Jab Gussa (anger) Aae To? ===================== Gussa badi kharab - TopicsExpress



          

Jab Gussa (anger) Aae To? ===================== Gussa badi kharab cheez hai, isme insan ka dimaag kaam nahi karta, aur gusse mein liye gae aksar faisle galat hote hain. Isliye Islam mein gussa ko haram bataya gaya hai. Jis insan be-moka gussa aa jaae uske liye Hazrat Muhammad (SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM) ne farmaya ke us insan ko cahiye ke wo jaldi hi wuzu kare, isliye ke be-moka gussa dilane wala shaitaan hai aur shaitaan aag se peda kiya gaya hai, aur aag paani se bhuj jaati hai, isliye wuzu gusse ki aag ko bhuja deta hai. - mishkat 2-435, mujtabai Dusri hadees mein bataya gaya he ke khade hone ki halat mein gussa aa jaye to aadmi ko chahiye ke beth jaae, jaldi hi gussa utar jaega aur agar bethe-bethe gussa na utre to let jaae taaki gussa khatam ho jaye..... - mishkat 2- 343
Posted on: Sat, 20 Jul 2013 13:19:14 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015