abhi aankhon me tere bade khwab hai karwan bhi sab ka tumhare sath - TopicsExpress



          

abhi aankhon me tere bade khwab hai karwan bhi sab ka tumhare sath hai magar maine dekhi hai zindagi ki zillaten masum ke aakhon se lut jate hue sapne kitabo ki jagah hathon me chhale kandho me apne se bhi jyada zimmedarion ka bojh samhaale sanson me har waqt ek ghutan kiya hai mahsush un bajism bejaan se zindagion me unke dard kisi kitab me nahi unki bebashi kisi akhbaar me nahi unke manzil ka koi nahi rehnuma ya shayad unki koi manzil hi nahi log yahan jite hai kisi me baki dekhi hai zindagi toot kar sab rote hai yahan kisi ko siskian samet te dekha hai kabhi wo is liye nahi badnasib ki wo garib hai sath unke nahi waqt aur koi karwan nahi magar waqt badalta hai aakhir aaftaab bhi to dhalta hai loha bhi pighalta hai dard bhi jab duhai mange rahat ki tab kismat un garibon ka badalta hai sath unke bhi karwan ya yu kahe waqt bhi unke marzi se aur karwan bhi unke liye chalta hai door hai magar itni door nahi ki koi na wahan tak chal paye angare hai rahon me magar dard ke samandar bhi tair kar paar kar daale hai chalenge wahan tak jalenge us aasra tak tu dekh tamasha samajh kar hi sahi laga abhi thake baja taaliya khel ki tarah hi magar ye mitti ka badan isi tarah tapega tabhi to wo duriyaan hai jo abhi aaiste aaiste dhalega raat hogi kisi taraf aur kahi subah ka suraj niklega tab sayad kaiyon ke karwan chhut jayenge sapno ke khilone kiton ke toot jayenge tab majmaa bas badla sa hoga aanshu honge dard hoga bas logo ka surat badlega tab wo bhi isi tarah jalenge unke aankhon me bhi sapne isi tarah khwaish ban kar palenge magar mai to chahta hoon har taraf khushi ho sab ke aankhon me pale sapne kisi masum se na lute koi khawab kabhi kisi masum ki zindagi zillat na bane kandho me unke koi bojh na pale phul ho unke kadmo tale aasman unki zad me ho sare khwaab unke ho pure sab kuch unke had me ho
Posted on: Fri, 02 Aug 2013 14:47:45 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015