Tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya Bijli chamak kar - TopicsExpress



          

Tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya Bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya�� Main so raha tha chain se, yun hi kafan e mazaar mein, Yahan bhi sataane aa gaye, kisne pata bata diya�� Tumne chadhaye phool to, ehsaan kya kiya Humne tumhare ishq mein, sara chaman luta diya�.. Pucha na jeete ji kabhi, dard e dil ka haal Aaye ho kabr par meri, mitti mein jab mila diya�.. Aaye ho mazaar par mere, dekh liya ab mera haal Thukra ke mere pyar ko, kisi aur ko apna bana diya�. Ab ho gaya hai ilm tumhein, ek shikayat meri jaan lo Kiya jo hashar tumne mera, apno ko begana bana diya�. Main to kafan mein hoon ab, meri baat aur hai, Karna na unka haal wo ab, jo haal mera tumne bana diya�. Tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya Bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya�..!!
Posted on: Tue, 20 Aug 2013 03:04:02 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015