Is Message ko padh kar forward kare aur is Sunnat ko Zinda karne - TopicsExpress



          

Is Message ko padh kar forward kare aur is Sunnat ko Zinda karne me Hissa len.. Kya aap jante hai ??? HIJAMA kya hai ? HIJAMA K BARE ME HADEES E PAAK... HIJAMA K ZARIYE KIN BIMARIYO SE ILAAJ HOTA HAI..??? HIJAMA kya hai HIJAMA sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam hai.. HIJAMA karwana ya lagwana Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ki sunnat hai yani khud Aap Sallallahu Alaihi Wasallam hijama karaya karte aur apni Ummat ko bhi uski targheeb bhi detey. Jism k makhsus hisso se bimariyo samet Faasid (kharab) blood nikalne ko Hijama kehte hai. HIJAMA K BARE ME HADEES E PAAK Ek Hadees me Irshad hai “ Behtareen ilaaj jisay tum kartey ho HIJAMA hai.( Sunan Abi Dawud 3857 ) HIJAMA mein 72 bimaariyon se najaat hai. ( TABRAANI ) Hazrat ibne Abbas (rz) Huzur akram Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat karte hai, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya shifa teen chizo me hai 1) Hijama ke zariye cut lagane me. 2) Shahed ke istemaal me. 3) Aag se daagne me, Lekin mai apni ummat ko aag ke daagne se rokta hun. (Sahih al Bukhari 5781) Hazrat Jabir (r.z) Huzur akram Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat karte hai, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar tumhare ilaajo me se kisi ilaaj me shifa hai toh HIJAMA ke zariye cut lagane me hai, yaa shahed ke istemaal me, yaa phir aag se daagne me , (basharteke) ye daagna us marz ko raast aajaye, lekin mai aag se daagne ko pasand nahi karta. (Sahih al Bukhari 5783) Hazrat Anas (rz) farmate hai ke Rasool s.a.w.sallam ne farmaya sab se bahetreen dawa jissay tumm ilaaj karo wo HIJAMA lagwana hai aur qustool bahri (samandari jadi buti) se ilaaj karna hai. (Sahih al Bukhari 5797) Hazrat Jabir (rz) ne hazrat Muqanna (rz) bimar hue to un ki iyaadat ki aur farmaya ke jab tak tum HIJAMA na lagwalo mai wapas nahi jaunga. isliye ke maine nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se suna hai k HIJAMA lagwane me shifa hai. (Sahih al Bukhari 5797) Hazrat Samruh bin Jundub (rz) farmate hai ke Huzur akram Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas bani Fazara qabile ka ek dehati aaya. Us waqt Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko ek HIJAMA karne wala HIJAMA kar raha tha, jab Hijama karne wale ne blade se cut lagaya toh dehati ne (tajjoob se) poocha. Aye Allah k rasool ! yeh aap kiya kar rahe hai ? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya yeh HIJAMA hai, yeh un sabb ilaajo se bahetar hai jo log ikhtiyaar karte hai. (rawa hun-nasaai) Hazrat Maalik bin Saasa (rz) famate hai k Nabi akram s.a.w ne farmaya ke Meraaj ki raat mera farishto ki jiss jamaat par bhi guzar hua ,unhone mujhe Hijama se ilaaj karane ko kaha. (Tibrani) Hazrat Abu Kabshah Anmari (Rd) farmate hai k Huzure Akram Sallallahu Alaihi wasallam sar mubarak par aur dono kandho k darmyan Hijama lagwaya karte they. aur farmate they k “ jis Shakhsh ne (HIJAMA k zariye) apna khoon niklwa diya to ab use koi khadsha (dar) nahi is bat se k wo kisi Bimari ka koi ilaaj na karae.. (Ibn Majah) HIJAMA K ZARIYE KIN BIMARIYO SE ILAAJ HOTA HAI. Tajrube se pata chalta hai k Hijama ke zariye ilaaj karne se in bimario me faida hota hai. 1) Sar ka dard 2) Depression 3) Kandho ka dard 4) Blood pressure 5) Kaan ke andar aawaaze aana 6) Saher (Jadu, Black Magic) 7) Ghutno ka dard (Joint pain) 8) Shaqiqa (migraine) 9) Gurdo ka dard 10) Kamar ka dard (Back pain) 12) Falej paralysis 13) Zyada Thakaan 14) Khoon ki gardish ko bahetar karne k liye 15) Pet ka dard (Stomachache) 16) Sine ka dard (Chest Pain) 17) Khansi 18) Quwwate baah (Mardaana taqat ke liye) 19) Qabz 20) B.P 21) T.B 22) Aurton/Mardon ke poshida amraz 23) Cancer 24) Dil ki Bimariya. In k Alawa bhi aur bahut si badi aur chhoti bimariyo ka Hijama k zariye ilaaj hota hai jinki lambi fehrist hai. aur Hijama wo bhi kara sakta hai jo tandurast hai..is me sunnat ada karne ki niyyat karey aur is se bimari se bachne ki quwwqt milegi InshaAllah.. Mukhtasar ye k Hijama me taqreeban tamam bimariyo me shifa hai.. Yahan kuchh Ahadees pesh ki gai hai.. aur bhi Ahaades Hijama ki Fazeelat k bare me maujood hai.. magar sab ko yaha likhna possible nahi. Asal jo chiz thi wo ye k HIJAMA ek aisi Sunnat hai jo mit rahi hai, Kuch logon ko iske baare me bilkul bhi pata nahi hai. kuchh ko pata hai magar qurbo jawaar me HIJAMA k centre na hone ki wajah se woh is sunnat se mahrum hai Yk
Posted on: Fri, 05 Dec 2014 11:44:37 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015