>GOLDEN WORDS< . 1) Na Samajh Ko Sawal Sunai Padta Hai or - TopicsExpress



          

>GOLDEN WORDS< . 1) Na Samajh Ko Sawal Sunai Padta Hai or Saaheb- e-Samajh Ko Puchne Wala. . 2) Maut Khatma Nahi Balke Puri Zindagi Ka Markaz-e- Kamil Hai. . 3) Maut Zindagi Ki Aham Halat Hai. . 4) Maut Ka Didaar Usi Waqt Hota Hai Jab Kisi Apne Ki Maut Hoti Hai. . 5) Saaheb-e-SamajhDusro Ki Bhul Se Bhi Seekh Leta Hai Or Na Samajh Khud Ki Bhul Se Bhi Nahi Seekhta. . 6) Maut Wo Bulandi Hai Jahan Se Zindagi Ko Behtar Dhang Se Dekha Ja Sakta Hai. . 7) ilm Ki Diwar Ke Aage Cheen Ki Diwar Choti Hai. . Kuch Or Banne Ki Chah Insaan Ko Pagal Bana Deti Hai. . 9) Jannati Wo Hai Jis Ke Andar Jannat Ho Na Ke Wo Jo Jannat Me Rahne Ka Khwab Dekhta Hai. . 10) Insaan Pana Sab Chahta Hai Or Khona Kuch Nahi. . 11) Is Duniya Me Ustad Ban Kar Seekhne Se Behtar Koi Tarika Nahi. . 12) Har Paida Hone Wala Bachcha Apne Saath Ek Sawaal Le Kar Paida Hota Hai. . 13) Sukoon Se Wohi Mar Sakta Hai Jis Ki Sab Khwaishaat Jhad Gayee Ho. . 14) Chize Waisi Nazar Nahi Aati Jaise Wo Hoti Hai Balke Waise Hi Nazar Aati Hai Jis Tarah Hum Dekhna Chate Hai. . 15) Asal Raaz Humare Karne Me Nahi Bal Ke Humare Hone Me Hai. . 16) Nahi Janne Wala Hamesha Janne Ka Dikhawa Karta Hai. . 17) Rahe Tassawwuf Me Khud Ko Na Janna Sab Se Bada Kufr Hai. . 18) Tankid Me Taamir Poshida Hai. . 19) Na Kisi Ki Tariff Uske Samne Karo Na Uski Burayee Piche. . 20) Tariff Or Burayee Dono Nafs Ka Dhoka Hai Isiliye Dono Chor Dene Ke Kabil Hai. . Dua ki guzarish
Posted on: Wed, 23 Oct 2013 05:28:51 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015