Q 1.- mein 1 average student hun lekin mere parents chahte hein ki - TopicsExpress



          

Q 1.- mein 1 average student hun lekin mere parents chahte hein ki mein class mein hamesha 1st aaun. ye kese possible hai? answer - impossible to is dunya mei kuchh bhi nahein hai bas zarurat 1 soch ki hai agar tum sochte ho ki tum 1 average student ho to haar nishchit hai and tum apne parents ka sapna kabhi poora nahein kar pauge. socho ki tum kar sakte ho apne upper bharosa rakho aur mahnat karo yaad rakhnna self confidence and hardwork success ki kunji hai aur jab ye dono mitle hein to rastey apne aap khul jate hein aur barhe se barhe kaam asaan ho jate hein. Q 2.- mein bhout dil lagakar parhta hun lekin phir bhi bhout bhoolta hun. any solution ? answer - bhoolna 1 normal tendancy hai . hum sab log bhoolte hein , lekin agar hum kisi cheez ko baar baar yaad karein ya dohrayein to bhoolne ki possibility kafi kam ho jati hai jese ki 2 ka table hum kabhi nahein bhoolte hein kyonki wo hum apni life mein itni baar dohrate hein ki wo hamare mind kai us hisse mein store ho jata hai jahan se usse mitana bhout mushkil hai. bas tumhein bhi yahi karna hai . jitni baar revise karoge utna hi bhoolne ki possibility ko kam karogay . jab kisi topic ko yaad karna ho to to uss per kafi time barbaad mat karo balki usse 1 baar samajhh kar parhho aur phir chhorhh do aur kuchh aur parhho . 8 10 ghante baad yaad karo ki tum ne kya parha tha. umeed hai abhi tak tumhein sirf 70 - 80% yaad hoga bas pahle thorha dimag per zor dalo aur phir kitab kholo . abki baar zyada time barbaad nahein karna bas parho aur agle time kai liye chhorhh do. phir 1 ya 2 din bad yahi process dohrao. is tarah no. of revisions ko barhaogay to time bhi kam lagega aur bhoologay bhi nahein . Q 3.- session kai start mein jo subjects mere sabse achhi tarha tayyar thai. wo exam time ate ate kafi kamzor ho gaye hein.ab mujhe darr lag raha hai answer - revise nahein karogay to yaad kese rahega . baar-baar revise karo tab tak jab tak ki wo tumhare liye 2 ka table na ban jaye. yaad rakho 1 topic ko 10 ghante tak lagataar parhna waqt ki barbaadi hai balki usse 10 - 10 minute kai liye alag alag time mein 10 baar parhna aqalmandi. khud kar kai dekho difference apne aap mahsoos karogay Q 4.- mujhe lagta hai meri preparations theek hai per jab mein examination hall mein bethta hun to sab bhool jata hun answer - ye koi nayi baat nahein hai Examination Hall mein aisa kafi logon kai sath hota hai lekin isko qabu karna kafi zaroori hai isliye achhi preparations kai sath sath exam practice bhi bhout zaroori hai. ghar mein time dekh kar questions solve karo , likhkr yaad karne ki adaat dalo, likhnai ki practice hogi to wahan asaani se likh sakogay. apne friends kai sath ghar mein mock exams conduct karo aur practice karo remember practice makes a man perfect Q 5.- examination kai din mujhe kin baton ka khyal rakhna chahiye? answer - examination se pahle 8 hours sleep and a good breakfast bhout zaroori hai. exams kai liye zaroori sab cheezon ki 1 list tayyar karkai rakho aur jane se pahle check karo. Examination Hall mein hamesha time se thorha pahle pahuncho aur jab paper milay to sabse pahlai apni hear beats per qabu pana bhout zaroori hai . isliye 1 minute kai liye apni aankhein band karkai apnai god ko, apnai maa baap ko , apnai teachaer ko aur sabse aham aur khas apnai lakshya ko yaad karo aur jab poora confidence laut aye to paper shuru karo. paper mein pahlai wo sawal solve karo jo sabse achhi tarh aatein hon aur phir koshish karo ki sabhi questions solve kar sako hamesha questions ko unkai marks kai basis per hi time dena chahiye . jo zyada marks kai questions hei unhein zyada aur jo kam marks kai questions hein unhein kam time dena chahiye .
Posted on: Sun, 21 Jul 2013 16:20:49 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015