Yog sadhna kriya..niyam..khud ko dekhna..humne sabke bare me bahut - TopicsExpress



          

Yog sadhna kriya..niyam..khud ko dekhna..humne sabke bare me bahut tafsil me khulasa kiya..ak ak bat is tarah se khol k rakhi k koi bhi padhe to samajh jaye...kuchh bhi andar ghatit hone wali bhavnaye ya kriyaye sikhai nhi ja sakti..gussa..hansna..rona..jalna..prem karna sikhaya nhi ja sakta..kya dard kaise ho uski anubhuti sikhayi ja sakti h..kya bimari ya mirgi ka daura sikhaya ja sakta h..koi sthiti aati h..kabhi humare abhi k karmo se kabhi prarbdh se..ussi se bhavna paida hui..ussi ne gussa dilaya..pyar jagaya..rona aya..dukh hua..jalan hui..bimari..sar dard..or dard ki anubhuti..ye anubhutiya hui to sahi par hum har anhubhuti se jur gaye..usme lipt ho gaye to khud ko dekh nhi paye..hum kai bar kah chuke k khud ko dekho..khud ko jano..apne apko hi to hume dekhna nhi ata..hum diya tale andhera wali kahavat ko sidhh karne me lge rahte h..padhte h par samajhte nhi isiliye pahli post ka akhri post me sawal karte h..humme koi jigyasa hui to us jigyasa ki tushti to karna hi hoga warna wo jigyasa nhi..matr sawal hoga jo yunhi puchh liya..kuchh nhi h to chalo ye hi puchh dalo..hum galti par galti karte jate h kyo..kyoki hume lagta hi nhi k humne galat kiya..sthiti aai..react karne me der nhi ki or khud ko dekhne ka sawal hi nhi..kaise hogi sadhna yog or kriya..jab hume khud par qabu hi nhi..hume khud ko dekhna hoga..janna hoga..sthiti ko dekhna hoga..samajhna hoga..react hum bhi karte h..or turant karte h..par hum kar rahe h ye hum jante h..samjhte h or apne apko dekhte bhi h..humare react karne k pichhe bhogna h..karm karna nhi..hum yad nhi rakhte..aya hua or khatm..kyoki hume aage badhna h..ber khane ki ichha hui..rone lage ber chahiye..nhi mile..to rona bhi khatm or ichha bhi..fir kabhi ichha hui..fir tadap paida hui..mile..khaye or khatm..tadap ki sima khatm to tadap khatm..par wo ichha kitni der ki thi..rona kitni der ka or khana kitni der ka..jurav nhi tha..bandhan nhi tha..bas issi se azadi lena h..apne apko jab tak hum nhi dekhna shuru karenge tab tak na sadhna hogi na yog na kriya..jo asan sikhate h unse wo asan sikhna chahiye jo apko ikattha kar sake..ap ikatthe honge to failav dhire dhire kam hone lgega..raste h..par chalna to hume hi h..paer to hume hi uthane honge..chalne k liye ungali ka sahara hi bahut h agar chalne ki ichha h..hume chalne se pahle magar baithna ana zruri h..balance zaruri h..warna ungli k hote huye bhi ladkhada k gir padenge..manan karna zaruri..sabse pahle khud k prati farz nibhana zaruri k mujhe kaisa hona chahiye..kya me waisa hu..kya mujhme wo sab h..fir mere as pas k log..pariwar..unke prati farz..ye shuruat h sadhna niyam yog ki..kriya ki..pahle yahi pure nhi kar pate..koshish to karna hi padegi na..sari post h abhi bhi..padho to sahi fir se..ak ak bat ko samjhe ro sahi hum...manan to kare..bakwas rang to layegi par uske liye hume koshish karna padegi..munna ab badmash ho rha h..chai ki farmaish kar raha h..use chai pilate h..jai bhole baba..ram ka nam sabse chhota...isiliye sabse bada..hari om..alakh..
Posted on: Sat, 14 Sep 2013 20:07:33 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015