Yun Haath Ki Khamosh Lakeeron Main Aa Gaya Lafzon Ki Rahguzar Se - TopicsExpress



          

Yun Haath Ki Khamosh Lakeeron Main Aa Gaya Lafzon Ki Rahguzar Se Woh Dil Main Sama Gaya Jo Nukta Sochta Raha Main Tamam Omar Lamhon Main Sara Falsafa Mujh Ko Bata Gaya Yun Chahatein Samait Lein Daaman- e-Yaar Ne Bakhshi Qabooliat Dil-e-Be-Ikhteyaar Ne Sunli Duaein Bhi Meri Parwardeegar Ne Woh Bandagi Ka Mujh Ko Saleeka Sikha Gaya Us Ka Khayal Subha Hai Us Ka Khayal Shaam Jaise Pila Gaya Woh Mujhe Chahaton Ka Jaam Matla Bhi Us Ke Naam Hai Maqta Bhi Us Ke Naam Deewaan-e-Shayri Mera Kuch Yun Saja Gaya Yun Haath Ki Lakeer Hina Ban Ke Chah Gayi Tasweer Us Ki Meri Haathaili Main Aa Gayi Khushbu Qaba Se Sari Fiza Main Sama Gayi Chashm-e-Ghazal Main Meri Kajal Laga Gaya Kar Ke Mere Wajood Ko Makhmoor Le Gaya Anjaan Raston Pe Mujhe Door Le Gaya Madhoshiyon Main Ais Tarah Mashoor Le Gaya Taza Ghamon Ki Raah Woh Mujh Ko Dikha Gaya Woh Aik Asgher Sare Jahan Se Zara Juda Omeed Meri Aas Meri Hausla Mera Aiwan-e-Dil Main Aatish-e-Chahat Laga Gaya Din Ka Sakoon Raat Ki Neendein Chura Gaya Toofaan Jaise Shehar Main Aa Kar Guzar Gaya Chu Kar Mere Badan Ko Sehar Mujh Pe Kar Gaya Jis Ko Tapak Tapak Ke Sulaya Tha Aik Omar Aikasgher Hi Chahaton Ke Woh Aarmaan Jaga Gaya Har Shaamai Intezaar Sulagti Rahi Bahut Roti Kabhi Rahi Kabhi Hansti Rahi Bahut Khushbu-e- Gul Chaman Main Batakti Rahi Bahut Deewangi Ki Aik Nayi Duniya Dikha Gaya Be-Aasra Bhi Ho Ke Bahlna Qabool Hai Shamma Ki Tarah Mujh Ko Pighalna Qabool Hai Purkhar Raaston Pe Bhi Chalna Qabool Hai Kaanton Ki Rahguzar Se Ulajhna Sikha Gaya Yun Falsafa Hayat Ka Mujh Ko Bata Gaya Yun Haath Ki Khamosh Lakeeron Main Aa Gaya
Posted on: Thu, 21 Nov 2013 03:01:27 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015