Hari om Experts of Shri Aniruddha Bapus Hindi Pravachan - TopicsExpress



          

Hari om Experts of Shri Aniruddha Bapus Hindi Pravachan 07.11.13 Aaj se hum Shri Sai baba ke 11 vachan dekhenge. || Shirdis jyache lagtil paay Taltil apay sarv tyache || Seedha sadha arth hai. Shirdi naam ka jo gram hai jo gaav hai toh uss jamin jo jiske paay lag jaye toh jo kuch bhi uske jivan mein taklif mit jayegi. Jiss se taklif badh jaye woh apay, jiss se taklif kam ho jaye woh upay. Ye toh saral arth. Sabse pahele upay aur apay ki baat. Apne jindagi mein bahot saare apay ya sankat ruk jaate hain. Par ye rukte kyun hai? Kaun rokta hain ye hum nahi sochte. Ulta jarur sochte hain...agar kisika bura hota hai toh ye iski wajah se uski wajah se ye hum jarur sochte hain. Teen din pehle hi Sea Link par ek gaadi jo tezi se jaa rahi thi achanak koi kharabi ki wajah se ruk jaati hai par peeche koi gaadi nahi thi. Matlab jo apay hone waala tha woh tal gaya. Sankat aata jarur hai par bina koi nuksaan kiye hi nikal jaate hain. Matlab kya ki Sai yehi kehta hai ki meri bhumi mein jo koi bhi kadam rakhta hain uske apay tal jaate hai. Hume yeh samajhna hai ki Shirdi ka matlab kya hai. Shirdi ka mul sanskrit naam hai Shir-dhi. Apan sharir mein spine aur skull jaha milte hai....uss jagah ko Shir-dhi kehte hain. Yeh behad mahatvapurna jagah hai. Medula Oblongata...a very imp part of the brain. Respiratory, blood pressure Heart movments ye ke centres yahaan par stith hai. Jeevan bitane ke liye jo matahva purna ye teen karya ke centres yahi par hote hai jisse hum Shir-dhi kehte hain. Insaan ko aarogyamay jeevan bitane ke liye jimmedar ye panch pran yahi par stith hai. Hum ek Sai ki aarti karte hai....Panch pran he aatur jhale....matlab kya ki hamare panch pran aatur jo gaye Sai tumhari aarti karne. Ye panch pran ki nivas sthan matlab Shir-dhi aur iss Shir-dhi ke upar hai Shaildhi matlab parmatma jahaan apne patni ke saath krida karta hai uss jagah ko Shaildhi kehte hai. Hamare antarman ki jagah...matlab jo Shaildhi mein rehna waala woh Shirdi mein aake reh raha tha. Avtaarit matlab kya....Av matlab neeche...jo upar se neeche aata hai. Matlab Shaildhi se jo Shirdhi mein aata hai. Jab hum usse Shaildhi mein samaj nahi sakte hamara mann yaha waha bhatakne lagta hai tab woh apne bhakton ki taakat jaan kar pehchankar woh Shirdhi mein avtaarit hota hai. Manushya yeh prani hai aur usme shadripu hamesha rehta hai. Toh usse kam karne ke liye Sai Shirdhi mein aate hain. Hamare saath rehne khelne ke liye. Hume badalne ke liye. Tum badlo phir main aaunga aisa woh nahi kehta. Adhyay 2 mein ek sundar ovi hai Shirdi jhale punyakshetra... matlab ki Sai ne Shirdi ko punyashetra kiya. Yatra chale ahoratra matlab log din raat aate rehta par iss Shirdhi mein kaun aata hai Satpatra matlab sirf satpatri log hi aate hain. Aur iss mein kadam rakhne ke liye satpatra hona matlab us par vishwas rakhna. Sai Shaildhi se Shirdhi mein aaye matlab hamare karma swatantra ko woh nazar andaaz karenge kyunki woh vyakti satpatra hain. Uspar vishwas rakna yahi ek patrata hai satpatra hone ke liye, kadam rakhne ke liye. Pran ki bhumika matlab sahajta ki bhumika hai..vishwas ki bhumi. Mann mein vichar aate hai. Har vishay mein soch sakta hai. Doubt leta hai, par pran ki bhumika mein koi doubt nahi uski kriya sahaj hoti hai. Panch pran ke jo kriya hai usme mann ya buddhi kabhi dakhalandaz nahi kar sakte. Kyunki yeh vishwas ki bhumika hai. Aisi panch pran ki bhumi matlab Shirdi. This is the Gateway of Bhargloka. Isilye Baba aakar Shirdhi mein rehte hain. Baba ki taakat hume kaha pata chalti hain.Baba ne apne roj ke din charya ki seva mein Kushta rogi ko rakha. Bhagoji Shinde har roj Sai Baba ko maalish karta tha. Kya koi saamanya aadmi aisa karega? Nahi. Babane yeh jo aadmi ko rakha tha unhone kai saal Baba ki seva ki. Par Baba ko kuch hua. Nahi. Isse Baba ki taakat samaj aati hai. Matlab tumhara andar koi bhi bimari ho par Sai mere liye hai. Aao maalish karo, jitna chahe utna karo. Maalish karne se Baba ko kuch nahi hoga par mere andar ki bimari kam hogi. Jarur hogi. Matlab unke jindagi mein jo apay hone waala tha woh Sai ne nikal diya. Hum prano ki duniya mein rehte hain par vishwas nahi hota. Woh khud aata hai jumein batata hain, sikhata hain ki kaise jeena hain. Talti aapay sarv tyache... sarv apay matlab sab. Hamare jindagi ki har kadam Shirdhi main hona chaiye, iss vishwas ki bhumi mein hona chaiye. Aaj ke science ne aise machines banaye hain jo hamare thoughts pakad sakte hain, toh ye jo Sai hai jisne tumhe banaya hai kya woh ye tumhare thoughts nahi padh sakta? Vishwas ki bhumi. AgAr tum eiffel tower se gir rahe ho par agar man mein vishwas ho toh neeche pahunchein tak woh kuch na kuch toh jarur karega. Kyunki uspar vishwas hai. Ek vishwas asava purta, karta harta guru aisa. Toh hume yeh shwaas ki bhumi yeh vishwaas ki bhumi par chalna hain. Par yeh bhumi hai kaha? Sab ki apne apne paas. Isse koi chin nahi sakta. Sai bhi nahi. Sai ko bulao toh woh jarur aayega. Chand Patil ko bhi Sai jungle mein mile the woh Shirdhi mein aaye bail gaadi se aaye par Shirdhi mein kadam tabhi rakha jab kaha gaya Aao Sai. Hume bhi kehna hai Aao Sai. Sai jarur aayengw. Iss vishwas ki bhumi rehne ke liye. Hari om.
Posted on: Thu, 07 Nov 2013 19:24:58 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015