Maine dil se kaha dhoondh lana khushi Nasamajh laya gham to ye - TopicsExpress



          

Maine dil se kaha dhoondh lana khushi Nasamajh laya gham to ye gham hi sahi Bechara kahan janta hai, khalish hai ye kya khala hai Shahar bhar ki khushi se, ye dard mera bhala hai Jashna ye raas na aaye, maza to bas gham le aaya hai Maine dil se kaha dhoondh lana khushi.. Kabhee hai ishq ka ujala,kabhee hai maut ka andhera Bataao kaun bhesh hoga, main jogi banoon ya lutera Kai chehre hain is dil ke, na jane kaun sa mera Maine dil se kaha dhoondh lana khushi.. Hazaron aise phasle the, jo tai karne chale the Rahein magar chal padin thin, aur peeche hum reh gaye the Kadam do char chal paye , kiye phere tere man ke Maine dil se kaha dhoondh lana khushi..
Posted on: Fri, 08 Nov 2013 16:39:29 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015