Assalaam u Alaikum Warahmatullahi Wabarkatahu Shab e Qadr Nafl - TopicsExpress



          

Assalaam u Alaikum Warahmatullahi Wabarkatahu Shab e Qadr Nafl Namaz & Wazifa (Part:2) Dushri Shab e Qadr 1. Maah e Mubarak ki 23vi shab ko 4 rakat namaz 2 salaam se padhe. Har rakat me baad Surah Fateha ke Surah Qadr 1 martaba aur Surah Ikhlaas 3 martaba padhe. Phir baad salaam ke 70 martaba darood sharif padhe. IN SHA ALLAH TA’ALA magfirate gunaah ke liye yeh namaz bahot afzal hai. 2. 23vi shab e qadr ko 8 rakat namaz 4 salaam se padh. Har rakat me baad Surah Fateha ke Surah Qadr 1 martaba aur Surah Ikhlaas 1 martaba padhe aur baad salaam ke 70 martaba Kalma e Tamjeed padhe aur ALLAH TA’ALA se apne gunaho ki bakhshish talab kare. ALLAH TA’ALA iss namaz ko padhne wale ki gunah muaf farmakar IN SHA ALLAH TA’ALA magfirat farmayega. Wazifa : 23vi shab ko Surah Yaseen 1 martaba aur SUrah Rehman 1 martaba padhni bahot afzal hai. (Book name as a refrence: 12 Mahino ki nafl namaze (Aukaatusalaat),Page No.25,26
Posted on: Thu, 01 Aug 2013 17:39:59 +0000

Trending Topics



div>

Recently Viewed Topics




© 2015