Zakaat======================= Zakaat Dena Farz Hai aur ye islam ke - TopicsExpress



          

Zakaat======================= Zakaat Dena Farz Hai aur ye islam ke 5 buniyaadi (basic) kaamo se ek kaam hai. Zakaat dena apne maal/property ko paak karta hai.Zakat Kya Hai - Islam ke hisab se ameer hain unko apni saal bhar ki extra bachat/property ka 2.5% garibo ko dene hai, isi 2.5% amountko zakaat kahte hain, zakaat Allah kahukm hai, yaani farz hai, isliye zakaat na dene wala gunahgaar hoga.Zakat Kis Par Farz Hai - Aesa muslim jiske pass 7.5 tola sona ya 52.5 tola chaandi ya agar thoda-thoda dono ho aur uski keemat itni ho jisse 52.5 tola chaandi kharidi ja sake ya itna nagad amount rakha hojisse 52.5 tola chaandi kharidi ja sake, ya extra plot, property ho to aese insan par zakaat farz hai.Zakat Kisko Di Ja Sakti Hai - Zakat usgarib momin ko di ja sakti hai jo khud zakat nahi deta ho. Kisi ek insan ko itni zakat na di jaae ki wo khud zakat dene wala ban jaae. Zakat ka amount dete time uski niyat karna zaruri hai. Agar rishtedaaron mein koi garib hai to sabse pahle usko zakaat den, kyonkiisse dohra sawab milega, ek zakaat dene ka dusra rishta nibhane ka. Madarse mein baccho ke khane ke liye zakat de sakte hain.Zakat Kisko Nahi De Sakte : Masjid Banane ke Liye, Madarsa Banane KeLiye zakat nahi de sakte, Isi tarah murda ke kafan-dafan ke liye ya uska karz ada karne ke liye zakat nahi de sakte, iske alawa apne maa-baap, dada-daadi, nana-naani, ya sage pota-paati, nawasa-nawasi ya miya/biwi ko zakat nahi de sakte.Ye zaruri nahi ke zakaat sirf ramzan mein hi di ja sakti hai, aap chaho to saal mein kabhi bhi zarurat-mand ko zakat ka pesa dekar uski madad kar sakte hain.Allah hum sabko islam ke tariko parchalne ki taufik ata kare, aameen.
Posted on: Sun, 21 Jul 2013 16:26:17 +0000

Trending Topics



">
People in Gaza youll see, Palestine will be free. It was an
Permission to post iPhone 4s 16Gb Factory unlock

Recently Viewed Topics




© 2015