AITRAAZ: TABLEEGH waale Chillah (40 days) lagaane par Zor dete - TopicsExpress



          

AITRAAZ: TABLEEGH waale Chillah (40 days) lagaane par Zor dete hain, Jiski Koi ASAL Nahi hai. Bismillahir Rahmaanir Raheem JAMAT ME CHILLAH (40 DAYS) LAGAANE KI ASLIYAT QURAN WA HADEES SE AITRAAZ: TABLEEGH waale Chillah (40 days) lagaane par Zor dete hain, Jiski Koi ASAL Nahi hai. AL-JAWAAB: Aisa Kuch bhi Nahi hai ke Mehaz Wo Chillay par hi Zor dete hain balke Deen seekhne ke liye Wo Waqt lagaane par Zor dete hain. Jiske Paas Jitna Waqt ho Lagaaye, Isi liye 1 Din, 2 Din, 3 Din, 10 Din, 20 Din, 40 Din, 3 Maah, 4 Maah, 1 Saaal aur Poori Zindagi lagaane ki Guzarish karte hain. Agar TABLEEGH waale Chillay par Zor dete hain to bhi Ye Koi BE-ASAL Cheez Nahi hai ke Aitraaz kiya Jaaye, balke HAALAAT ki Taghayyur aur TABDEELI me Isko KHAAS dakhal hai, Na Sirf Is par Qurani Aayaat, Ahadees balke SALAF AS- SALIHEEN ka Tajrubah aur Mushahidah bhi Dalalat karta hai Yani 40 din Lagaataar Amal ki bohat BARKAT wa TAASEER hai. 40 Din Amal karne se ROOH aur BAATIN par Achha ASAR murattib hota hai. CHILLAH KI ASAL QURAN SE: Allah Subhana Wa Tala ka Irshaad hai: Hum ne Moosa (alaihis salaam) se 30 Raat ka Wada kiya aur Hum ne Iski Takmeel 10 Din se ki, chunacha Unhone Apne Rabb ki taraf se mutayyan 40 din ki Muddat Poori Karli. [Surah Al Araaf: 142] Hazrat Thanvi (rah.) tehreer farmate hain: Ye Aayat Shareefah Soofiyon ke Chillon ki Asal hai, Jis me Wo Hazraat bohat se Barkaat ka Mushaahidah karte hain. [Tafseer Bayan Al- Quran] Hazrat Sheikhul Hind (rah.) ke Tarjumah ke fawaaid me likha hai: Jab Banu Israel ko tarah tarah ki Pareshaniyo se Itminan Naseeb hua to Unhone Hazrat Moosa (alaihis salaam) se darkhwast ki ke Ab Hamaare liye Koi Aasmani Shariat laayein Jis par Hum Dil Jami ke sath Amal Kar ke dikhlaayein. Hazrat Moosa (a.s.) ne Unki darkhwast ko Baargaah-e-Ilaahi me Peish kar diya. Allah tala ne Un se Kam az Kam 30 din aur Zaayed 40 din ka Wada farmaya, jab itni Muddat Tum Pe dar Pe Roze rakhoge aur Koh-e- Toor par Mutakaf rahoge to Tum ko TAURAAT SHAREEF inayat ki Jayegi. 40 din ki Miyaad Poori ho Jaane par Haqq Tala Shaanahu ne Moosa (a.s.) ko Kisi Makhsoos Wa Mumtaz Rangg me Sharf-e-Mukaalmah bakhsha. CHILLAH KI ASAL HADEES SE: 1. Abdullah bin Masood (raz.) ki Mashhoor Hadees hai, farmate hain: Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ne farmaya: Aadmi ki Ibtidaayi Khalqat Maa ke Reham me 40 din to Nutfah rehti hai aur 40 din tak Khoon ka Luthra rehta hai, Phir 40 din tak Wo Boti bana rehta hai. [Sahih Bukhari wa Sahih Muslim Raqam# 6893] Is Hadees se saaf Zaahir hai ke Taghayyur Haalaat me 40 din ko Khaas Dakhal hai. 2. Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ka Irshaad hai ke, Jo Shaqs 40 din Ikhlaas ke sath Isi tarah Namaz parhe ke TAKBEER AULA Faut na hui ho to Usko 2 Parwaane milte hain. Ek Parwanah Jahannam se Chutkaare ka, Doosre Nifaaq se bari hone ka. [Musannaf Abdur Razzaq Raqam# 2019] Chounke Jamatein Masajid me teharti hain, isliye Un Logon ki Takbeer Aula Faut Nahi hoti (Yani Takbeer Aula mil jati hai). 3. Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ka irshaad hai: Jo Shaqs Meri Masjid me 40 Namazein Isi tarah Parhe ke Ek Namaz bhi Uski Masjid se Faut na ho to Uske liye Aag se Baraat likhi jati hai aur Azaab se bari hona likha jata hai aur Wo Shaqs Nifaaq se bari ho jata hai. [Musnad Ahmed Raqam# 12583] 4. Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ka irshaad hai: Jo Allah ke liye 40 din tak Ikhlaas kare (Yani Ikhlas ke sath Aamaal kare), Allah tala Uske Dil me HIKMAT ke CHASHME ubaal kar Uski Zuban se ada karaate hain. [Musannaf Ibne Abi Shaibah, Kitab: Az-Zuhad, Raqam# 73] 5. Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ka irshaad hai: Jo Shaqs meri Ummat par 40 din tak Ghalla roke aur Sadqah kare to Uska Sadqah Maqbool na hoga. aur Alfaz ke Iqtilaf ke sath ke Wo Allah se bari ho gaya aur Allah us se bari ho gaya. [Musnad Ahmed, Raqam# 6893] 6. Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ka irshaad hai: Jo Shaqs Kisi Na Beena ki 40 Qadam tak DASTGEERI kare Uski Maghfirat Kar di Jayegi. aur Ek Hadees me hai ke Jannat Uske liye WAJIB ho Jayegi. [Musnad Abi Yala, Raqam# 5613] 7. Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ka irshaad hai: Jisko Allah tala Haalat-e-Islam me 40 Saal ki Umar de Us se Junoon, Jazm aur Bars ki bala ko door kar dete hain. [Musnad Ahmed, Raqam# 13279] 8. Hazrat Hakeem bin Juzaam (raz.) farmate hain ke: Maine Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) se kaha ke Zamana-e-Jihalat me 40 Ghulamo ko Aazad kiya to Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ne farmaya: Tu Apne Sabiqah Is Khair ki wajah se Islam laaya. [Musnad Ahmed, Raqam# 16675] 9. Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ka irshaad hai: Jo Shaqs Meri Ummat me se 40 Hadeeson ko HIFZ kare to Wo Ulema me se hai. [Muwatta Imam Malik] 10. Hazrat Abdullah bin Abbas (raz.) ka Irshaad naqal hai ke, Unke Sahab zaade ka Intiqaal ho gaya to Unhone Apne Aazaad kardah Ghulam Kureib se farmaya ke Dekh bahar Kitne Aadmi hain. Unhone Aa kar Arz kiya ke bohat bada Majmua ho gaya. To Ibne Abbas (raz.) ne farmaya ke 40 honge. Farmaya: Ji haan! To Ibne Abbas (raz.) ne farmaya ke Janazah le chalo. Maine Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) se suna hai ke Jab Musalman ka Intiqaal ho Jaaye aur Uske Janazah ki Namaz 40 Fard parhein, Jo Allah ke sath Kisi ko Na Shareek karein to Us Mayyat ke Haqq me Unki Sifarish Qubool hoti hai. [Sahih Muslim] 40 Din ki Asar Angeizi aur Haalaat ki Tabdeeli me Uske Khaas Ahtemaam ka Andazah Is Waqea se bhi Lagaya Ja sakta hai, Jo Hazrat Umar (raz.) ke Daur-e-Khilafat me Peish aaya tha. Hazrat Umar (raz.) ke Zamane me Ek Shaqs, Ek Aurat par Aashiq ho gaya aur Uski Mohabbat me Deewana ho gaya, Wo Aurat badi PAAK DAAMAN Afeefah aur Samajhdaar thi, Usne Us Shaqs se Kehalwaya ke 40 Din tak Hazrat Umar (raz.) ke Peeche TAKBEER AULAA ke sath Namaz parho, is ke bad Faislah hoga. Usne 40 Din tak Isi tarah Namaz parhi to Uski Kaayah Palat gayi aur Uska Ishq Mijaazi, Ishq HAQEEQI se badal gaya. Abhi tak wo Us Aurat ka Ashiq tha, Ab Allah ka Ashiq ho gaya aur Ishq bhi Aisa ke Allah ki Muhabbat Uske Rag Rag me Siraayat kar gayi. Hazrat Umar (raz.) ko Is waqea ki Itlaa hui to farmaya: BE SHAKK! Allah aur Uske Rasool (sallallahu alaihi wa sallam) ne SACH kaha, Yaqeenan Namaz BE HAYAI aur BURAYI ki baton se Rokti hai. [Ba Hawalah Fataawa Raheemiyah 6/384] CHAAR (4) MAHEENE KI SHARAI HAISIYAT: Chaar Maheene agar Usool-e-Saheehah ke Mutabiq Akabir ki Hidayat ki Roshni me lagte hain to Is se Insani Zindagi me Khaasi Tabdeeliyan Aati hain, Islami Mizaaj banta hai. Pehle Chillah se to ZANG door hota hai, Doosre Chillah se RANG aata hai aur Teesre Chillah se DHANG aata hai. 3 Chilley Yani 4 Maheene ki Asar Angeizi. Insani Tabiyat par Iske Asraat ka Andazah Is Aayat-e-Kareemah se bhi hota hai Jisme Insan ki Ibtidaayi Khalqat ke baare me batlaya gaya hai: Dekhiye Jab Nutfah Reham Maadar me Qaraar Pakadta hai to Pehle Chillah me Wo Nutfah Alqah (Yani Bandha hua Khoon) banta hai aur Doosre Chillah me Muzghah (Gosht ki Boti) aur Teesre Chillah me Is Muzghah ke baz Ijza ko Haddiyaan bana diya jata hai aur In Haddiyon par Gosht charhta hai, Phir Iske bad (Yani 3 Chillon ke bad Jiske 4 Maah hote hain) Usme Jaan padti hai. [Tafseer Bayan Al Quran, Surah Muminoon: 13-14] To maloom hua ke 4 Maah me Jismaani Takmeel ki tarah agar Usool Saheehah ka Lihaaz ho to Roohani Takmeel bhi hoti hai. Chaar (4) Maheene ke Haalaat par Asar Andaaz hone ko Is Waqea ke Zariye bhi Achha samjha ja sakta hai Jo Hazrat Umar (raz.) ke Daur-e- Khilafat me Peish aaya tha. Abdur Razzaq ne Ibne Juraij (rah.) se Is Waqea ko Naqal kiya hai ke farmate hain ke Mujhe Ek ba-aitemaad Shaqs ne Ye batlaya hai ke: Hazrat Umar (raz.) ko Dauran-e-Gasht Kisi Aurat ki Aawaz sunayi di Jo Is tarah Keh rahi thi. Raat Kafi Lambi ho chuki hai, Iske dono Ufaq bilkul SIYAAH ho gaye aur Isne mujhe Bedaar kar diya hai. Mera Koi Mehboob Nahi hai ke Jis se Main Khilwaad karu. Agar Allah tala ka Khauff Daaman Geer Na hota, Is Jaisi Cheez Phir Koi Nahi hoti Phir Iski wajah se Is Taqt ke Chaaro Simt hil jaate. Hazrat Umar (raz.) ne Us se Kaha: Tumhein Kya ho gaya.? Usne kaha: Mera Shohar Kayi Maheeno se mere Paas maujood Nahi hai, Mujhe Uski Chaah ho rahi hai. Hazrat Umar (raz.) ne Kaha: Kya Tum ne Bad kaari ka Iraadah kiya hai.? Usne Kaha: Allah ki Panah..!! Hazrat Umar (raz.) ne kaha: Apne ooper Qaaboo rakho, Daak Jaane hi wali hai. Phir Hazrat Umar (raz.) Apni Sahabzaadi Ummul Mumineen Hazrat Hafsah (raz.) ke Paas Tashreef laaye aur Unse Kehne lage: Main Tumse Apne Ek Aham muamle me Kuch poochna chahta hoon, Tum Uske baare me mujhe batana. Kitni Muddat me Aurat ko Shohar ki Khwahish hoti hai.? Unhone Apna Sar Neeche Kar liya aur Sharma gayi. Hazrat Umar (raz.) ne kaha: Allah tala Haqq baat Kehne se Nahi Haya karta. Unhone hath ke Ishaarah se 3 Ya 4 Maheene batlaya. Hazrat Umar (raz.) ne Ye Tehreer Ravana ki ke Faujiyon ko 4 Maheene se Zyadah Roke Na rakha Jaaye. [Kaza Fil Kanz 8/308, Hayaat As-Sahaba 1/601] Isi tarah Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) Ko 40 Saal ki Umr me Nabuwwat mili. Ibraheem (alaihis salaam) Ko Aag me daala gaya to Wo 40 din tak usme rahe. Yunus (alahis salaam) ko Jab Machhli (Whale) ne ningla to Wo 40 din tak Uske Peit me rahe. Hazrat Noah (alaihis salaam) Jab Kashti me Sawaar hue to 40 din tak Aasmano se Pani barasta raha. Is tarah be-shumaar Ahadees wa Waqeat se Chillah ki Ahmiyat ka pata chalta hai. Aur Chillah ki Asal Haqeeqat to Allah tala hi behtar Jaante hain. Lekin Hairat hai Zakir Naik Jaise Logon par. Ek Na-Mahram Aurat ko Jawab dete hue Maslaki Tasub me Zakir Sahab ne Faislah de diya ke Chillah (40 din) aur 4 Maheene ki Asal Quran wa Ahadees me Nahi hai. Main samajhta hoon ke Wo Aurat TABLEEGH ko Badnaam karna chahti thi. 1. Zakir Sahab! Hum Aap se poochte hain ke Aap Jo Dawah Courses chalaate hain, Inki Jo Muddat (Time limit) muqarrar karte hain Kya Iski Asal Quran wa Hadees me maujood hai.? 2. Aap Jo Bollywood Heroes ki tarah Apni Entry ke liye Lakhon balke Croron Rupya Logon ki di hui Zakat ke Maal me se Stages ke liye Fuzool Kharch Karte hain. Kya Iski Asal Quran wa Hadees me maujood hai.? Filhaal, Main In 2 Sawalaat par hi Iktifa karta
Posted on: Fri, 01 Nov 2013 16:57:43 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015