mere jaise middle class ladke ki shaadi k masael. u can call it - TopicsExpress



          

mere jaise middle class ladke ki shaadi k masael. u can call it masle gichiyaan. shaadi mein dehej joda ghoda raqam zaqam kuch nai lete, haraam hai. aur achi baat bhi hai. shaadi simple karna ladki walon per rehta kharch zyada pressure nai dalna. perfect, totally agree. 2nd inning means dulhe walon ka kharcha hai. valima dnr ache chawal se leke shaadi khane tak aur ladki ku sona,dawatiyon ka khayal jo 2hafte ki tayyari se ayeve rehte.roqqon se leke jo roqqe dene jata uske petrol tak ka kharcha. 3 type k packages rehte. mamuli ausad hi-fi mamuli;- ladki wale 2-3tola sone mein maanjate,(ssc passed rehne ki wajah se) 150-200 dawatiyon ka intezaam hojata. mohalle ka sabse cheap shaadi khana ya nai toh mohalle se duur. menu mein harees,biryani ek muragh aur sirf qubani ka mitha. package price-4lac-5lac ausad;- ladki wale 5-6tola sona pe agree hote(inter passed rehne ki wajah se). 400-600 dawatiyon ka intezaam hojata. shaadi khana acha rehta magar a/c chalu nai karte aur music nai chalate. dnr menu mein 16 items rehte includin pan+chai. package price 9-12lac hi-fi :- ladki wale 6-10tole ka munh kholte.(grad ya pg rehne ki wajah se)750-1000 mehmaano ka intezaam. shaadi khana sabse famous, poore luxury facilities k sath. baraat aisi k dulhan nikaah se pehleich khudku khushnaseeb samajhna.dnr menu mein 48items incl pan+chai+kids entertainment+ice creams + + + ...... package price-15-18lac gharwale ghaur karne ke baad thandi saans chordke bolte. waise toh apni family image k hisaab se hi-fi karna padta. magar kharche tight karke ausad aur hifi ke darmiyaan toh kaisa bhi karna padta. which means 12-15lac ka kharcha. aisi waisi shaadi bhi kardiye toh logan thukte... logaan kaun? khandan wale. shaadi ekich baar hoti. armaana hai falanna dhimkana sab. agar ye 15lac leke baithe toh kya hai ki magar jaisa main pehle bola middle class - ekdum se paisa nikalna boletoh middle class walon k paas 3-5lac nikalgaye toh badi baat. baaqi k 10lac? kharza ya finance pe. baat uttich hai. niwala aisa khane ke bajaye mundi ke atraf ghuma ke khao. logaan bolte shaadi ke waste paisa jama karlete rehna miya. ghar walon ku kitta bhi bhejo bas nai hota,,(ghar wale duniya mein aye jab se leke itta bada kardiye ab unseich beimaani karna shortform mein) kya karlene aisi jama punji jo apno se chupa chupa k jama karna pade. jo apno ki zarurat se bacha bacha k jama karna pade. second sugest rehta- achi bachi miljati yaaro kam demand karne wale kuch bhi diyo nakko demand nai karte( aur wo bachi na gharwaalon ku pasand aati ya wo bachi ku hum) chalo bachi pasand bhi agayi samjho. sawaal bachi ka nai. status ka hai.. kharcha poora bachi pe nai status pe hai. toh bhai wo kharza leke shaadi karliye toh mere jaisa insaan ghar chalate hue pay kara boletoh 4saal 6mahine mein hota wo kharza complete. phir itte mein 2 bache toh atleast hojate. phir naye kharche naye tamashe. toh bhai zyada soch ke tension lena hai. bas pandle marte jana cycle chalate jana zindagi ki. imp note(aajkal ladki wale bhi ladke ki qabiliyat dekh ke nai dedete bachi ku, property,bank balance,status. total back up dekh keich dete. no arguement. unke ghar ki shehzaadi rehti. haq banta unka bhi sab dekh samajh ke faisla lena)
Posted on: Mon, 26 May 2014 12:34:52 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015