The Legend of KBC....Kunal Who Am I - TopicsExpress



          

The Legend of KBC....Kunal Who Am I ?.......Why Am I ? & Whats My Truth ?................ Bhaiyo aur Bahano.....mera janm bahut he ajib paristithi me hua...Mere Maa ek garib Muslim Pariwar se thi(Nazimaa) unhone ek Hindu my father(Meghu Bahadur Sarki) se Prem vivah kiya...Mere pitaji ek riksaw chalak thay..Jab in dono ne prem vivah kiya toh Unke Pariwarwale unke khilaf ho gaye jinke karan mere Maa+baba ko alag apni dunya basani padi...Ye log Kolkata ke Pani tanky naamak jhugi basti me rahne lage; mere Pitaji Riksaw chala apna guzar basar kar rahe thay... Pani Tanky 27th Nov 1982 ko mera janm ish Pariwar me hua...Mere janm se mere Maa baba ka khushi ka thikana nahi raha; mere Pitaji(Meghu Bahadur Sarki) hume apne riksaw me bitha pura Kolkata ghumaya karte...Isi tarah hashta khelta samay bit raha tha; par niyati ko kuch aur he manjur tha samay ke sath mere Pitaji ko Sarab pine ki buri adat lag gai; jinke karan ab wah riksaw kam chalane lage; aur ghar ki haalat kharab hone laga; par pitaji Sarab ke nase me maa se jhagdta karte aur kaam kaaz tak nahi karte;.. Din par din mere pitaji(Meghu Sarki)Sarab ke aadi hote chale gaye jinke karan ghar me aaye din jhagde hone lage; majburan mere Maa ko dusro ke ghar bartan dhone ka kaam karna pada jinse wah mera aur pita ji ka pait bharti..Aur pitaji riksaw chala jo kamate wah Sarab pine me uda dete....Mere Maa jo ki ek Muslim aurat thi; mere pitaji se sadi karne ke baad mere pitaji ne mere maa ka muslim naam(Nazima)se badal kar Gita devi rakh diya.....Samay ke saath pitaji(Meghu Sarki) ki sarab pine ki aadat badti he chali gai; jinse ghar ki haalat kafi kharab hone laga....Aur ek din ish baat ka khabar jab mere pitaji ke bade bhaya(Hathi Sarki) ko laga toh wah humare Ghar aaye...Aur Mere bade Pitaji Hathi Sarki ne mere Maa ke samne Parstaw rakha ki hum Savi unke Sath unke ghar chale; jaha mere pitaji ke bade bhaya v Sarab banane ke karobar karte thay....Sath he wah Railways employ v thay; ish liye Hathi Sarki ko railway quarter mila Railways quarter mila hua tha;jaha way chori chhipe desi Sarab banane ka karobr karte thay....Aur unhe desi Sarab banane ke liye ek majdur ki jarurat thi ish liye unhone mere maa ko majdur ke rup me rakhna chahti thi; aur mere maa v majbur thi; kyo ki pita Kyo ki mere pitaji ab sirf Sarab ke nase me dube rahte....Ish liye mere Maa ne mere bade pitaji ka parstaw maan liya..Aur hum Pani Tanky jhugi basti se uth apne bade Pitaji Hathi Sarki ke Railways Quarter Bijli Quarter chale aaye...Jaha mere bade pitaji ka apna ghar aur sarab banane ka karobar chal raha tha....Hume samaj me nahi aa raha tha ki mai kaise Bihar se Kolkata jau...Kyo ki mai apne Maa se dur nahi rah sakta tha...Har pal mai apne Maa se milne ke liye aashu bahata par mere dusre pita hume apne saath village me he rakhna chahte thay...Ish liyeHume samaj me nahi aa raha tha ki mai kaise Bihar se Kolkata jau...Kyo ki mai apne Maa se dur nahi rah sakta tha...Har pal mai apne Maa se milne ke liye aashu bahata par mere dusre pita hume apne saath village me he rakhna chahte thay...Ish liye Mujhe village me rahte hue kafi Samay ho gaya; aur ek din mujhe mowka mila village(Bihar) se Kolkata aane ka; ek aadmi jo Kolkata me kaam karta tha;ek din wah aadmi kolkata se ush gaaw me aaya....Aur jab maine apna dukh bataya toh unhe hum par raham aa gaya aur ushne hume BIHAR se Kolkata le jane ka wada kiya...Aur ek din hume mowka mila Bihar se bhagne ka.Mowka dekh mai ush aadmi ke sath bhag nikla; aur ush bhale aadmi ne hume Bihar se Kolkata mere Maa ke paas pahucha diya Ush bhale aadmi ne hume mere dusre pita Madan Sharma ke chungal se chhuda hume Bihar se Kolkata mere Maa ke paas laya; mujhe dekh mere maa ka khushi ka thikana nahi raha..Humne apne maa ko sari baat batai ki Madan Sharma hume apna beta bana apne paas Bihar me he rakhna chahte thay ye sab jaan mere Maa ko kafi dukh hua..Par hume fir se wapas paa mere Maa khush thi..Kisi tarah hum logo ka zindgi gujrta raha; ab mere dusre pita dur dur rahne lage wah v bimar rahne lage puttr wiyog ke karan ek din ush aadmi ka v.....Mere dusre pita Madan Sharma ne mere Maa se sadi sirf ek bete ki chah par kiya tha; par ab mere maa ko ye baat pata chal chuka tha ish liye mere Maa ne ush aadmi se duri bana liya..Puttr wiyog aur bimari ke karan ek din ush aadmi (my 2nd father Madan Sharma) ka v dehant (death) ho gaya...Aur fir se hum logo ke upar musibat ka pahad tut pada; kyo ki ab fir se hum logo par railway quarter chhodne ka dabaw badne laga hum sab kisi tarah guzarish kar saal bhar tak vacet ghar par he rah apna guzar basar karne lage....Unhi dowran ek aadmi fir se mere maa ke zindgi me aya(Suresh Panth) ye aadmi v railways employ tha; aur hum logo ke dukh ko samajhte thay; wah aadmi v humare yaha deshi Sarab pine aya karte thay; ush bhale insan ne ush railway quarter ko apne naam kara liya..aur hum logo ko bhada me diya; mere Maa deshi Sarab bana bech kisi tarah guzar basar karne lagi..Aur isi tarah samay bitne laga...Sath he ush aadmi(Suresh Panth) ko hum logo ki ap biti sun kafi humdardi thi; ish liye wah insan(Suresh Panth) hum logo ka haal chaal lete rahte; thoda finacial madad bhi karte; ush aadmi (Suresh Panth) ka v apna dukh tha; uske Patni humesa bimar rahte thay...Aur unka ek beta v tha; jinke liye mere Maa Khana bananana; uski patni ka sewa karna apna kartavya samjhti thi...kyo ki ush aadmi(Suresh Panth)) ne v hum logo ka musibat me sath diya hai; ish liye mere Maa v unke bimar patni aur bache ka dekhbhal kar apna farz nibha rahi thi..Isi tarah hum logo ka samay bitne laga..Dhire dhire mai bada v ho raha tha; saath he mai bahut naughtyness aur badmasiya v karne laga tha ush samay mai lagbhag 11 saal ka hoga; yah wah samay tha jab mere badmasi mere awargi din bhar ghar se bahar rahna baat na manana; ye sab karno se Mere Maa mere badmashi se tang ho chuki thi...Mai din bhar awaragardi karta; aur mere ma yah sab dekh kafi dukhi rahne lagi...Kyo ki mere Maa mujhe ek layak insan banana chahti thi par mai din par din bigadta ja raha tha..,aur ek din mere Maa ko Ush aadmi(Suresh Panth) ne mere Maa ko Salah diya ki mujhe sudharne ke liye mujhe HOSTEL bhej diya jaye...Hostel me anusasan ke sath rahega toh sudhar jayega..Ye baat mere Maa ko achha laga aur mere Maa ne v hume Hostel bhejne ka mann bana liya...Ush aadmi Suresh Panthji ka ek dost jo ki Uttar Pradesh me ek Hostel chalate hai jinka naam Saint Sai Sainik School tha...Suresh Panthji hume ushi Hoste me dhalna chahte thay ish liye unhone Hostel ke incharge se baat v kar liya.....Suresh Panthji ka ek dost jo ki Uttar Pradesh me ek Hostel chalate hai jinka naam Saint Sai Sainik School tha...Suresh Panthji hume ushi Hoste me dhalna chahte thay ish liye unhone Hostel ke incharge se baat v kar liya....Aur mera Hostel me jane ki tayari suru ho gaya .....Yr-1993 (when i was 11 yr old)ye wah samay tha jab mere badmashi ke karan mere Maa aur Suresh Panthji hume Hostel me bharti karne ke liye Kolkata se Uttar Pradesh le kar aa gaye ..Mera jish hostel me dakhila kiya gaya ush Hostel ka naam Saint Sai Sainik school(hostel) tha wah Hostel Sai Baba ke naam se chalta tha; yahi Pahali baar 11 saal ke ummr me humne pahali baar Sai baba ka naam suna.. Ish Hostel me subah Saam Sai baba ka aarti hua karta tha...1993 February 9 ko mera dakhila mere maa aur Suresh Panth ne karaya...Aur yaha se suru hua mera aur Sai baba ka anokha rishta...Mere dakhila ke baad meri Maa mujhse rote hue kaha ki yaha mann lagakar padai likhai karna..Mere Maa ne hume yaha mann lagakar padne ki salah diya..Aur hume Hostel Saint Sai Sainik School.me dakhil kara Kolkata chali gai..Saint Sai Sainik School me humne Pahali baar Sai baba ka naam suna; yaha Subah Saam baba Sai ki aarti hoti; unke kahani sunai...(There are lots of unusuall moment of Hostel...Saint Sai Sainik School..Which i unable to define in words right now ) Samay bit raha tha mai Hostel me bahut mann lagakar padai v kar raha tha...Par Samay ko kuch aur he manjur tha Sab kuch thik thak chal raha tha; par niyati(destiny) ko kuch aur he manjur tha...Now the real Mystry begin.....Om Sai Ram....Samay bit raha tha...Sab kuch thik thak chal raha tha; par ek khabar ne mujhe bahut jyada jhakjor diya....Jab hume Hostel me 3 saal rahte hue; ye baat pata chalta hai ki ..Kai mahino se mera Hostel ka fees jama nahi kiya ja raha hai;Mera fees Kai mahino se jama nahi kiya ja raha tha....Ish liye Hostel ke incharge sikaayat karte ki mera fees nahi jama ho raha hai; yah jab mujhe pata chala toh bahut Sharmindgi mahsus hui; kyo ki fees dena humara responsbility hai..Dekhta dekhta 20 Thousand Rs. humara due ho gaya tha; aur ek taraf ish baar saal bhar se v jyada samay ho gaya tha; mere maa mujhse Hostel me milne nahi aaye thay...Ab hume apni Maa ka chinta satane laga(year 1993 to 1997)ush samay tak mai 15_16 saal ke ho gaya tha...Ab Hostel me mera mann nahi lag raha tha...Chhutuyo me savi ghar jaate thay par hume kahi nahi jane diya jata; kyo ki 3 saal(1993 to 1997) mera 20 thousands Rs. due hai; ye sab jaan dukhi hota; sath he ab Maa ka yaad aane lagi Mujhe ab Hostel se ghar jana hoga; mai samaj nahi pa raha tha; ki mere Maa itne mahino se phone v nahi kiya;Ab mai Sai baba se prathna karta ki agar hume Ghar mere Maa ke pass kisi v haal me Sai baba Pahucha diya toh mai Sai baba ke naam se mandir me 101 Laddu chadaunga...Kyo ki mujhe mere Maa ka yaad satane laga;Har roz ab Hostel se niklna chahta...Ish liye Sai baba se Prathna karta....Ki mujhe Ghar pahucha de ab Hostel hume kaidkhana lag raha tha....Aur ek din...Hume Hostel se bhagne ka mowka mila...Hua yah ki mere ek dost(Vikas) ko HOSTEL INCHARGE se maar padi; gusse me aa kar wah bhagne ki baat humse kaha...Aur mai isi mowka ka intjar me tha....Mai aur Vikash Jaiswal....(Nov 1997) Hostel se bhag nikla hum Uttar Praddsh;Hum Uttar Pradesh se kisi tarah without ticket Rail se chhipta chhipata Kolkata pahucha aur Vikash apne ghar chala gaya; mai apne ghar ko chal pada; mai apne Maa ko bhagwan manta hu use koi aanch na aaye ish liye mai apne Maa ke saath hu...Jab Kolkata pahucha aur waha se ghar gaya toh jo najara humare samne dikha mai achambhit v hua aur dukhi v hui....Kyo ki mere Maa ghar ke samne baithi CHAI DUKAN chala rahi hai; aur unke maang me Sindur hai; kyo ki ush aadmi(Suresh Panth) ne mere maa se sadi kar li ...Par jish haalat me mere Maa aur Bahan ko humne dekha aisa laga unhone v (Suresh Panthji) swarth ke liye mere maa se Sadi ki....Mere bahan unke pahli patni jo menttaly bimar hai; unke sewa+care; like nurse lagi hui hai....Aur mere Maa chai bikkri kar rahi hai...Aur jab humne apne Maa se Puchha ki kyo mera fees jama nahi ho raha tha; toh koi jawab nahi mila; kyo ki mere 3rd father Suresh panth ne Hostel ke dirctor ko kah diya ki hume as servent waha kaam (Hostel) kar khud ka guzar bashar kare...Mere teesre Pita Suresh Panth ke ish bartaw se hume bahut dukh hua kyo ki unhone apna swarth dekha; yah dekh samaj bahut dukh hua; ki Bhagwan kitna dukh hume dega...Ish liye maine ye maan liya ki iswar nahi hota hai;aur mai Nastik ban gaya yaha tak baba Sai ko v humne bhula diya(1997 yah wah samay tha ki ghar ki paristithi ko dekhkar; mera iswar se viswas uth gaya ).Aur mai nastik ban gaya yaha tak Sai baba ko aur Sai baba ko diye wada 101 Laddu chadane wali baat ko v maine nazar andaz kar diya.... iswar se juda sab kuch bhula diya; aur ab humne sirf apne ap par bharosa tha...Mujhe ab apne Maa Bahan ko achha jiwan dena hai isi soch ke sath ab maine sirf khud par viswas kiya; aur thaan liya ki Padd likh kar mai 1 kabil insan banunga...Ab mujhe khud pr viswas tha ki mai padd likh kar kabil insan banunga...Ish liye year 1998 ko humne kolkata ke ek hindi school ke class 7 me admisson liya aur padai suru kiya...Hostel se ghar aate he; humne Sai baba ko v bhula diya; kyo ki apna dukh dard dekh kar mai tut chuka tha....mujhe kisi par v bharosha nahi raha....Kuch saal tak sab kuch thik thak chalta raha aur class 10th tak aate aate he (1999) hume Kisi se pyar ho gaya(Nitu) ab tak mai 17_18 saal ka ho gaya tha...Mujhe Nitu naam ke 1 Ladki se pyar ho gaya; par wah Ladki mujhse pyar nahi karti thi bcz of my Past (which rly painfull)Class 10th tak pahuchte he hume Pyar ne jakad liya ab mai apne padai likhai se bhatkne laga;kyo ki mai kisi haalat me unka (nitu) pyar pana chahta tha; par wah mere Past se nafrat karti thi; wah ek chai wali ka girl frnd nahi banana chahti thi; ish wajah mai ush ladki ka pyar nahi pa saka...Ab mera dhyan bhatakne laga....Aur natiza yah hua ki (yr-2000) mai pahali baar class 10th me fail ho gaya...Par dimag se Pyar ka nasa nahi utra; ab class 10th me fail ho jane ke karan humare paas ab time he time hai...par mujhe ish baat ne bahut sharminda kiya ki mai class 10th me fail ho gaya....ish wajah se humne khud ko ghar me band kar liya...kyo ki mai apna pyar aur Padai dono kho diya tha ish liye maine khud ko band kamre me band kar liya aur din bhar Television dekhta hua samay bitane laga...aur unhi dino(yr.2000) Tv me Amitabh Bachchan creation Kaun Banega Crorepati Quize suru hua...jishne mujhe itna inspire kiya ki maine pure lagan ke Sath KBC Quize dekhta aur unme puchhe gaye sawal jawab ko apne dairy me note down karta.....jo ab tak(2014) continuosly jari hai....mera jiwan ka sabse badi bhul Sai Baba ko bhulana tha Hostel se bhagte samay(1997) maine wada kiya tha ki mai ghar pahuch sai baba ke naam se 101 Laddu chadaunga par ghar pahuch apne maa bahan ka dayniya paristithi dekh mai tut gaya tha aur Sai Baba ko bhula diya tha...par ab samajh aa chuka tha ki mujhe Sai baba har taraf se naakaam kara mujhe apna bhula wada yaad dila rahe thay....aur ye baat kafi der se pata chala...aur maine Sai baba se mafi mangi apna wada pura kiya....aur pure lagan ke sath mai KBC Quize ko apna school aur amitabh bachchanji ko apna Guru maan ek anokha paryash ek naye soch ko janm diya jo badal degi humare sochne aur sapne dekhne ki chhamta.....ap savi v jaane kish tarah Sai Baba ne hume anokhe dhang se tayar kiya....ek 10th fail insan ki anokhi gatha jishne apne adig paryash se kai bhatke aur haare hue logo ke liye ek mishal sabit hogi......year 2000(when i met my destiny.....Kaun Banega Crorepati Quize......Om Sai Ram Azab Prem ki GazZab Kahani.....Kaun Banega Crorepati Quize se juda sabse badnasib aur jarurat mand insan ka dardnaak sach ... Ek 10th fail Chaiwale ke bete ka anokhi Prem gatha jo prerna degi hum jaise bhatke logo ko humesa.......meri Kahani suru hoti hai year 2000 ke ush incident se jab mai pahali baar class 10th me fail hua jishne mujhe itna sharminda kar diya ki maine khud ko band kamre me band kar liya...kyo ki mai saalo se apne Maa ko chai dukaan par baitha dekha hai aur mujhe humesa se ye baat chubhti thi ish liye mai padd likh kar kuch banana chahta tha aur apne Maa ko aaram dena chahta tha par year. 2000 class 10th me fail hone ke baad mujhe bahut bada jhatka laga aur maine khud ko kamre me band kar liya aur ish critical sittution me mere liye Vardaan ban kar aaya Kaun Banega Crorepati Quize jo sanjog se year 2000 ko he suru hua tha aur jishe Host kar rahe thay Sadi ke Maha nayak Sir Amitabh Bachchan ji jinka mai bachpan se fan raha hu unke jaisa banana chaha hu ...ish liye KBC Quize mujhe bahut achha lagta sath he mai un sawal jawab ko v likhne laga jo Sir Amitabh Bachchanji apne contestent se puchhte thay jo humare TV set me appear hote thay....aur dhire dhire mujhe meri manjil dikhne laga maine thaan liya ki mujhe ab KBC me pahuchna hai par mere paas paisa utne paise nahi hote jinse mai Registration ke madhyam se nahi pahuch sakta tha ish liye maine Sangharsh ke raaste ko chuna...sath he apne jiwan ke sath bahut bada faishla liya aur wah tha apna padai chhodne ka...kyo ki ab mere liye mera SCHOOL KBC QUIZE ban chuka tha aur mere Guru Sir Amitabh Bachchanji jo KBC ko host kar rahe thay...Ish soch ke sath maine pure lagan ke sath KBC se jude episode dekha karta aur unse jude sawal jawab ko mai Tv ke jarye Note down karta aur ye tab tak chala jab tak KBC1 khatm nahi hua...aur ek 10th fail insan KBC ke jarye khud ko Sikshit karne laga...maine KBC1 se jude Sawal jawab ke jarye ek Project tayar kar Amitabh Bachchanji ko bheja ish umeed ke sath ki ish anokhe KBC fan se AMITABHJI jarur milna chahenge par kai mahino bad v reply nahi aaya par maine apni umeed nahi chhodi....aur intjar karta raha reply toh nahi aaya par year 2002-2003 tak fir se KAUN BANEGA CROREPATI 2nd suru hua aur mai fir se lagan ke sath KBC 2nd se jude sawal jawab ko likhne laga sath he mai writting+acting+singing par v dhayaan dene laga...kyo ki ab tak mai samaj chuka tha ki meri manjil bollywood hai....maine pure lagan ke sath KBC2nd se jude sawal jawab ko v TV ke jarye likha par achanak ye khabar mili ki KBC2nd ke dowran Amitabh Bachchanji ko abdomal pain utha jinke karan KBC2nd band ho gaya aur maine fir se ek project tayar kiya sath he maine Amitabh Bachchanji ke swasthya ke liye ek prathna pattr v likha aur ushe Sir Amitabh Bachchanji ko post kiya....aur mai reply ka intjar karta raha...sath he khud ko tayar karta raha....year 2006 fir se KBC 3rd suru hua jinhe host ish baar Sir Sharukh Khanji ne kiya aur maine inse jude sawal jawab ko v pure lagan se likhne ki koshish kiya aur inhi dowran mere jindgi me pyar ka aagman hua...17th Sept 2006(Vishwakarma puja ke din) mai Mela me ghum raha tha ki achanak mai ek ladki se takraya aur ushe dekhte he mujhe unshe pyar ho gaya aur maine unka pata lagaya ush ladki ka naam BULBUL hai...aur maine himmat kar ush ladki se ijhaar v kiya par ushne nakkar diya par mai koshis karta raha jinke karan humare bich jhagde ho jaate aur ek din (yr.2006)maine ush ladki se ek Wada kiya ki mai unshe itna pyar karta hu ki ab mai saare dunya ke samne apne pyar ka ijhar karunga KBC ke hot seat par pahuch kar...kyo ki mujhe pura viswash tha ki jab KBC! Shows ke host Amitabhji & Sharukhji ko mere record ke bare me pata chalega toh way hume jarur mowka denge ish umeed ke sath maine yr.2007 fir se ek project tayar kiya jinka naam maine KBC(kaun banega crorepati) Vs KBC(Kunal+Bulbuls+Code) aur ish project ko maine Sharukh Khanji ko bheja aur khud ko TV ke sahare Acting+Singing+Writting ki tayari karne laga...par mahino guzar gaye Sharukhji ke taraf se v koi response nahi mila...par ab KBC me pahuchna mere liye junun ban chuka tha...mere ish junun ko dekh ush ladki(Bulbul) ko v mujhse pyar ho gaya tha mai Bulbul ke Ghar ke niche baitha ushe umeed dilata rahta aur wah apne Khidki par Baithi mujhe dekhti rahti par mere Wada ke karan na mai mil sakta tha aur na kuch bol sakta tha...bash mujhe kisi v haal me KBC Show tak pahuchne ki koshis karna hoga...yr. 2008 Sharukh khan ki ek aur quize show(Kiya ap panchvi pass se tej hain?) aaya maine ishe v likha....year 2010 KBC4 suru hua aur ish baar maine KBC4 ke episodes ka MOBILE VIDEO RECORDING suru kiya maine apne zindgi ke upar Documantry film banani suru kiya...sath he mai facebook aur letter ke jarye apna sach Amitabh Bachchanji tak pahuchane ki koshish me laga raha par itne bade KBC fan ko sirf undekha kiya ja raha hai....maine yr.2011 ;(KBC5,) yr.2012(KBC6) aur year 2013 tak KBC7th se jude lagbhag KBC se jude har sawal jawab ko likh ek nayab record banaya hai....par afsosh mera dard na Amitbhji tak pahuch rahi hai na ye Medias walo tak par mai apne aakhri saas tak KBC ka pichha karta rahunga.....kyo ki Swargya Nelson Mondelaji ne ek baat kahi hai its seems impossible until its done aur ye baat ko maine apne jiwan se jod liya hai aur yahi baat ab pure dunya ko v( I am a Time Bomb & my target is now Big-B )samjhana hai....(9804487126)..Jai Hind....Jago Bharat Jo sawal jawab ap savi ke samne rakh raha hu wah mai TV ke samne baith kar apne hatho se likha hai ap savi v mere jajbati jajba ko samjhe....Lets play KBC7 with Firoz Fatima who won one crore in Grand Finale of KBC7....Q no.1...Complete these proverb Neem hakim ..........?.....Option...(a) Jashne Bahar.....(b) Kaam Tamam...(c) Khatraye jaan.....(d) Murga Halal Firoz Fatima.....KBC7 Q no.2,...Which of these words means revolution in Arabic?....Option....(a) Ishtabal.....(b) Izhaar....Inqalab....(d) Intkaal Firoz Fatima...KBC7 Q no.3...In cricket which of these modes of dismissal always involve the wicket keeper?....Option....(a) LBW....(b) Bowled....(c) Run out....(d) Stumping Firoz Fatima....KBC7 Q no.4...(audio Q) Firoz Fatima....KBC7 Q no.5....Which of these is the administrative head of a district in India?.....Option....(a) DM.....(b) DIG....(c) DCP......(d) DSP Firoz Fatima....KBC7 Q no.6...Which scholar started the Mohmmadan Anglo oriental college which later became the administrative of Aligad university?.....Option.....(a) Sayed Ahmad Khan.....(b) Md. Iqbal.....(c) Md. Imtiyaj Khan....(d) Md. Yunis Khan Firoz Fatima...KBC7 Q no.7....Which is the oldest mountain range in India?....Option.....(a) Nilgiris.....(b) Aravalli.....(c) Bindhya...(d) Satpura Firoz Fatima..,KBC7 Q no.8...In October 2013 which actress was honoured by British House of commons?....(a) Vidiya Balan....(b) Madhuri Dixit....(c) Kareena Kapoor....(d) Sonakshi Sinha Firoz Fatima...KBC7 Q no.9....What was the first Grand Slam Tennis title won by Sania Mirza?..Option....(a) US Open....(b) Australian open....(c) Wimbldon....(d) French Open Firoz Fatima...KBC7 Q no10...Which ruler of the Delhi sultnate was called Lakh Bakhs for his generosity?....Option....(a) Firoz Tuglaq....(b) Alaudin Khilji.....(c) Qutub-ud-din-aibak.....(d) Bahlul Lodi Firoz Fatima....KBC7 Q no.11...The president of which African country was conferred the Indira Gandhi prize in Sept 2013?.....Option....(a) Nigeria....(b) Kenya....(c) Ethopia....(d) Liberia Firoz Fatima....KBC7 Q no.12...Who is the first Indian woman to conqure the highest peak of all seven continents?.....Option.....(a) Bachendri Pal.....(b) Santosh Yadav....(c) Prem Lata Agarwal...(d) Sucheta Kedethankar Firoz Fatima...KBC7 Q no.13...In which theatre was Raja Harishchand Indias first feature film commercially released 100 years ago on 3rd May?.....Option....(a) Coronation of cinematograph.....(b) Olympian Theatre......(c) Maratha Mandir....(d) Edward theatre Firoz Fatima philip the Q....Who presented the national flag to the constituent Assembly on 14th of August 1947 on behalf of the women of India?....Option....(a) Sarojini Naidu....(b) Vijay laxmi pandit....(c) Laxmi Sehgal...(d) Hansa Mehta ..........Firoz Fatima quite in one crore......I really salute n congrate a nessecity contestent Firoz Fatima....Jai Hind
Posted on: Fri, 31 Jan 2014 10:27:02 +0000

Trending Topics



le="min-height:30px;">
SOMETHING YOU MIGHT HAVE NOT KNOWN And NEED TO KNOW !! Ants

Recently Viewed Topics




© 2015