WHAT SHOULD BE OUR STRATEGY FOR 3 - TopicsExpress



          

WHAT SHOULD BE OUR STRATEGY FOR 3 LACS........ ___________________________________BY Durgesh Pratap Singh Dear Friends, 29 Dec ko Lucknow me bulayi gyi meeting se aap sbhi avgat ho chuke honge, is meeting me ke kai saare khatte-meethe anubhav rhe. but meeting ke mukhya udeshya pr koi hal na nikal pana dukhad he. Dosto, Kuch samay pehle tk jb sirf 72825 post the tb uske saath 1 anaar 100 bimar waali sthithi thi, aur aaj jb Honble court hme 3 lacs post pr niyukti paane ka muka de rha he, to kyo na hum apne purane muddo ko bhulakar ek sammilit aur prabhavshaali prayash kre. jisse TET 2011 qualified sbhi candidates ke jeeven me khushaali aaye. Dosto aaj ki paristhitiyo me mere vichaar se jo strategy apnnani chahiye vo me aapke saath share kr rha hu, agar acha lge to apne netao ko is strategy pr vichaar krne ke liye badhya kre............ STEP1: Shikshamitro ke avedh samayojan ko rokna. ----------------------------------------------------------------------------- STEP2:- 4 TEAM ka gathan ho, prantu sbka mool-udeshya sirf 3 lacs post pr sbhi TET 2011 qualified candidates ki niyukti ho TEAM 1:- PIL TEAM- dosto ye bharti koi aam bharti nhi he, ye Fundamental Rights aur Indian constitution ke maan-samman se juddi huyi bharti he, isliye hme tatkaal ek Janhit yachika(PIL) ki jarrurat he, jisme sirf Violation Of Fundamental Rights & RTE ACt ki baat ho, na ki 3lacs post pr samayojan ki, kyoki agar aap samayojan ki baat kishi PIL me kroge to ye Service matter ho jayega, Honble Judges ishi PIL ko base bna kr sbhi TET 2011 qualified logo ke appointment krwa skte he. YE PIL hi hme majbooti se apni baat rkhne ka mauka de skta he otherwise ye katu-satya he ki sirf 3 lacs vacant post hone se bharti karvana aashaan bhi nhi he. TEAM 2:- SAMAYOJAN TEAM:-ye team already astitva me he. SLP 11671/2014 Bhai Ajay Thakur ji & vivek mishra ji ki team, is team ki maang 3lacs post pr sbhi TET 2011 qualified candidates ke niyukti ki maang he. aur ye PIL cum service matter ko represent krta he. TEAM 3:- 105 & 97 PLUS TEAM:- ye team through I.A. & respondent Supreme court me enter kre aur Honble judges se ARTICLE 14, vacant post, aur PIL team ki maango ko base bna kr niyukti ki maang kre, jo aashaani se mil skta he. TEAM 4:- 105 & 97 MINUS TEAM:- ye team bhi through I.A. & respondent Supreme court me enter kre aur Honble judges se Reservation Policy, vacant post aur PIL team ki maango ko base bna kr niyukti ki maang kre, safalta nischit he. NOTE- in sbhi team ki base PIL TEAM hogi, aur ye PIL hi Honble Judges ka hathiyaar hoga jiska prahar vo UP govt pr karenge. Kyoki fundamental Rights aur Constitution ki raksha hi Supreme court ko aseemit shaktiya pradaan krta he. otherwise aapki saare maang ochityaheen ho jayenge. ----------------------------------------------------------------------------- Dosto, pradesh ke berojgaar yuvao ko bewkoof bna kr netagiri chamkaane ka samay nhi he, aur jo bhi neta bnne ke chakkar me he vo bhi jaan le ki agar aaj apne ego ko tyagkar, sangathit hokar prayash nhi kiye to tumhara bhavishya bhi andhkaar me he. atah aap sbhi se mera nivedan he ki agar mere vichar uttam lge to aap sbhi log apne netao ko ek PVT meeting organize krke planning & strategy bnane ke liye ekatra hone ka dabav banaye. Jisme ye decide ho ske ki kon kis team ka netritva karega. --------------------------------------------------------------------------- So its my humble request to all of u,Leaves your Ego, BE UNITE, Makes a Proper strategy for the betterment of all candidates & also for your bright future. JUSTICE FOR ALL........THANK U! DURGESH PRATAP SINGH 9935758908
Posted on: Tue, 30 Dec 2014 19:34:39 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015