi aisa na ho k ek dosray se taluqaat khatam kr k ek dosray se moo mor lo,.., AAA Olaad-e-Abdul Muttalib mein tumhry hathon ko musalmano k khoon se alooda na dekho,,., Yai kahtay howay dikhai na dikhai dena k Ameer-ul-momineen ko mar diya geya hai aur meray katal k badlay meray qatil k elawa kisi ko na marna) The Last Words of MULA ALI A,S Before his death.,,. ALLAH hum sab ko es pr amal krnay ki tofeeq dey Ameen.,,.
Posted on: Thu, 25 Jul 2013 00:57:39 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015