∗ Jumma Ki Namaz ….. ∗ Jumma Ke Namaz Ki Shuruwat !! » - TopicsExpress



          

∗ Jumma Ki Namaz ….. ∗ Jumma Ke Namaz Ki Shuruwat !! » Jumma Ki Namaz Sabse Pehle 12 Rabi-Ul-Awwal 1 Hijri Ko Nabi-E-Paak (Sallallahu Alaihi Wassalam) Ki Imamat Me Parhi Gayi, Jisme Sahabao Ki Tadaat 100 Thi. (Mohsine Insaniyat 703) ∗ Jumme Ki Murba rakbaad Dene Ka Bhi Ajr Hai !! » Hadees: Aye Musalmano Ke Giroh! Beshaq Ye Jumma Woh Din Hai Jisko Allah Ne Eid Banaya Hai. (Mishkat Hadees No. 123) » Hadees: Jisne Jumma Ki Mubarak-baad Di, Uss Par Jannat Wajib Hai. » Hadees: Jab Koi Banda Kisi Momin BhaiKo Jumma Ki Mubarak-Baad Deta Hai, Toh Jannat Me Uske Liye 1 Darakht Laga Diya Jata Hai. ∗ Jumme Ke Din Kasrat Se Duruud Parhe!! » Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, Jo Mujhpar Jumma Ke Din Durood Parhe, Mai Uski Shafa’at Karunga. (Kanzul Ummat Jild, 1 Safa 225 Hadees :2236) » Hadees: Jisne Jumma Ke Din Mujhpar 200 Bar Durood Parha, Uske 200 Saal Ke Guhaan Maaf Ho Gaye. (Kanzul Ummal Hadith No. 2238) » Hadees: Jo Jumme Ke Din Ya Raat 100 Bar Durood Parhe, Uski 100 Hajate Puri Hongi. 70 Aakhirat Me Aur 30 Dunyavi. (Musnad Abu) ∗ Jumme Ki Namaz Na Chhore !! » Hadees: Jisne Jumme Ki Namaz (2 Rakat Jumma) Se Pehle, 4 Sunnat Namaz Aur Jumma Ke Baad 4 Sunnat, 2 Sunnat, 2 Nafil Parhi, Allah Uss Par Jahannam Ki Aag Haram Kar Dega. (Tizimi V1 Hadees:410) » Hadees: Jumme Ki Namaz Ke Liye Azan Di Jaye, Toh Tum Allah Ki Yaad Ke Liye Chal Pado, Ke Tumhare Liye Behtar Hai Agar Tum Jante Ho. (Bukhari Sharif) » Hadees: Juma Ki Namaz Jumma Se Juma Tak Ke Liye Kaffara Hai. Shart Hai Ki Gunah-e-Kabeera Se Bacha Jaye. (Muslim Sharif) » Hadees: Jo Shaks Jumma Ki Namaz Jama’at Ke Sath Parhta Hai, Allah Uske Liye 1 Maqbool Haj Ka Sawab Likhta Hai. (Ghuniya-Tul-Ta liban) » Hadees: Jo Shakhs Bagair Kisi Uzr Ke “3″ Juma Ki Namaze Chhor Deta Hai, Allah Ta’ala UsKe Dil Par Mohar Laga Deta Hai (Ibn-e-Maja, jild-1, Page no.75) » Hadees: Jo Shakhs Khutba Shuru Hone Ke Bad Harkat Karta Hai, Ya Pehlu Badalta Hai Woh Lagw(Bekar) Amal Hai. Khutba Shuru Hone Ke Baad Batein Karne Wala Ghada (Donkey) Hai. (Ahmad,Tibrani) » Hadees: Jumma Ke Din- Raat Me 24 Pal Hai, Har Pal Me Allah Ta’ala 600 Jahannamiyon Ko Jahannam Se Azaad Kar Deta Hai. (Abu Ya’ala) ∗ Jumme Ke Din Khas Tor Se Gusl Kare, Ye Jumma Ki Sunnato Me Se 1 Hai !! » Hadees: Nabi-e-Akram (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, ‘Har Baaligh Par Jumma Ke Din Ghusl Karna Waajib Hai’. (Bukhari J:1 S:121) » Hadees: Jumma Ka Gusl Aadmi Ke Gunaho Ko, Uski Baal Ke Jad Se Kheech Leta Hai. (Tibrani) » Hadees: Jo Shaks Jumma Ke Din Gusl Karke Awwal Waqt Me Masjid Jaye, Goya Usne Oont(Camel) Ki Qurbani Ki. (Muslim Sharif) ∗ Duao Ki Qubuliyat Ka Din Bhi Hai Jumma !! » Hadees: Juma Ke Din Ek Pal Hai Jo Bhi Dua Iss Pal Me Ki Jaye Woh Qubool Hoti Hai. Jo Shakhs Jumma Ke Din Sura-E-Kahaf Padhega Toh Uske Liye Dono Jumma Ke Darmiyan Ek Noor Chamakta Rahega. (Nisaai Sharif) » Hadees: Jumma Ke Din 1 Neki Ka Sawab, 70 Guna (7o Times) Aur Gunaah Karne Ka Azab 70 Guna Se Bhi Zyada Hai. (Mirat Jil 2 Page323) ∗ Jumma Ki Sunnate » Gusl Karna, Saaf Kapde Pehanna, Khushbu Tel Surma Lagana, Nakhun Katna, Masjid Jald Jana Aur Paidal Jana, Sureh Kahaf Parhna, Musafa Karna Aur Jumma Ki Mubarakbad Dena. Sabak :Toh Mere Bhaiyo Aur Behno. !! YeToh Sirf Kuchh Hi Fazilate Likhi Hai, Jumme Ki Toh Itni Fazilat Hai Ke Aap Soch Bhi Nahi Sakte. Ye Gareebo Ka Haj Hai, Gunaho Ka Kaffra Hai, Dua Ke Qubuliyat Ka Din Hai. Isliye Jumme Ki Taiyari Eid Ki Tarha Kare, Khub Durood Parhe Aur Sunnato Par Amal Kare. Aur Ise Jitna Ho Sake Failaye. !! Allah Uss Bande Ko Beshumar Neamato Se Nawaje Jisne Yeh Nayab Mubarak Baatein Ham Tak Pohchayi. Likhne Me Koi Galti Hui Ho Toh Hame Zarur Ittela Kare… !!!! Dua Ki Darkhwast!!!!
Posted on: Fri, 16 Aug 2013 05:17:37 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015