LADIES TAALIM: Hamal ki haalat me bil khusus (aur hmesha)rizqe - TopicsExpress



          

LADIES TAALIM: Hamal ki haalat me bil khusus (aur hmesha)rizqe hlaal istimal kre taaki bachche ka gosht post hlaal giza se bane. MORE INFO: hazrate sayyiduna baa yazid bistaam ki waalida farmaati hai ki jis waqt baa yazid mere shikam me tha to agar koi mushtba giza mere shikam me chali jaati to is qadar bechaini hoti ki mujhe halaq me uoongli daal kr nikaalna padti (TAZKIRATUL AULIYA page 129) Hazrate sayyiduna sufyaan sauri Paidaaishi muttaqi the ek martaba aap ki waalidaae mohtarama ne ayyame hamal me humsaaya ki koi chiz bila ijaazat muh me rakh lee to aap ne pet me tadapna shuru kr diya aur jab tak unho ne humsaaya se maazirat talab n kee aap ka iztiraab khatam n huva. (TAZKIRATUL AULIYA page 174) maa banne waali ko chahiye ki Hamal ke dauraan bhi: >nek aamaal ki kaasrat kre >namazo ki paabandi kre >tilaawate quraan kre >is haalat me aur hamesha rizqe hlaal istimaal kre >sunnato par amal kre >jhut,gibat,chugli vgera gunaho se bachti rahe Jab tak maae ibaadat v riyaazat ka shauq aur tilawate quraan ka zauq rakhne waali hoti thi unki god me palne waali aulad bhi ilmo amal ka paikr aur khaufe khuda ka mazhar huva krti thi, Jab maao ne namaze tark krna apna maamul, feshon ko apna shiaar aur be pardagi ko apna vqaar bna liya to aulaade bhi usi dagar par chal nikli aur fahhaashi v uooryaani aur be raah ravi ka sailaab hayaa ko bahaa kr le gayaa.
Posted on: Mon, 18 Nov 2013 01:01:10 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015