: Gunaah-e-Kabira, Gunah-e-Saghira, Kabira, Saghira ∗ Qasam Ka - TopicsExpress



          

: Gunaah-e-Kabira, Gunah-e-Saghira, Kabira, Saghira ∗ Qasam Ka Kaffara ….. ♥ Al-Quraan : Khuda Tumhe Nahi Pakdta Galatfehmi Ki Qasmo Par, Haa! Unn Kasmo Par Pakad Farmata Hai Jinhe Tumne Mazbut Kiya Ho, Toh Aesi Qasam Ka Badla 10 Miskeeno Ko Woh Khana Khilana Jo Tum Apne Ghar Me Apne Liye Pasand Karte Ho, Ya Unhe Kapde Dena, Ya Ek Ghulam Aazad Karna. Toh Jo Inme Se Kuch Na Kar Paye Toh 3 Din Ke Roze Rakhe. - (Al-Ma’ida, Ayat 89) » Sabak : Lihaza Apni Qasmo Ki Hifazat Karo Aur Bila Jarurat (Yaani Choti Choti Ya Mamuli Baat Par) Qasme Na Khaya Karo, Jab Intehayi Jarurat Pad Jaye Tab Hi Qasam Khao Aur Use Waade Ke Mutabik Har Haal Me Pura Karo Aur Use Pura Na Kar Pao Toh Uss Qasam Ka Kaffara Ada Karo. - � Category : Hindi Hidayat Post,Qurani Ayate/Surah Tags : Qasam Ka Kaffara, Qasme Na Khaya Karo, Qasmo Ki Hifazat Karo ∗ Shatranj (Chess) Aur Chausar Kehlna Na-Jayaz ….. » Hadees : Nabi-e-Kareem (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) Ne Farmaya, “Jo Shatranj (Chess) Aur Chausar Khelta Hai Wo Uss Aaadmi Ki Tarha Hai Jisne Apne Haath Suar (Pig) Ke Gosht Aur Khoon Me Rang Liye Ho”. - (Sahih Muslim Book 028, Hadith Number 5612) » Note : Beshaq Jo Amaal (Shouk) Hamare Nafs Par Iss Tarha Haawi Ho Jaye Ke Ham Ek Pal Ke Liye Bhi Akhirat Ki Fikr Se Gafeel Hone Lage Wo Har Haal Me Na-Jayaz Wa Haraam Hai. Lihaza Har Imaanwalo Par Lazim Hai Ke Har Pal Khuda Ki Khushnudi Ke Saath Zikr-E-Ilaahi Me Mashgul Rahe, Aur Apne Nafs Ko Uss Kaam Me Mubtela Kare Jo Hamari Aakhirat Ke Magfirat Ka Jarya Ban Sake. Shatranj, Gaana-Bajana, Juwa, Sharab Inn Sab Ko Rasool’Allah Ne Is Tour Par Manaa Farmaya Hai Ke, Log Isme Itne Mashgul-Wa-Mubtela Ho Jate Hai Ke Uss Douran Na Anzam Ki Fikr Rehti Hai Aur Na Hi Khalik-e-Akbar Ka Khayal .. - � Category : Hadees-e-Nabvi,Hindi Hidayat Post Tags : Akhirat Ke Fikr Se Gafeel, Chausar Kehlna Na-Jayaz, Gosht Aur Khoon, Juwa, Nafs Par Iss Tarha Haawi, Shatranj (Chess) Aur Chausar ∗ Aurat Ka 3 Din Se Jyada Tanha Safar Karna Jayaz Nahi … Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke, “Jo Aurat Allah Aur Qayamat Ke Din Par Imaan Rakhti Hai Uss Ke Liye Yeh Halaal Nahi Ke Wo Apne Baap, Bhai, Shohar, Bete, Ya Kisi Mehram (Rishtedar) Ke Bagair 3 Din Ya Iss Se Ziyada Ka Safar Kare” -: (Sahee Muslim, Hadis-3270, Page-901) Tafsir : Ulma-e-Karam Ne Iss Ki Had Kilo Mitron Me 92km Bayan Frmaee Hai. - � Category : Aurto Ke Sabab,Hadees-e-Nabvi,Hindi Hidayat Post Tags : 3 Din Ya Iss Se Ziyada Ka Safar, Aurat Ka 3 Din Se Jyada Tanha Safar, Qayamat Ke Din Par Imaan, Safar ∗ Insani 360 Haddiyon Ka Zikr 1400 Pahle Hadees Me …. » 1400 Saal Pahle Insani 360 Haddiyon Ka Zikr « ■ Hadees : Hazrat Ayesha (Radiyallaahu Anha) Se Riwayat Hai Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya: “Har Insan Ki Takhleeq Me 360 Jod (Joints of Bones) Banaye Gaye Hain, So Jis Ne Allahu Akbar Kaha, Alhamdulillah Kaha, La’ilaha Illa’llah Kaha, Subhanallah Kaha, Astagfirullah Kaha, Raaste Se Patthar Ya Kanta Ya Haddi Hatadi, Acchi Baat Ka Huqm Diya Ya Buri Baat Se Roka Toh Ye Teen So Saath (360) Jodon (Joints) Ki Ginti Ke Barabar (Shukr Ada Karne Ki Tarah) Hai Aur Goya Wo Shaksh Uss Din Apne Aap Ko Jahannam Se Aazad Karwa Kar Chal Phir Raha Hai”. -: (Sahih Muslim, Book 5, Hadith 2199) ■ Science Aproval : 1400 Years Years Pahle Na Science Thi Aur naa Hi Koi Isani Jism Ko Scan Karne Ka Koi Jarya, Rasoolallah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne (Wahi Ilahi Ke Noor Se) Insani Haddiyon Aur Jodon Ki Ta’dad Muta’yyan (Exact) Tor Par Teen So Saath (360) Bayan Farmadi, Aaj Medical Science Me Insani Haddiyon Aur Jodon Ke Liye Ek Mustaqil Shoba Anatomy Wujood Me Aa Chuka Hai Aur Iss Sho’be Ke Muhaq’qiqeen Ka Tasleem Karna Hai Ke Insani Jodon Ki Ta’dad Teen So Saath (360) Hi Hain - � Category : Hadees-e-Nabvi,Hindi Hidayat Post Tags : 1400 Pahle Hadees, 360 Haddiyon Ka Zikr, Insani 360 Haddiyon Ka Zikr Page 2 of 126«12345...102030...»Last » CATEGORIES COMMENTS TAGS Auliya-E-Karaam (8) Aurto Ke Sabab (67) Eid-E-Miladun Nabi (7) Eid-Ul-Adha ~Qurbani (13) Eid-Ul-Fitr~Ramzan (68) English Hadith Post (20) Farman-E-Ali (80) Farmane Gaus-E-Aazam (29) Golden Words (121) Hadees-E-Nabvi (588) Hindi Hidayat Post (1236) Maah-E-Muharram (9) Neymat-E-Namaaz (47) Qayamat Ki Nishaniya (29) Qurani Ayate/Surah (156) Ramzan Mubarak (54) Waqiat (60) DUROOD-O-SALAAM ARCHIVES
Posted on: Thu, 27 Jun 2013 06:14:05 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015