Haaji ya Namazi . Ak Train me 2 Musalman safar kar rahe the. - TopicsExpress



          

Haaji ya Namazi . Ak Train me 2 Musalman safar kar rahe the. jaan pehchan kuch naam se shuru huwi. ek ne pucha mohtaram aap ka naam kya hai!! . dusre ne jawab diya "Haaji Abdul Gaffar". . uske baad us haaji sahab ne samne wale se pucha ki aap ka naam kya hai? . usne bataya "Namazi Abdul Kareem". . ye sun kar Haaji sahab kehne lage, bhala namaz tou hum bhi parhte hai, isme ye kya batane ki zaroorat ki namazi ho!! . tou us namazi ne kaha ki thik isi tarah jis tarah aap ne apne aap ko haaji kaha. . haaji ka amaal ALLAH aur haaji hi janta hai, usey logo ko batane ki kya zaroorat hai. jab tum khuda ki raza ke liye hajj karte ho tou ye amal tum apne aur khuda ke bich hi rehnedo, isey logo par zahir na karo, agar log bhul gaye tou bhul jane do ki aap haji ho! isi tarah jise pata hi nahi ki aap haji ho use tou zaroorat hi nahi batane ki. . maine namazi ki misal tou isliye di ke haji kehna maqsad samaj me aajaye. jaisa ki namazi ki namaz sirf namazi aur khuda janta hai ki waqei me khuda kubool karega ya nahi. Isi tarah yeh misaal hajio ke liye hai, ki aap bhale hi hajj karle, apne aap ko haji batane me haraj nahi. magar itrane ke taur par aur logo ko dikhane ke taur par khud ko haaji kehelwana kuch nafa na dega. warna khud khuda kahega kal mehshar mein ki tune hajj mere liye kiya ya dusro ke dikhawe ke liye!! agar dusro ke liye kiya tou ja ab hajj ka faiz bhi unhi se dhund!!!
Posted on: Sun, 06 Oct 2013 14:07:32 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015