jaisa ki aap jante k mosam vibhag dwara date 14/06/2013 ye kaha - TopicsExpress



          

jaisa ki aap jante k mosam vibhag dwara date 14/06/2013 ye kaha gaya tha k 16 17 tarikh ko me north india me bhari barish ki sambhawna hai ye nahi kaha tha k bharish pakka hogi hi 14 tarikh ko mei jab news dekh raha tab ek mosam vibhag ke dwara ye dikhaya gaya tha ke arab sagar se ek vkshobh bharat ki taraf bad raha hai jo ki 24 ganto ke bhitar bhari barish ho sakti hai kewal 24 gante hi mile the alret zari karne ke liye jabki wo anumaan se kuch pehle haalat aise huye ke arab se tezi se aata uttri vikshobh or karnatak ki taraf se slow motion me badta monsoon jab dono ek sath himalya se takraye to aap khubd bhi anumaan laga sakte ho k kya manjar hoga jitna hum soch bhi nahi sakte utna kyunki vikshobh samundra se uthane wala ek aisa tufaan hai jo jaha barse wahan aafat hi aaft hai itna paani ek saath gira ke uttkhand sarkar ka baap yani amerika bhi isko samhaal nahi pata jaankari ke liye aapko ye batana chahta hu ke janaab ye sirf 40% paani hi jo ki ek saath mandakini or alaknanda se prawah hua jabki 60% paani to Tihari Dam ne cover kar rakha tha agar wo bhi gir jata to kewal uttrakhand hi nahi pura north yani himachal, punjab, rajasthan,delhi,bihar, haryana ke kayi ilaake baad ki chapet me hote tab nuksaan kahin jyaada hota aise halat kai saalo me hi aate hai ya fir aate hi nahi shukr hai ke hamare bharat me aisa koi khatra nahi warna pure world me kai jagah aisi hai jaha aisie vikshobh to har saal aate rehte hai vikshobh ka himalya ki chotiyo se takrana or monsoon se taraana hi baadal ke atyadhik matara me fatne ki ek matra vajah hai agli baar plz kisi bhi rajnitik parti ke behkaawe me na aye apne aapko unki jagah pr rakhkr soche jinhone ye manjar dekha hai.
Posted on: Mon, 01 Jul 2013 08:00:18 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015