Munafiqo Ki Pehchan ….. » Hadees : Abdullah Bin Umar(Razi - TopicsExpress



          

Munafiqo Ki Pehchan ….. » Hadees : Abdullah Bin Umar(Razi Allahu Ta’ala Anhu) Bayan Karte Hai Ki Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki, “Chaar Aadate Aesi Hai Ki, Jinke Andar Bhi Wo Hongi Wo Munafiq Hoga. Un Chaar Me Se Agar Koi EkPaayi Jaayegi Toh Uske Andar Nifaaq Ki Ek Aadat Hogi, Yahan Tak Ki Use Chhor De”. ∗(1). Jab Bole Toh Jhoot Bole. ∗(2). Waada Kare Toh Poora Na Kare. ∗(3). Lade-Jhagde Toh Gaali Bake. ∗(4). Muaahida(Deal) Kare Toh Dhoka De. - (Sahih Al-Bukhari, Hadees No.2459) » Sabak : Munafiq Wo Log Hote Hai Jin Ke Dil Imaan Se Khaali Hai Lekin Imaan Waalon Ko Dhoka Dene Ke Liye Muhh Se (Zabani Tour Par) Imaan Ka Dikhaawa Karte Hai.
Posted on: Sat, 20 Jul 2013 23:37:19 +0000

Trending Topics




© 2015