Hadees : Nabi-e-Kareem ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka - TopicsExpress



          

Hadees : Nabi-e-Kareem ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Farman-e-Ibrat Nishan Hai, “Jis Ne Kisi Musalman Ko Iss Ke Naam Ke Ilawa Kisi Lafz Yani Bure Naam Se Pukara Toh Uss Par Malaika (Farishte) Lanat Bhejte Hai”. -: (Gheebat Ki Tabah Kariyan Page No 170) Hadees : Rasool’Allah ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya, “Allah Ke Bandon Me Sabse Bad’tar(Bure) Wah Log Hain Jo Chugliyan Karte Hai Aur (Uskey) Doston Me Judaai Dalwate Hai”. - (Baihaqi Sharif) o Hadees : Rasool’Allah ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Meraj Ke Din 3 Cheeze Di Gayee Abdullah Bin Masood (Radi Allaho Anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasool’Allah ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Meraj Hua Toh Aap ‘Sidaratul Muntaha’ Tak Pahunchey Waha Rasool’Allah ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Wahan 3 Cheezein Di Gayee ∗(1). Ek Paanch (5) Namazein, ∗(2). Dusra Surah Baqra Ki Aakhri Aaytein, ∗(3). Teesra Alllah Subhanahu Ta’ala Ne Baksh Diya Aap ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Ummat Me Se Har Uss Shaksh Ko Jo Allah Ke Saath Shirk Nahi Karey. - (Sahih Muslim , Vol1, 431)
Posted on: Wed, 18 Sep 2013 03:34:30 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015