Yeh mana zindagi itni aasaan nahi, Aisa kon hain jo pareshan - TopicsExpress



          

Yeh mana zindagi itni aasaan nahi, Aisa kon hain jo pareshan nahi. Jo mil jaayae ussi main khush rahain, Milta kabhi mukammal jahaan nahi. Likhi hain sab ki taqdeere ussne, Hota kissi ek ka assmaan nahi. Jalaaye rakhna shama hausle ki, Haarna kabhi tu aye Insaan nahi. Mat todna yakeen kabhi kissi ka, Waqt ki tarha badle wo Imaan nahi. Apni baaton ka rakhna maan sada, Chaahe jaye jaan par zabaan nahi. Rakh bharosa apne Parwardigaar Par, Khuda kissi ke Ghum se Anjaan nahi.
Posted on: Sun, 15 Sep 2013 08:35:07 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015