Nadeem Khan MUSAFA KARNE KA SAHI TARIKA ??? EK HATH SE MUSAFA - TopicsExpress



          

Nadeem Khan MUSAFA KARNE KA SAHI TARIKA ??? EK HATH SE MUSAFA KARNA SUNNAT HAI 4 HATH SE MUSAFA KARNA SUNNAT NHI HAI Ye ek bidaat h Dekhien pehle ek asan si misal jo quran mai Allah rabulalameen ne banay farmaee Quran said Allah ki wo fitrat jis par us ne logo ko paida kiya h(sure rom 30) Yaani deen e islam logo ki fitrat mai basa h Aap dekhien kisi bachche se hath milaye wo aap se ek hath se musafa karega q k Allah ne usey isi fitrat pe paida kiya h jo hadis mai bhi h Ye deen e islam ye tauheed insaan ko bachpan se Allah ne fitrat mai di h Ab dekhe un 4 hath se musafa karne walo ko jinho ne is fitrat se us bachche ko hata diya yaani Allah ki banaee huee fitrat ko badal diya is ki warning Allah ne quran mai di h aisa na karna Quran said Allah k banaye ko bandlna nji yehi sidha deen j lekin aksar log nhi samjhte(sure rom 30) Magar andhe mukallidon ne aisa kar diya wo bachcha jo bachpan mai ek hath se musafa karta tha us ko Allah ki banee huee us fitrat se hata diya or 4 hath se musafa karna sikha diya Jaise nabi(s.a.w ne bayan farmaya har bachcha fitrat pe paida hota h magar us k maa baap us ko yahoodi,isai,majusi bana dete h(bukari) Or in andhe mukallido ne usey andha mukallid bana diya Aayein samjhe MUSAFA kiya h ? Lafaz musafa SAFA se h jis k maana HATELI k h pas ek admi ka sidhe hath ki hateli dusre aadmi k sidhe hath ki hateli se milana MUSAFA kehlata h jo Masnun h ye har 2 janib se sidhe hatho ko milane se hota h bayan hath milane ka yahan koi muhal nahi h jo log daien baien dono hath milate h un ko MUSAFA ki haqiqat pe gaur karna chahye Ab ghalat fehmi kaha huee kaise log is masle mai gumrah hue q karne lage 4 hath se Musafa ??? Ye h wo hadis jis se 4 hath se musafa karne wale ghalat istedlal kar baithe Abdullah ibne masood(r.a ne farmaya k Nabi(s.a.w ne mujhe tashahud sikhaya us waqt mera hath nabi(s.a.w ki hateliom k darmiyan tha is tarah sikhaye jis tarah aap quran ki surat sikhaya karte they(Bukhari vol 7 ! 6265) Yahan 4 hath se musafa karne wale ghalti kar baithe Abdullah ibne masood(r.a ka hath nabi(s.a.w ki dono hatelion k beech mai tha agar 4 hath se musafa hota to abdullah ibne masood k dono hath nabi(s.a.w ki hatelion mai hote magar ek hath hi tha yaani sahaba(r.a bhi yehi jante they k musafa ek hath se hi hota h or iasa karne par nabi(s.a.w ne abdullah ibne masood(r.a ko mana nhi kiya agar ye amal ghalat hota to nabi(s.a.w zaroor abdullah ibne masood(r.a ko tokte jaisa k nabi(s.a.w aksar sahaba(r.a ko foran un k koi gahalt amal pe tok dete they Ek hat nabi(s.a.w ki dono hatelion mai dena abdullah ibne masood(r.a ka ya batata h jo mai pehle zikr kiya hu fitrat wala bachche wali fitrat ek hath se musafa karna Ab rahi ek hath abdullah ibne masood(r.a ka dena or dono hatelion se nabi(s.a.w ka abdullah ibne masood(r.a ka pakdna kiya h ? Ye arab k riwajo mai se ek rivaj h k koi bhot mohabbat se kisi se milta h to us k hath ko dono hath se pakadta h jo aaj bhi hota aya h Note,,, Or aise hi ghalat fehmi logo ne imam bukhari k us baab k naam se bhi kar li jo unho ne dono hath pakadna se banaya h ye bhi ek bhot badi ghalat fehmi h logo mai Bukari k is baab mai 3 amar mazkur h ek imam bukhari ki tabviyat yaani imam bukhari ka ye kaul baab dono hath k pakdne k bayan mai Dusra hammad bin zaid ka asar Teesra ibne masood(r.a ki hadis mazkoor h Imam bukhari ki mujarid tabvib se dono hatho k musafe ka sabit na hona zahir h q musannefin ki tabvib un ka dawa hota h jo bina daleel kabil e kubul nhi us k alawa mujrid Dono hatho k pakadne ka naam musafa nhi h dono hath ko pakadne se dono hath k musafe ka husul zaroori nhi or hammad bin zaid k asar se dono hath ka musafa kisi tarah sabit nahi hota To jo log ye kehte h imam bukhari k baab se 4 hath se musafa sabit h wo dhoka dete h EK HATH SE MUSAFA MASNUN HAI 13 SABOOT (1)Ubed ullah bin basar(r.a se rivayat h k unho ne kaha tum log mere us hath ko dekhte ho maine isi ek hath se Nabi(s.a.w se musafa kiya h(hafiz ibne abdulbar tamheed sharah mota) (2)Anas bina malik(r.a se rivayat h k maine apne is ek hateli se musafa kiya h nabi(s.a.w ki hateli se pas maine nabi(s.a.w ki hateli se zyada kisi khazku or na kisi reshmi kapde ko mas kiya is hadis ko allama mohammed abid sanadi(r.al ne hasrul sharid mai or alama shaukaani ne itehaful akabar mai bhot se mauhadasin ne isey zikr kiya h (3)Abu imam(r.a se rivayat h k salam ki atamami hath. Ka pakdna or musafa dahine hath se h rivayat kiya h is ko hakim ne kitabul alkana mai (4)Umaro bin aas kehte j k jab Allah taala ne mere kalab mai islam daala to mai rasool(s.a.w k pass aya or kaha ya rasool Allah apbe hath mubarak ko badhaiye k mai aap se bait karu pas rasool(s.a.w ne apne dahine hath ko badhya fir maine apna hath samet liya is hadis ko imam muslim ne bhi apni sahi mai rivayat kiya h ek hath se bait ka bhi yehi tarika h mullah ali karo sharah mishkaat page 87 mai isi hadis k tehet likhte h (5)Abu gadiya se suna wo kehte they k maine rasool allah (s.a.w) se bait ki pas mai abu gadiya se kaha kiuya aap me apne dahine hath se nabi(s.a.w se bait ki thi ? Unho ne kaha haan (musnad ahmed page 568) (6) Abdullah ibne omar(r.a se rivayat h k makka chale jaane k baad bait e rizwan huee nabi(s.a.w ne apne dahine hath ki taraf ishar kar k farmaya ye mera dahina hath usman(r.a ka hath h fir aap ne apne dahine hath ko dusre hath par mara or farmaya ye bait usman(r.a k liye h (7) Hibban kehte h k mai wisla k sath abu alasawad. K pas un k marz ulmaut mai gaya pas wisla ne un ko salam kiya or baithe pas wisla ne un k dahine hath ko pakda or us ko apni dono ankho or muh pe lagaya (8)Zyad bin alka(r.a se rivayat h k jab mughira bin sauba ne inteqal kiya to jareer (r.a ne khutba padha or kaha aye logo mai tum ko Allah wahid la sahrik se darne or sukun or wakar ki wasiyat karta hu maine rasool(s.a.w se apne ek hath se islam par bait ki h(abu owaina) (9)Akba bin sauban rivayat karte h maine usman(r.a ko bayan karte suna wo kehte they jab se maine rasool(s.a.w se apne dahine hath se bait ki tab se maine na tagni ki or na jhut bola or na apne dahine hath se apne zakr ko chuwa(sunan ibne maja) (10)Anas(r.a se rivayat j maine nabi(s.a.w se bait ki apne ek hath se sama or taat par bakadare istetaat k(kanzul amal page 82) (11)Abdullah bin hakim rivayat karte h k maine umar(r.a se bait ki apne ek hath se sama or taat par bakadre apni istetaat k(kanzul aamal) (12)Salman farsi se rivayat h k nabi(s.a.w ne farmaya jab koi musalman apne bhai se mulakat karta h or us ka hath pakdta h to un dono k gunah is tarah jhad jaate h jis tarag sakht hawa k din sukhe darakht patte jhad jaate h(kitaabo targib o tarteeb) (13)Braa bin azib(r.a se rivayat h k nabi(s.a.w farmaya jab 2 musalmman baham mulakat karte h pas musafa karte h to kabal is k k ek dusre se juda ho un dono ki maghfirat ki jaati h(tirmizi) (ANDHE MUAKDLLIDO K HANFI ULEMA BHI) EK HATH SE MUSAFE K MSNUN YE MUSTAHAB HONE K MUTLAK ULMA E FUQAH K KAUL (1) HANFI allama ibne abid ibne shaami durr e mukhatar mai likhte h hajr e aswad par apne dono hatho ko rakhe fir hatho ko chume ya sirf ek hath rakhe or behter ye h k hajar e aswad par dahine hath rakh is waste k dahine hath sharif kamo mai mustaamal hota h or is waste k behr e ameek se nakal kiya gaya h k hajar e aswad Allah taala ka dahina hath h us se us k bande musafa karte h (2) HANFI allama badrudeen aini sharah hidaya mai likhte h yaani ulema ne is baat pe itefaq kiya h k tamam kaamo mai dahina hath makdam karna mustahab h aise wazu,gusal,kapda,juta, moza, paijama pehnna miswak karna surma lagana nakhoon or lab k baal tarashna sir mundhana namaz se salam ferna khana peena or MUSAFA karna (3) HANFI ZIAUDDIN NAKSHBANDI ne apni kitaab lawamul alakul shara ramuzul hadis mai likhte h yaani adab sharyat se zahir hota h k musafa masnun hone k liye dono janib se dahina hath matayeen h pas agarche dono janib se bayan hath milaya gaya ya ek janib se dahina or ek taraf se bayan to musafa masnun nahi hoga DUSRE ULEM BHI EK HATH SE MUSAFA KO MASNUN KEHTE HAI (1) Alama ibne hajar makki sharah masailul taalim mai likhte h ek hath se musafa ko masunu kaha h (2) Imam navvi : abdulla bin suleman zubedi apne risale musafa mai likhte h apne dahine hath se musafa karna mustahab h or yahi afzal h SAB SE BADE WALI ABDUL QADEER JILANI ka kaul un ki kitaab gunyatut talebin mai likhte h un umur k bayan mai jin ka bayan se karna mustahb h or un umur mai jin ka baien hath se karna mustahb h muslman k liye khana lena peena or musafa karna dahine hath se mustahan h NOTE.... 4 hath se musafa karna jis tarah is zamane k andhe mukallid karte h na kisi hadis se na kis sahabi k asar se na kisi taabaee k kaul o fel se or na harzaro aimma se Is ka koi saboot or na koi fatva sabit h Or nna HANFION ki mautabar kitabo mai jin par HANFI mazhab chalta h 4 hath se musafa ka masnun hona nhi likha h Post zara badi ho gaee us k liye maafi fir bhi bhot short kar k banaya hu Allah se dua h andha mukallid banne se bachaye or deen ki sahi samjh ata farmaye HANFiYAT k fitne se bachaye ameen yarabalameen
Posted on: Fri, 21 Jun 2013 15:20:50 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015