Koi Deewana Kehta HaiKoi deewana kehta hai,koi paagal samajhta - TopicsExpress



          

Koi Deewana Kehta HaiKoi deewana kehta hai,koi paagal samajhta hai magar dharti ki bechaini ko bus pagal samajhta hai mein tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai ye tera dil samajhta hai, yaa mera dil samajhta hai Mauhabbat ek ehsasson ki pawan si kahaani hai kabhi kabira deewana tha, kabhi meera diwani thi yahaan sab log kehte hain meri aankhon mein aasoon hain jo tu samjhe to moti hai, naa samjhe to paani hai samandar peer ka andar hai lekin ro nahin sakta ye aasoon pyaar ka moti hai isko kho nahin sakta meri chahaht ko apna tu bana lena magar sun le jo mera ho nahin paaya wo tera ho nahin sakta Ki brahmar koi kumudni par machal baitha to hangama hamaare dil mein koi khwab pal baitha to hungama abhi tak doob kar sunte the sab kissa mauhabbat ka mein kisse ko hakikat mein badal baitha to hungaama Dr. Kumar Vishwas
Posted on: Mon, 09 Sep 2013 12:53:20 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015