Masla : chakhne ke wo maana Nahin k jo aaj kal aam rivaaj hai - TopicsExpress



          

Masla : chakhne ke wo maana Nahin k jo aaj kal aam rivaaj hai yaani Kisi cheez ka mazah maloom karne ke liye Usme se thoda kha lena k Yu to karahat kaisi Rozah hi toot jaayega . balki kaffara ke sharait Paaye jaayen to kaffara bhi LazIm hoga. Masla : chakhne se muraAd ye hai k zubaan par rakhkar Mazah maloom karle aur use thook de Uss Me se Halaq Mein Kuch Na Jaana Paaye Warna Rozah Toot jaayega Masla : T.V dekhna,Cricket, Badminton, mobile aur computer game ,carom, football, volley ball, chess, hockey ,tennis,card, ludo,wagairah khelna aur dino Mein bhi Na jaayez-o-gunaah hai ramzaan sharif Mein aur sakht gunaah aur isse Rozah Bhi makhrooh hota hai. Masla : gulaab ya itr wagairah sunghna daadhi, mooch Mein tel lagaana aur surma lagaana makhrooh Nahin. Masla : Roze Mein miswaak karna makhrooh Nahin balki jaise aur dino Mein sunnat hai roze Meiin bhi sunnat hai. Masla : roze Mein manjan, toothpaste,wagairah ka istemal makhrooh hai aur agar ye cheezein halaq se neeche utar gayi to Rozah toot gaya.
Posted on: Sun, 14 Jul 2013 09:14:40 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015