Maaf karna par mai jhoot nahi bol sakta....... Mai kuch din pahle - TopicsExpress



          

Maaf karna par mai jhoot nahi bol sakta....... Mai kuch din pahle mathura vrindavan gaya tha....wahan pande aur local logon ne milkar logon ko lootne ka mafiya tayar kar liya hai mano....jise aap dharm mafiya bhi bol sakte hain... Gokul me jo nand bhavan hai...wahan ek sone ka jhoola rakha hua hai...bhakt use jhulate hain...agar unki jeb me kam se kam 2100 rs hain to....hahaha... Mai bhagwan krishna ko bahut manta hu...isliye wahan gaya tha...mere paas 2100 rs bhi the...chahta to de bhi sakta tha...par mene mana kar diya...kyonki mai iswar ke paas aya tha kisi dukan par nahi...par yahan inn pandon ne dukan bana di hai....mujhe iswar ke liye kisi mandir, masjid, church gurudware me jane ki jarurat nahi...iswar har pal mere sath hai...har roop me mere sath hai....iswar k liye mujhe dharm ki bhi jarurat nahi...kisi ko bhi nahi...kyonki aaj dharm iswar ka rasta kam bank ki tijoriyon aur satta ki kurshi ka rasta jyada ban gaya hai... Hadd to tab ho gayi jab unhone prasad k liye 251 rs ki demand kar di....ye paise bhi mai de sakta tha...par aisa karte hi wo prshad na rehkar kharidi huyi mithayi ban jata...iswar k ashirwad ke liye aise prashad ki bhi jarurat nahi.... Mai aksar sochta hu masjid jaun...ek do baar gaya bhi hu...par mere kuch muslim dost mujhse bolte hain ki wahan mat jana ya kam se kam akele mat jana...kisi muslim k sath hi jana...warna koi agar pehchan gaya ki tum kafir ho to tumhe beijjat karke nikal diya jayega.... agar aisa hai to mai nahi jaunga masjid...isliye nahi ki mujhe darr hai...isliye ki mai allah ke paas jana chata hu kisi sangathan ke daftar me nahi...jahan dusre sangathan walon ke sath baddtamiji ki jaye...allah ko talashne k liye mujhe masjid ki jarurat bhi nahi...wo to mere dil me hai mai uske dil me... Sabse jyada sukoon milta hai gurudware me...jahan koi naa to prashad ko bechta hai...naa hi kafiron ko bhagata hai...sabke liye darwaje khule hain gurudware ke....bahut pyari jagah hai gurudwara... Par iswar se milne k liye iski bhi jarurat nahi...iswar to hum sabke paas hai...hum hi use dekhna nahi chahte...use hum bahar talashte hain....kuch neech to dusron ki hatya karke iswar k paas jana chahte hain...kurbani ya bali dusre ki nahi apni di jati hai....apne abhiman ki di jati hai jo hume iswar se door le ja raha hai
Posted on: Sun, 14 Jul 2013 03:26:10 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015