PAKISTAN MEIN TALEEM ARTICAL BY: USAMA MUSTAPA KARACHI Pakistan - TopicsExpress



          

PAKISTAN MEIN TALEEM ARTICAL BY: USAMA MUSTAPA KARACHI Pakistan Mein Hazaro Governament School aur college Hain. Jin Mein Najane Kitne Zameem Par Aur kitne Kagazo Par Maojod Hain. BUT hazaro School Aur Collego K bawajod Nakawanda Logo Ki Tadad Badhti Ja rahi Hai. Aur Log Bunyadi Shahor Se bhi Mehrom Nazr Aate Hain. Taleem Mehngi Aur Namumkin Hoti Chali jarahi hai. Aur Logo Mein As Ki Aemihat Khatm Hoti Dikhahi Deti Hai. As K Bawajod Bhi Jo Log As Nehmat Ko Hasil Kr Lete Hain. Ho Theek Tara Se Apna Kirdar Ada Krne Mein Nazr Nai Aate. Lehaza Taleem K Bawajod Hum Tarki Nai Kr Sake. Dunya K Ho 26 Mumalik Jo Pakistan Se Bhi Ghareeb Hain. Taleem Par Pakistan se Ziyada Karch Krte Hain. Hamari Badnasebi Yeh Hai K Hum Apne Pore Bajt Ka Sirf 2 % Taleem Par Krch Krte Hain. Jiska Nateja Humein Schoolo Aur Collego Ki Ksta Halt Mein Dekhne Ko Milte Hain. Jo Chand Log Taleem Hasil Krna Chate Hain Ho Governament Schoolo Aur Colleg o Bajahe Naji Schoolo Ko Pokiat Dete Hain. Taleem K Lie Maktas kia gaya 2% Bajt Amoman Karupshion Ki Nazr Hojata Hai. As Kam Bajt K Bawajod Jo Chand Tilbah Bade Karname Sar e Anjam Dete hain. Aun Ki Hosla Afzahi Q Nai Ki Jati. Amoman Hum Taleem K Shobeh Mein Itna Pehche As Lie Bhi Hain K Hukomat As Shobeh Mein Kuch Tawaja Nai Deti. hukomat Ko Cha Yeh K Ho Sab Se Pahele Taleem K Bajt Ko Badahe. As K bad As Shobeh K Lie Behtar Akdamat Kare. Asatzah Ki Tarbet Aur Aslah K lie Mosar Akdamat Kie Jahe. Taleem K Lie An Asatzah Ka Intehkab Kare Jo Nahi Nasl Ki Zehni Salahiat Se Waqip Hon. Aur Aun K Taleem k Takazo Ko Pora kr Skte Hon. As Ka Behtaren Zaria Ho Tilbh Hain Jo Hal Hi Mein Taleem Se Farig Hoe Hon. Yani "Naojawan Asatzah" Waqt K Saat Har Cheez Mein Tabdeli Aahi Hai. To Lazman EDUCATION k Tor Tarike Aur Takaze Bhi Tabel Hone Cha Yeh. Aune Ho Asatzah Behtar Jante Hain Jo Taleem Se Chand Saal Pahele Farig Ho Chuke Hon. Hamari Taleem Mein Nakami Ki Dosari Badi Waja Yeh Hai K Naojawan Aala Taleem Se Farig Ho Kar Nokari K Lie Dosare Mulko Ko Fokiat Dete Hain. Aur As Tara Mulk Ka Sarmaya Bahir Chala Jata Hai. As Ki Bunyadi Waja Mulk Mein Berozgari,Lakanoniat,Jarahim Aur Jan o mal Ka Tahafuz Na Hona Hai. Hukomat Ko Cha Yeh K Ho Taleem Ko Behtar Banane K Lie Tamam Tar Palesi Amor Teh Kare Take Tarjihat Aur Hukmat Amli Ko Tarteeb Di Ja Sake Pore Mulk Mein Ak Hi Nizam Taleem Hota K Yaksah Nizam Aur Yaksah Mawake Mehsar Aasake. "ZARA SOCHIE"
Posted on: Sun, 04 Aug 2013 04:36:14 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015